OS : Farhaan aur Imran..
Asad was totally confused with the situation of Nikhat and Najma. Zoya was trying to be very protective of Najma and so she was pressurizing to meet Imran's family while Dilshad and Asad wanted to sort out things with Nikhat before proceeding any further..
Najma's room . Entire Family was present and discussing about Imraan…
Zoya : "Poophi.. Mr. Khan ne Nikhat se baat ki thi na.. aur woh ab kush hai.. to hum kyun usse phir se yeh sab baat karke kyun dukh de.. muje lagta hai.. ki humein Imran ke ammi aur abbu se ek baar mil lena chaiye…"
Dilshad : "Nahin Zoya.. kismat ne in dono behenon ki zindagi ko ulagke rakdiya hain…Mera dil bahut ghabra raha hain…"
Zoya : "Lekin poophi.. agar Nikhat .. Imran se rishta todne se kush hain.. aur Najma is rishte se kush hain.. to kyun nahin.. Aap kya kehte hain Mr. Khan maine teek kaha na…??"
Asad was still confused but he hesitantly replied back.." Ji…"
Zoya : " To mein .. Imran ko phone karke.. kehdungi ki woh aaj shaam humare ghar khane pe anekeliye…"
Zoya was excited about Najma's marriage without understanding the underlying tension….
Haseena bi had called up Shireen and Rashid and had disclosed the news that she was getting her son married to Najma..sister of Asad Ahmed Khan..
Ayaan's house…Nikhat's room…
Nikhat was crying very badly after hearing Imran-Najma's nikaah.. She was heart broken…and Rashid did not know how to console his daughter…
Shireen : "Main janti hoon Rashid.. yeh sab Dilshad ka hi kaam hain.. woh nahin chati hain ki mere bacche kush rahein…phele us ladki ko bhej kar ..Ayaan aur Humeira ke sagai mein itna sab kuch karvaya.. aur ab Nikhat ki kushi ke peeche padi hain…."
Ayaan : " Ammi.. kya ho raha hain..Nikhat.. kyun ro rahi ho ??"
Nikhat goes and hugs her brother and starts crying again…."Bhaijaan.. Imran..Imran Najma se nikaah kar rahein hain…"
Ayaan : " Yeh nahin ho sakta hain.. Bhaijaan iski ijjazat kabhi nahin denge…kuch to gadbad hain…tum janti ho na us Haseena bi ko.. main Bhaijaan se baat karoonga…"
Rashid : " Ayaan.. humein Haseena bi ne kudh phone karke yeh bataya ki Imran ki nikaah Najma ke saath tair hogaya hain.. aur shayad Asad aur Dilshad bhi maan gaye hain…"
Ayaan : " Abbu.. main Bhaijaan se baat karke aoonga.. Nikhat.. tum ro mat… mein tumhare pyaar keliye jake Imran se bhi miloonga..tum please shaant hojao…"
When Ayaan barges into Asad's house, he finds Haseena bi and family happily having dinner along with Asad and Family…
Ayaan : "Bhaijaan yeh kya ho raha hain Bhaijaan…??"
Asad : " Ayaan.. Najma aur Imran ek dusre se pyar kartein hain.. isliye muje yeh rishta qubool karna pada…"
Ayaan : " Lekin Bhaijaan.. Nikhat ka kya ?? Aap jante hain na.. ki Nikhat Imraan se pyaar karti hain…"
Asad : " Maine Nikhat se baat ki thi Ayaan.. usne kaha ki woh apni is faisle se kush hain… isliye Najma ki kushi keliye muje yeh karna pada…."
Ayaan : " Waah Bhaijaan.. Wah.. apne sirf ek phone karke..Nikhat ko poocha aur yeh bhi nahin socha ki woh sach bol rahin thi ya jooth.. use malum tha ki aap ko dukh hoga.. isliye usne aap se yeh chupaya…aur aap turant.. Najma ke saath yeh rishta jodh li… Nikhat ab bhi Imraan se pyaar karti hain.. yeh Imran jisne Nikhat ko itne sapne dikhaya.. ab yahan agaya.. agar kuch din baad woh Najma ke saath bhi aisa hi karega to ??"
