Just came across this story..
Its Amazing as usual.. Seher is going through bad phase of her life..Big Boss 19: Daily Discussion Thread - Aug 28, 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 28 Aug 2025 EDT
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 29 Aug 2025 EDT
BHAROSA THODNA 28.8
Trump imposes 50% tariff on India for buying Russian oil??!
MAIRAs SCHOOL 29.8
Who impressed you more in the movie Saiyaara?
Anupamaa 28 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Abhira : The self-respect queen
10 years of Phantom
Anupamaa 29 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Just came across this story..
Its Amazing as usual.. Seher is going through bad phase of her life..Originally posted by: -.-Mariam-.-
Just came across this story..
Its Amazing as usual.. Seher is going through bad phase of her life..Hope that she'll be fine very soon..Rehan is Adorable here.. COntinue soon..PM me the updates..
Originally posted by: BelleAme
Hey chahanya 😊
This is your first story I ll b reading..loved the prologue..it instantly caught me in seher world ..her illness
N her Delimma...
Then read part 1...the best part was Rehaan n seher Ofcourse
Such cute convo
Tumhe tho koi bandaruya bhi pasand na kare..isliye Tumhare pass aya hoon 😆
I feel Rehaan loves sunehri..when She'z suggesting abt marriage he's talking abt marrying her 😛
Hope to c some romantic n cute moments on the next update...
Update soonish...
Loads of luv
Sara 😳
Part 2
"Aap mujhe yahaan kyun laaye hain? Aakhir aap chahte kya hain?" Seher asked irritated.
"Tumhaare saath kuch baatein karne ke liye."
"Mujhe aapke saath koi bhi baat karne mein koi interest nahi hai, Rehan... Main zindagi se bahut door nikal chuki hoon. Maut mere bilkul kareeb hai. Mujhe mere haal par chod dijiye." Seher pleaded.
"Par aaj bhi tum kitni khoobsoorat lag rahi ho! Khoobsoorti par fida hona meri aadat hai. Dekho, barf se dhaki ye zameen kitni khoobsoorat lag rahi hai!"
"Mujhe toh aisa lag raha hai jaise ki nayi naveli dulhan ko kafan odha diya ho." Seher said in a sad voice.
"Soch ka fark hai Seher. Tum jis tarah se sochti ho main waise nahi sochta, par ye haqeeqt hai ki barf se dhake ye pahaad aur ped aankhon ko sukoon dete hai! Garmiyon mein jab ye barf pighlegi tab poora atmosphere aur bhi khoobsoorat ho jaayega. Uski chamak badh jaayegi."
"Ye sab aap dekhenge Rehan main nahi..."
"Kyun, tumne apni maut ki tareekh mukarrar kar di hai?"
"Maine nahi Rehan, Doctors ne. Aap samajhkar bhi nasamajh mat baniye. Mere body mein khatarnak tumor hai... Meri poori zindagi simatkar ek saal ke duration mein kaid ho gayi hai... Operation, surgery inn sabhi baton ko peeche chodkar main bahut aage nikal chuki hoon. Aaj jo yakeen bacha tha wo bhi jaata raha. Ab bas maut ka intezaar karna hai." Seher sobbed.
"Haan, Seher kudrat ne tumhaare saath bahut bura mazaak kiya hai. Tum saaf saaf apni maut ko dekh sakti ho. 19 years ki age mein tumhe itni dangerous illness ho gayi hai ki doctors ne bhi apne haath iss maamle mein khade kar diye hain, par Seher maut ko iss tarah se khud ke paas ghaseet lana ya khud ko maut ke darwaaze tak le jana kya sahi hai? Kya suffer karke marna bahaduri ki nishani hai? Marna toh sabko hai par iss tarah se marna buzdilli hai. Border par ladte soldier ki zindagi ka koi bharosa nahi hota. Toh kya wo log hatiyaar daal dete hain, nahi wo log aakhri saans tak ladte hain, tab tak khud ko bhi bachate ahin aur desh ki aan baan shaan ko bhi. Aur jo maut aa bhi jaaye toh shaheed hote hian. Jaise har insaan ki jeene ka tareka alag alag hota hai usi tarah se unke marne ka andaaz bhi alag alag hota hai. Ek soldier marker bhi nahi marta, jabki kuch log jeete jee murda hote hain. Tumhe ek soldier ki tarah marna chahiye. Jab tak jeo tab tak poori zindagi jeene ki pyaas ho aur poore dil se jeeo. Kya pata maut tumse darr kar kinaara kar le!"
"Aap kya kehna chahte hain Rehan? Mujhe kuch samajh nahi aa raha."
"Ye hi ki jitni zindagi tumhe mili hai uski har ek pal ko jeeo. Jab maut aaye tab uska hanskar welcome karo."
"Sach kahoon Seher, main iss duniya mein ek saal ka mehmaan bhi nahi hoon, meri zindagi uss butterfly ki tarah hai jiske naseeb mein subah ka sooraj dekhna bhi nahi hai. Dhyan se suno Seher, main sirf 6 months jeene wala hoon... mujhe cancer hai. Meri zindagi tumse bhi kab hai but main zindadil hoon aur zindadil kabhi haar nahi maante. Ek ke baad doosra, dossre ke baad teesra aisa rounds khelta rehta hai. Ek fighter hoon aur apni aakhri saans tak ladta rahoonga phir chahe aakhir mein haar ka saamna kyun na karna pade!"
"Ye kaisa ganda mazaak ka rahe hain, Rehan?"
"Mazaak nahi hai ye Seher, ek sach hai. Yakeen na ho toh mere medical reports dekh lo. Dr. Gupta se pooch lo. Wo mere case se acchi tarah se waaqif hain."
"Par... Par aapko dekhkar aapki baatein sunkar toh..."
"Nahi lagta na ki main doobta sooraj hoon?" Rehan interrupted, "Seher wohi aadmi sacchi tarah se jeeta hai jo humesha apna dukh dard chupata rahe. Gumgheen bankar rehne se baki ke dino mein izaafa nahi hone wala, iss liye maine socha hai ki jab tak jeeoonga jab tak saans chal rahi hai tab tak logon mein khushi baanta rahoonga unhe hasaata rahoonga."
"Soch lo, Seher, 6 months mere paas hain aur 12 months tumhaare paas. Hum dono maut se zyada door nahi hai toh kyun na marne se pehle ek doosre ke ho jaaye?"
Originally posted by: SprinklesOfLove
Rehan really is different here isn't he? I still love him, Mr. Flirty! Hmm story seems intriguing do continue soon...