On the idea given by pkaur92 i am starting this topic which will have all the urdu dialogues delieverd by Asad so here goes:Request to Mod's i feel this one should be a sticky topic...so if the other members also feel it is okay then requesting you to make it a sticky one
- Ishq waqt zaaya karne ka zariya hain, hum khush kismat hain ishq se haseen humari duniya hain (First Promo)
- Agar ladkiyan apni nazrein neechi rakhkar chalein toh unhe aur kissi ki hifazat ki zaroorat nahi padegi aur ghar se aise tamasha bankar niklegi toh sab aisehi dekhenge,jisse aap pabandhi keh rahi hain usse hum tehzeeb kehte hain, Numaish Paschim ki ada hain aur sharam purab ka gehna, isss mulkh main auratein issi gehn se sajti hai,barhaan aapke nikaah ke roz main aapse behas nahi karna chahta,agar aapko iss mulkh se itni problem hain toh wapas New York kyun nahi chali jaati,bada ehsaan hoga aapka iss mulkh par (To Zoya)
- Jinhe khamoshiyon ki aadat hoti hain unhe tanhaiyaan achi lagte hain (To Dilshaad)
- Joh jhukte nahi woh toot jaate hain (To Ayaan)
- Jo Jo Duaoon ke chiragoon talee hote hain unki zindagi mein kabhi andhera nahi hota (To Nikhat)
- Joh Dil main hote hain unhe dua dene ke liye kahin jaana nahi padta (To Ayaan)
- Batameezi ki bhi hadh hoti hain (To Himself)
- Dimaag kharab hain tumhara,tum nahi samjhoge ayaan,soch raha hoon tumhe ghar pe bardasht kaise karte hain,mujhe kyun bataa rahe ho,agle Do din main masroof hoon,hmm, incredibly foolish,ayaan kya badtameezi hain yeh,beta andhar chalein,ayaan miyan kahan gayab hogaye aap beech main se,aapke sab zaroori kaam janta hoon main,yaad hain yaad hain nayi bike aa jayegi,acha sunoo sambhal kar jaana,Khuda Haafiz (To Ayaan)
- Har aadmi ko ye samjh jana chahiye ki unhe aurato ko izzat deni chahiye, ek aurat bhi izzat ki utni haqdaar hai jitne admi hote hai ,aur ye taalim unhe pehle se de deni chahiye taaki woh kabhi bhi kisi bhi aurat ko buri nazar se na dekhe aur unki respect kare (To Akram and Gang during kidnap)
- Aapke Armaano ka khayal hain mujhe ammi (To Dilshaad)
- Aapko sadak par chalne ki tameez nahi hain toh ghar par kyun nahi rehti hain aap (To Zoya)
- Kaisi behudi aur ghatiya baatein kar rahi hain aap...aap hain kaun...thi kaun yeh badtameez aurat...Kahin ammi kissii musibat main toh nahi (To Razia)
- Agar aap aurat na hoti toh bakhuda aapki zubaan khich leta, main aapse behas nahi karna chahta aap apne ghatiya khayal apne paas hii rakhiye, aap iss aurat ki bezatii kar rahi hain jisne apna shauhar aapki behen ko khairat main diya hain, meri ammi kitni paak hain yeh aap jaise ghatiya logon ke liye sochna bhi muskhil hain...Bass behtar yahi hoga ki aap khamosh rahiye, ammi aapko inn gire hue logon ke saamne safai deni ki koi zaroorat nahi aap ghar chaliye, Ammi aapko safai dene ki koi zaroorat nahi aur nahi kissi badtehzeeb aur ghatiya aurat ki baaton par rone ki zaroorat hain ab aap apne aansu poochiye (To Razia and Dilshaad)
- Mere zakhm itni jaldi nahi bharte (To Rashid)
- Aur Agar Waqt khud zakhm bann jaye toh (To Dilshaad)
- Mere baap ka saaya mere sarr se 17 saal pehle uthh gaya tha (To Rashid)
- Joh ladki apne culture ki aur apne aaspaass ke mahaul ki izzat na karein woh kissi aur ka khayal ya parwah nahi kar sakti aise log sirf apne baarein sochthe hain (To Zoya)
- Kyunki mujhe aapke jaise gairzimedaar, azad khayaal aur badtameez ladkiyan bilkul achi nahi lagti jinhe apni tehzeeb ki parwah na ho aur naahi apne aaspaas ke mahaul ka hosh (To Zoya)
- Aur Allah kare aapko aisa Ladka mille joh aapko tehzeeb ki ahmiyat sikhaye, tameez ka matlab sikhaye, aapke paarr kaante aur aapka dimaag seedha karein (To Zoya)
- Aapki saubat main rehkar besharmi se jhoot bolna nahi seekhi .Insaan main tehzeeb aur adab ki buniyaad bachpan main daali jaati hain maa baap dalte hain kamse kam hindustan main toh aise hi hota hain lekin shayad aapke maa baap ke paass aapko adab sikhane ka waqt nahi tha kahin aur masroof the woh galti aapki nahi hain galti aapki maa baap ki hain agar woh aapko nekh tarbiyat dete toh shayad aap aisi nahi hoti aur agar ammi aapko iss ghar main rakhne par amaada nahi hoti toh main aapko jaane se kabhi nahi rokta agar aapki yehi marzi hain toh main aapko rokunga nahi (To Zoya)
- Allah na kare mujhse aapse kabhi baat karni pade agar saari qayanat khatam ho jaye aur iss duniya main sirf aap aur main bacche tabhi main aapse baat nahi karunga (To Zoya)