Asad : "Ayaan.. !!"
Ayaan : "Dekha Bhaijaan.. Najma ko dard hoga.. is ehsaas se hi aap kitna gusse horahein hain.. maine kaise Nikhat ke dukh dekh sakta hoon.. Aap ne aaj sabit kardiya.. apna apna hota hain.. aur sautela.. hamesha sautela hi rahega….Nikhat keliye.. uska Bhai.. Ayaan abhi Zinda hain.. "
Asad : "Ayaan Please….meri baat suno…"
Ayaan was not ready to hear anything and he angrily looks at Imran and walks out of the house…
Haseeena bi was strangely sitting quietly since Imran had mentioned that if she mis-behaves in Asad's house like how she use to do in Nikhat's place earlier than he will not tolerate and that he would walk out of the house…and nobody knew how to react in the awkward situation.. Imran gets a call from his cousin Farhaan…
Imran : "Haan .. Farhaan.. hum sab Najma ke ghar pe hain.. tum yahin pe ajao…" and he gives the address to Farhaan..
The dinner was going on quietly and Zoya was in the kitchen in getting the desert ready….
Dilshad goes and welcomes Farhaan at the door and she introduces herself, Asad and Najma…
Farhaan : "Muje kushi hain ki apne Imran aur Najma ke nikaah keliye maan gaye.."
Asad just smiles…
When Zoya walks in to serve the desert….Farhaan notices Zoya and he excitedly shouts…
Farhaan..: " Arre.. Zoya.. tum yahan kaise…?? Pura Newyork suna hogaya hain tumhare bagair…." and he goes and hugs Zoya…
Asad gets really angry on Zoya now..
Zoya : " Farhaan.. tum yahan kaise ?? Accha tum hi ho.. Imran ke cousin… Poophi.. Mr. Khan.. yeh mera dost hain.. hum New York mein ek hi college mein the…."
Farhaan :" Ji.. aur yeh humari.. tom boy.. meri best friend bhi hain…."
Haseena : " Dilshad.. hum nikaah ki tareeq tair karke batadenge.. ab hum chalte hain…"
Farhaan : "Khala… abhi nahin.. muje Zoya itne dino ke baad mili hain.. muje usse baat karna hain…."
Zoya : " Farhaan.. ab nahin. .. tumhara phone number do…hum kal baat karenge…."
Finally Haseena's family leave.. luckily without creating any new issues…
Dilshad : "Asad.. Ayaan.. itna gussa karke gaya.. lagta hain.. humne yeh faisla jaldbazi mein leli hain…main nahin chathi ki Nikhat ko dukh ho… ek beti ka kushi cheen kar duri ko nahi de sakti hoon…"
Najma : "Ammi.. aap kyun aisi baat kar rahi hain…?? "
Asad who was feeling very hurt with Ayaan's outburst and also angry seeing Zoya being close with Farhaan.. was making him loose his cool…
Asad : " Najma… tumne suna nahin.. ammi ne kya kaha… humein Nikhat aur Ayaan se baat karni hai.. baad mein hum faisla lenge.. ki tumhara nikaah Imran se hoga ya nahin…"
Najma immediately starts crying and runs to her roon…
Zoya : "Mr. Khan.. aap aise…"
Asad : "Aap chup rahiye.. yeh sab apki wajah se hi hua hain….apne muje kamzoor banadiya hain.. isliye in sab baton mein agaya.. agar mein pehle ki tarah hota.. to shayad main…. Yeh galti kabhi nahin kartha.. aur Najma ko bhi itni himmat nahin hoti…aur Ayaan ke saath mera jagda nahin hota….apki wajah se hi ammi ne bhi Haseena se itni jaldi milne ka faisla kardiya…"
Zoya was shocked to hear all this from Asad and tears started forming in her eyes…She was hurt a lot but she did not speak out anything.. She looked at him hoping Asad would realize his mistake.. but his mind was so clouded with anger that he did not realize how much he had hurt Zoya yet again.. Dilshad was also confused with all the happenings and she herself did not know what to do and so she neither spoke to Zoya nor Asad and walked away to her room.. Asad also goes to his room and bangs the door and locks himself…
