na jaane kitne saal maine pathar ban ke beetaye hain
mere zinda hone ke pal tho abhi hi aaye hain
na jaane kitne saal maine beparvaahi ko apnaya hai
parvaah karne ka pal abhi kal parsoon hi bana humsaaya hai
befikr hone se mera rishta purana hai
fikr karne ki ada ko mujhe abhi apnana hai
mere seene main band kayi raaz ahin
meri gardishoon main qaid kitne kaale andaaz hain
main jo hoon woh raha nahin hoon kayi saalon se
main jo tha woh kaise batla doon apne
hi hothoon ke band taaloon se
mujhme jo zinda dil tha, uski chaddar abhi tho kisni hatayi hai
varna kitne saal isne kaale andhere ki dhool khaayi hai
mere andar
mere bahar
mere har ore bus main tha
aur mera dard tha
waqt beharam tha
zinda rehna kya kam tha??
maine iss dard ko jeeya hai
apni kismat ka zeher chup reh kar akele peeya hai
nazar ka teeka meri kismet se gujarate hue andaaz ban gaya
main shuru hua tha insaan sa
na jaane kab pathhar ka saaz ban gaya
woh aayi hai ban kar mere rooh ke andhere main
roshni ki pak si pehli jyoti
woh giri hai mere mann ke banjar veerane main
bankar baarish ka pehla moti
uski chahaat main zinda ho jaane ko dil chahtha hai
uski roomniyat main bus kho jaane ko dil chahtha hai
usse dekhtha hoon tho jeene pe pyaar aata hai
use dekhtha hoon tho mar mitne ka matlab samjh main aata hai
woh hai itni pak, saaf , bandh phool ki kali jaise
main hoon ruke,gehre paani ke band gali jaise
woh ban baithi hai aisey krishan ki meera deewani
jiski na koi khoobsurat yaad
na koi khoobsurat kahani
uski rooh ki safedi se mera kaalapan sharma jaata hai
kaise usse batoon who ateet jisse mera mann bhi ghabraata hai
uss har dard se bachane ki aadat ab kamzoori ho chuki hai
usse har ashq se bachane ki zid majboori ho chuki hai
kaise dekh paoonga uski aankh main mere diye aansoon ka paani
kaise sun paonga uski rooh se meri hirakat main nikale shor ki kahaani
uske rooh ke aaine main apne liye shikiyaat
mujhsse na bardaasht hogi
uski masoomiyat ko khatam hote dekhene ki keemat
mujhse na ada hogi
PAR USKA JAAN LENA MERI ZINDAGI KA SACH
AAJ HO CHUKA HAI ZAROORI
JITNA BHI DARD DE JAAYE WOH PAL
PAR USKO NIBHANA HAI MERI MAZBOORI
MAIN NAHIN JAANTA KE USS PAL KE PAAR
PARO KITNA KAREGI MUJHSE PYAAR
BUS ITNA JAANTA HOON KI
WHO JO BHI SAZAA DEGI HOGA MUJHE USSE IQRAAR
P.s... yeahh yeahhh I KNOW ITS DAMN CRAP,BUT WHAT TO DO I WAS INSPIRED BY CRAPINESS OF TODAY'S EPISODE,,,everyone including me were so busy doing shikaar of laila with our guns n eyes,, that we forgot our darling rudy boy.
TO ACCEPT SUCH A TRUTH CAN ONLY BE DONE BY LOVE WHICH IS TURE
TO CONFESS SUCH A PAST,,CAN ONLY BE RUDRA'S WAY TO UNDO
WAY TO GO RUDY BOY,,,PROUD OF U
N YUP BELIEVE ME,,,,ONE DAY SHE WILL BE PROUD OF U TOO