Zoya was all alone now in the drawing room and tears were running down her eyes.. She very slowly drags herself to her room…
Zoya's thoughts…
" Ya allah.. aap jante hain… ki main hamesha Mr. Khan, poophi aur Najma ki kushi ki dua mangi.. aur maine yeh sab isliye kiya kyunki Najma .. Imran se pyaar karti hain.. woh teen saal baad bhi us ladke ko bhula nahin paa rahi thi.. isliye.. maine…shayad Mr. Khan teek kehte hain… muje is maamle mein kuch baat karna hi nahin chahiye tha.. yeh do parivaar ke rishte kitne ulag gaye hain.. muje kuch rasta dikhao.. allah miya.. Mr. Khan.. mujse itne naraz hogaye.. unhone mujpar itna chilaya… hosakta hain ki main galat hoon lekin mujse dheere se baat karsakte the … shayad woh abhi bhi yeh samaj the hain.. ki unke liye sahi ladki nahin hoon…."
Asad's room .. His thoughts…" Main Zoya par itna gussa kyun horaha hoon..woh sirf Najma ki kushi keliye ye sab kar rahi thi.. ismein uski kya galti hain.. muje Nikhat aur Ayaan se teek se baat karna chaiye tha.. yeh sab meri zimmendari hain.. phir main Zoya pe kyun chillaya…?? Farhaan aur Zoya ki dosti dekh kar kya main jealous hogaya ?? Jab Tanveer yahan thi.. aur itna kuch hogaya.. tab Zoya ne kaise yeh sab bardash kiya tha.. woh ladki jisne sab kuch bhulake.. aur meri har galti ko maaf karke.. muje apnaya.. main uspar hi …How could I be so rude… ?? Muje Zoya se maafi mangna hoga…."
Asad and Zoya were both lost in their own thoughts and were not able sleep properly the whole night…
Asad's House.. At the Dining Table
Asad was a bit late for breakfast..He noticed that only Dilshad and Najma were having breakfast..
Asad : "Ammi.. Miss Farooqui..kahan hain ??.. breakfast keliye kyun nahin ayi ??"
Dilshad : " Zoya ghar pe nahin hain Asad… usse kuch kaaam tha.. isliye subah subah kahin gayi hain…"
Asad : " Ammi.. unhone .. muje kyun nahin uthaya…?? kaha gayi hain patha hain ??"
Dilshad : " Patha nahin hain Asad….maine bhi nahin poocha"
Asad : " Ammi…. Apko poochna chahiya tha ammi..kal maine unpar bahut chilaya..shayad woh abhi bhi Naraz hain mujse…"
Dilshad : " Asad.. Imran aur Najma to teen saal pehle se pyaar kartein the… tab Zoya humare zindagi mein nahin thi.. to ab jo bhi horaha hain.. un sab mein Zoya ka kya kasoor….uska gussa jayaz hain….hum sab ne use akela chodkar apne apne room chalegaye…yeh ladki hum sabkeliye aur humare kushi keliye kuch bhi karsakti hain…. aur hume kal …" and tears form in her eyes…" phone karke dekhlo kahan hain Asad…."
Asad tries ringing up to Zoya but her phone was switched off which increases Asad's tension.. and he is dead scared thinking if she has gone away yet again.. but she had promised that she would never leave him and go in any situation….. He messaged her hoping she would reply back but he got no reply…Tears started forming in his eyes and he was not sure where to look for her.. since all her belonging were as it is at home…
On the other hand, Zoya was disturbed and since she was not able to sleep properly, she felt like going to mazar and spending some time over there thinking that may be allah will help her in finding a way to resolve Nikhat and Najma's situation and also a way to ease out Asad's tension..…Her phone was switched off and she was not aware of this and also not aware of the panic Asad had run into…
At the Mazar…
Zoya spent some time praying and as she comes out, she sees Nikhat outside sitting and crying.. Zoya's heart moved out to Nikhat looking at her in that state… She takes out her handkerchief and gives it to Nikhat..
Nikhat looks up to find Zoya : " Babhi..Aap.. yahan…"
Zoya : "Nikhat.. kya mein yahan bait sakti hoon.."
Nikhat : "Ji Babhi…"
Zoya : " Main tumhara dukh samaj sakti hoon Nikhat.. pehel tum rona band karo please….aur muje batao… sab kuch.. "
Ayaan who was waiting for Nikhat in the car to join him…got worried and comes back in search of her..
Ayaan :" Nikhat.. chalo yahan se.. tumhe gairon ke saath apna dukh bantne ki koi zaroorat nahin hain…"
Zoya got very upset hearing this… but still she goes to Ayaan and holds his hand…
Zoya : "Ayaan.. please.. tumhara gussa apni jagaha teek hain.. lekin please meri baat bhi suno.. humari dosti ke kathir hi sahi.. ek mauka to do baath karnekeliye…."
Ayaan : "Zoya main janta hoon.. ki aap Asad Bhaijaan aur Najma ki tarafdari karenge… "
Zoya : " Ayaan.. please.. agar Mr. Khan mere honewale shohar hain.. aur Najma unki behen.. to aap dono bhi unke bhai aur behen ho.. Mr. Khan.. aap sabse bahut mohabat kartein hain.. trust me.. woh jaanbujkar kisi ko bhi dukh nahin de sakte hain.. "
Nikhat : "Bhaijaan.. Babhi teek kehrahi hain.. Asad Bhaijaan ne..mereliye itne keemti flat diyatha Haseena bi ko.. jab Abbu ne mankardiya tha.. aur yeh baat sirf hum dono jante hain… muje yakeen hai ki Asad Bhaijaan hamesha hum sabki kushi chathe hain…"
Ayaan finally gets convinced and sits along with Zoya and Nikhat in the Mazar premises…
Zoya : " Ayaan.. Najma aur Imran… teen saal pehle se ek dusre se pyar kartein the.. aur tumhare bhaijaan ke dar se Najma ne Imran ko chod diya tha.. aur usse kabhi nahin mili thi… lekin .. woh Imran ko kabhi bula nahi payi… aur Najma ko yeh bhi nahin patha tha ki ab Imran ki Nikaah Nikhat se tair hogayi thi…. Kyunki ab Najma ka last year hai college mein isliye poophi chathi thi.. ki hum Najma ka nikaah bhi.. jaldi karwade….. lekin kuch din pehle.. Imran Najma se phir mila.. aur usne bataya ki uski ammi ne Nikath ke saath nikaah tair kiya tha.. aur baad mein Nikhat ne hi sagai todha.. woh Najma ke zindagi mein wapis ana chatha tha.. aur usne hi bataya Imran aur Nikhat ki sagai ke barein mein….Mr. Khan ko yeh bhi pata nahin ta Nikhat ka sagai tootgayi thi.. aur jab se unhe patha chala ki Najma usi Imran se pyaar karti hain. to woh bahut pareshan hogayethe.. aur pehle Nikhat ke barein mein sochna chathe the.. Poophi bhi.. pehle Nikhat se baat karna chathi thi.. lekin jab Mr. Khan ne Nikhat se phone pe baat ki.. tab unhe laga ki Nikhat ab kush hain.. aur I am sorry maine hi.. Poophi aur Mr. Khan ko pressurize kiya.. taki woh Najma ka nikaah jaldi se karwade..I am so Sorry again…"
Ayaan : "Zoya.. Nikhat ab bhi.. Imraan se pyar karti hain.. lekin Haseena bi ka khandan accha nahin hain…" and he narrates how they were after money and the reason why Nikhat broke the engagement.. and how Imran had promised Nikhat for a better life after their marriage and how he had not supported her during his mother's demands and also when his mother had shouted at her…
Zoya : " Ayaan.. Nikhat aur Najma dono yeh deserve kartein hain.. ki unhe accha kandan aur usse bhi accha shohar mile.. Phele humein yeh patah laga hain.. ki Imran kya sachmein Najma se mohabat karta hain ya nahin.. aur haan Nikhat.. allah acche log ke saath accha hi kartein hain.. ho sakta hain ki tumhara prince charming.. koi aur hai.. muje maaf kardo Nikhat .. yeh sab jane bagair..maine sab ko dukh dediya…"
Nikhat : "Nahin Babhi.. aisa math kahiye.. agar Imran mujse pyar nahin kartein hain.. to koi baat nahin.. main kisi aur ka pyar cheenna nahin chathi hoon.. aap itminan rakhiye.. main ab nahin roungi.. lekin haan.. Imran ne bahut wada kiya tha..Yakeen nahin horaha hai.. ki woh sab jooth tha… main yeh nahin chathi hoon.. ki woh Najma ko dukh de.. aap please kuch kijiye agar Imran sach mein Najma se pyar kartein hain.. to acchi baat hai.. …"
Zoya : "Rabert.. lagtha hain.. humein yahan kuch karna hoga…Imran ka cousin Farhaan mera accha dost hain.. hum dono New York main.. ek saath college mein the.. kya hum Farhaan ka madath le sakthe hain ?? woh mujse kabhi jooth nahin bolega…."
Imran's house
Farhaan is a good person .. He noticed a lady going to Imraan's room and so he hid himself to find out what was going on with Imran…He was shocked to know that the lady was blackmailing Imran to give money since she was carrying Imran's child else she would reveal everything to Najma.. Farhaan recorded all this in his mobile … and he did not pitch in till the lady left and Imran was alone…
Farhaan : " Imran.. yeh kya horaha hain….?? Yeh ladki kaun thi..? Kya chakkar hain ??"
Imran disclosed the details to Farhaan…
Farhaan :" Kya tumne yeh sab Najma ko batya hain ??"
Imran : "Nahin Bhaijaan woh nahin samjegi.. woh muje chodkar chalijayegi… Najma mera pehla pyar hain.. aur main use dubara khona nahin chatha hoon…"
Farhaan : " Har rishta sacchayi ki buniyaad pe tikhi rehti haan.. jooth se shuru karoge.. to kabhi na kabhi.. rishta toot jatha hain. aur takleef bhi utni hi hogi.. chalo.. hum Najma ke ghar chal the hain phele…"
Back at the Mazar…
Zoya takes out her phone to ring up Farhaan… and realizes that her phone was switched off… She switches it ON to find more than 50 missed calls from Asad and lots of messages from him.. As she was reading his messages, the phone rings again….displaying Asad's name…
Zoya : " Hello.."
Asad on Phone : " Zoya.. aap kahan hain ?? Aap ne wada kiya tha na ki aap muje chodkar kahin nahin jaoge… aap janti bhi hain.. in teen char ghanto mein main kitna pareshan tha…?? Aap bataiyen kahan hain.. main aaraha hoon…. Aapko lene…"
Zoya : " Ji Nahin Mr. Khan…"
Asad : " Please Zoya.. I am sorry.. main janta hoon ki muje woh sab nahin kehna tha…ghar aajao…mana math karo…"
Zoya had tears in her eyes since she could feel the pain Asad was going through and his voice was so disturbed.. " Mr. Khan.. main ghar aarahi hoon.."
She rings up Farhaan who tells her that he is already on his way with Imran to Najma's house since he had to discuss something very important…
Zoya : "Ayaan.. kuch to gadbad hain… Farhaan .. Imran ko leke ghar ja raha hain.. pareshan lag raha tha.. muje lagta hain.. humein bhi wahan abhi jana hain…"
So Zoya , Ayaan and Nikhat also start towards Asad's house…
Asad's House…
Farhaan and Imran reach Asad's house first.. Asad was looking better now after speaking to Zoya.. Dilshaad and Najma were also waiting in the drawing room since Farhaan had called up earlier and informed about their arrival…
Farhaan : "Mr. Khan.. Zoya kahan hain ??"
Asad got angry hearing this… " Kyun ?? Apki baat Najma ke barein mein hai.. ya Zoya ke barein mein ??"
Farhaan : "Mr. Khan.. muje Najma aur Imran ke barein mein hi.. baat karna hai.. lekin Zoya meri bahut acchi dost hain.. aur main jo bhi kar raha hoon .. ab woh sirf Zoya ke wajah se hain…"
Asad : " Kya matlab hai apka… ??"
Farhaan.. smiles : "Mr. Khan.. Zoya woh acchi dost hain.. jisne muje hamesha sacchayi ki rastein mein chalne sikaya.. rishton ki hemiyat.. sikhaya.. aaj mein ladkiyon ko respect karta hoon.. to woh Zoya ki wajah se..Isliye main aaj Imraan ka sach apke samne qubool karnekeliye lekar aya…batao Imran"
Before Imran could start, Zoya walks in with Ayaan and Nikhat…
Imran narrates how three years back Najma and Imran had met in college.. and the reason why Najma had left.. Later how he met Tanveer.. and spent 2 days with her in a drunken state.. and later how his mother had forced to marry Nikhat because of the dowry…
Imran : " Main Najma se sach mein pyar karta hoon.. "
Asad : "Tum kis Tanveer ki baat kar rahe ho ??"
Farhaan takes out his phone and shows the video recording of Imran and Tanveer… Everybody were shocked to see that it was the same Tanveer who had tried to black mail Asad few days back…
Zoya : "Is Tanveer ke barein mein tum baat kar rahein ho…"
Imran : " Sorry.. main Tanveer se kuch mahine pehle mila… aur baad mein woh muje chod kar chaligayi kyunki mere paas zyada paisa nahin tha.. aur usne hi bola tha..ki woh kisi rahiz kok fazyegi.. baad mein patha chala ki usne Asad ko fasane ki koshish ki thi.. ab woh muje keh rahi hai.. ki woh baccha mera hai.. aur mujse ab tak bahut paisa bhi le chuki hain…."
Najma : " Imran.. iska kya matlab hain.. tumne yeh sab muje bhi nahin bataya.. aur tum paisa kyun de rahe ho.. kyunki tum uske saath the… aur tumne yeh bhi kaha ki woh paison ki wajah se tumhe chod kar chaligayi.. "
Imran : " Najma yeh sach hain.. lekin.. tum mera pehla pyar ho…"
Ayaan : "Chup raho Imran.. Tumne yeh bhi chipaya Najma se.. Nikhat ne kyun tumse rishta todaha tha…" and he tells Asad and family all the details about how Imran and Haseena had tortured Nikhat and also tried to extract money from Rashid…
Farhaan : " Imran.. muje afsos hai.. ki tumhare jaise insaan mere bhai ho.. agar Khala ne paison ki itni maang kit hi.. to tumhara farz banta hai.. unhe rok ne…"
Najma : " Imran.. muje bhi afsos hai.. ki maine tumhare jaise insaan se pyaar kiya…please yahan se chale jao.. mein janti hoon ki Tanveer kaisi aurat hai. Usne mere bhaijaan ki zindagi barbad karne ki koshish ki.. lekin muje yeh dekh kar hairan hoon.. ki tum kitne kamzor ho.. ek ke baad ek ladki ko manane ki koshish karthe ho.. Please jao yahan se… tum pehle ek accha insaan bano.. baad mein tumhe acchi ladki zaroor milegi.. Tumhari wajah se hum bhai beheno mein itna kuch tension baadgaya…Please chale jaoo"
Zoya goes and hugs Najma and consoles her….
Zoya : " Farhaan.. Thanks.. tumhari wajah se.. aaj humare parivar ko nayi zindagi milgayi.. "
Farhaan : " Zoya.. tumne jo bhi mereliye kiya.. usse bad kar to yeh nahin hain… tumhari wajah se aaj mere abbu aur ammi mere saath hain..Tumhara yeh dost.. tumhari har takleef main hamesha saath dega.. Jab muje patha chala Imran aur Tanveer ke barein mein.. tab main sirf tumhara is parivar ko bachana chaha.. Imran ko uski galti ki saja milgaya.. main us ghar main sab sambhaloonga.. ab main chaltha hoon…"
Asad was feeling very angry at himself.. not only for shouting at Zoya but also for not understanding her properly.. He just wanted to go and hug her at the moment for her selfless love towards him and his family.. With little drops of tears, he looks at Zoya but she was busy consoling Najma…
Ayaan : " Bhaijaan.. muje bhi maaf kardijiye.. main kal gusse mein aapko bahut kuch sunadiya.. Aaj Zoya Mazar mei mujse aur Nikhat se mili.. aur sab samjaya… aap pareshan math hoiye.. Nikhat bhi zindagi main aage badegi…Zoya ne use bhi samjaya hain….aur muje yakeen hai ki Najma bhi sambhal jayegi.. "
Najma : " Ji Bhaijaan… jiske paas itni acchi bhaijaan aur babhi ho.. woh kabhi dukhi nahin hogi…"
Dilshad was very happy to see how Zoya had united the brothers and sisters and also the conflicts that was going on in the family….
Dilshad : " Zoya .. I am proud of you… Tumne ek acchi bahu aur beti ki tarah sab ko samjaya aur is mushkil gadi mein.. tumhara dost bhi hamari madath ki…."
Everybody were finally relaxed .. Ayaan and Nikhat had left.. Zoya had not spoken to Asad and she had not attempted to look at him as well..which was troubling Asad a lot…
Zoya did not join for dinner as well. She mentioned to Dilshad that she was tired and she wanted to sleep early and that she was not hungry.. Dilshad understood the reason but she wanted Asad and Zoya to sort out things between themselves…
Asad : " Ammi.. Zoya nahin ayi dinner keliye.. "
Dilshad : " Shayad bahut taq gayi hain Asad.. "
Asad : "Ammi main dekhta hoon…."
Dilshad : "Asad.. main aur Najma apne kamrein mein jate hain.. agar Zoya ko khane ka man hota hai.. to khana table par hi hain.. "
Asad : "Ji ammi"
Asad knocks and enters Zoya's room..Zoya was lying on the bed with tears in her eyes.. As soon as she notices that Asad had entered her room, she closes her eyes .. He goes and kneels down next to her bed and tries to take her hand in his hand…but Zoya pulls away her hand from him …
Asad : " Zoya.. muje patha hain…. ki tum mujse bahut naraz ho.. I am sorry.. Main hamesha apko dukh deta rehta hoon.. shayad main apke layak hi nahin hoon.. "
Zoya gets up angrily and shouts back.. " Mr. Khan.. aap se kitni baar maine kaha hai.. ki aap aisi baatein nahin karengi.. ??"
Asad with tears in his eyes.. : "Aap ghar pe subah se nahin ti.. main bahut pareshan hogaya tha.. aur apka phone bhi band aa raha tha.. aur jab se aap ayi hai.. aap mujse baat bhi nahin kar rahi hain.. aur muje dekh bhi nahi rahi hain.. to main aur kya samjooo..."
Zoya : " Mr. Khan.. I am sorry.. maine apse wada kiya hain na.. ki main apko chodkar kahin nahin jaoongi.. to phir aap itna darthe kyun hai…?? Aur main baat isliye nahin kar rahi thi.. kyunki muje laga ki aap shayad abhi bhi mujse naraz hai…."
Asad : " I am sorry and I love you.. aap mujse naraz nahin ho na…??"
Zoya smiles and tells.. "Nahin Mr. Khan" and hugs him…..
Dilshad who was watching all this smiles happily and returns back to her room quietly….
==============================================================================