- Aap kisi ka nikaah kya karayengi aap toh khud apni nikaah se bhaagi thi na, aap hi hain na woh ladki jisne akram ko nikaah ke liye haan kaha aur phir nikaah ke roz wahan se bhaag gayi, aapke liye duniya main har cheez ek mazaak hain doosron ke jazbaat doosron ki izzat aapke liye bilkul bhi important nahi hain, mujhe kuch poochne ki zaroorat nahi hain main aapko achi tarah se jaan gaya hoon aap bagair soche samjhe faisle leti hain aur jab unn faislon ke nateeje saamne aate hain apne aap ko masoom sabit karne ki koshish karti hain jaise yeh elena waala masla, aapke liye yeh sirf ek mazaak hain itni badi baat hogayi aap yahan baithi hass rahi hain jaise kuch hua hii nahi tha, agar aap tayaar nahi thi toh pehle bhi bol sakti thi kyun nikaah ke roz kisike khandaan ke izzat ka tamasha banaya aapne, aapne unke baarein main ek baar bhi nahi socha ki bechare akram aur uske khandan par kya beeti hogi, ab khuda ke liye yeh matt kahiyega ki akram aur uske khandaan waale gunde hain aur aapke saath zabardasti kar rahe thee main akram ko achi tarah se jaanta hoon woh mere office main teen saal se kaam kar raha hain uske baarein main jhoothe kisse matt banaye main janta hoon galati aaphiki thi kyunki aapne yeh baat hum se chupayi aake ghar waalon ne aapko yahan rehne ke liye toh bhej diya lekin aapki harkaton ke baarein batana toh bhool gaye aur agar aap galat nahi thi toh aapne yeh baat hum sab se kyun chupayi (To Zoya)
- Ammi khuda ke liye usse bechari matt kahiye (To Dilshaad)
- Ayaan se kaise na miloon ammi maine uski ungli pakadkar usse chalna sikhaya aur aaj jab woh chalne laga hain toh aap keh rahi hain ki usse rasta dikhane ke liye uske saath na rahoon(To Dilshaad)
- Acha hua aaj ke zaamane ki ladkiyon se door hi raho toh behtar hain uss roz jab uss ladki ki wajah se woh sab kuch hua tha ussi roz ek sahiba mere gaadi ke saamne bhi aayi thi bahut hii badtameez ladki thi ajeeb baat hain jiss ladki ka main jikar kar raha tha woh mujhe doobara milli thi aur phir se tamasha kiya that usne,pata nahi, maine kaha na pata nahi,kya meri waali meri waali laga rakha hain,kya hua,ayaan bekaar ki baatein bandh karo aur jao apni bike pick up karke aao (To Ayaan)
- Aap yahan bhi mujhe toh lag raha hain aap mujhe follow kar rahi hain,toh jaake apna kaam kijiye mujhe ghoorna bandh kijiye,aap meri baat suniye,yeh pepper spray ka acha tamaasha hain aapka,dekhiye mujhse door rahiye,jiske ghar pe aap rooki hain woh ghar izzatdaar aur shareef hain yeh maanna mere liye thoda mushkil hain, jiss ghar main aap reh rahi hain uss ghar ki taraf main moodh kar bhi dekhna nahi chahoonga Allah haafiz (To Zoya)
- Acha hain aap ek mahine ke baad hindustan se chali jayengi, mulk ki aabo hawa phir se pehle jaisi ho jayegi (To Zoya)
- Aap mere gair maujudgi main mere ghar aaye,pehle italah kar diya hota toh mehmaannavazi ke liye main khud maujud hota,rishta banakar tod dene ka hunar toh sirf aap logon ko aata hain,issiliye aap logon ko lagta hain ki duniya main har insaan ke liye rishta todna aasan hota hain,unse kya maangna joh khud apna sab kuch loota chuke hain aur rahi baat aapki jisse bheek mangni hoti hain wahi doosron ke darwaze pe jaya karte hain aur aap khud humare darwaze par aaye thee,gusse par kaboo rakhiye,iss umarr main itna gussa hona sehat ke liye theek nahi hota aur raha sawaal mera aur ayaan ka hum dono jante hai ki shayad aaj yeh humari aakhri mulakat hain aur aaj bhi hum itefaaq se hi mile(To Mamujaan),Miss Farooqui yeh aapne theek nahi kiya (To Himself)
- Khuda jaane woh din kab aayega jab aap meri zindagi se Ruksat hongi (To Zoya)
- Yeh kya hain,kis baat ke liye,It's okay,It's okay,Aapse kisne kahan mujhe aapke iss paste ki zaroorat hain aap please mujhse door rahiye,main khud ko kyun badlunga,aap mujhe unse compare kar rahi hain,Miss farooqui,Aap kissike culture jaane bagair unke baarein main raai bana leti hain, ji aur aapko lagta hain ki aap bahut modern hain Lekin aapki modern ki defination aapke libaaz tak hi hain asal main aap nihayati judgemental ladki hain, mere paas aapke liye ek advice hain jiss baarein aapko samajh nahi hain usse door hi rahiye toh behtar hoga,Toh aap chilate rahiye main jaa raha hoon,shayad aap bhool rahi hain jiss ghar se aap mujhe bahut door janne ke liye keh rahi hain woh mera hii ghar hain aur aap yahan mehmaan hain,pata nahi woh din kab aayega aapka bass chale toh aap isse apna permanent address banale aur apne naam ka ek name plate bahar latka de aur kahiye ke yeh mera hain,sahi kaha aapne musibat se door hii rehna chahiye(To Zoya)
- Aap phir se yahan kya kar rahi hain,ayaan,kya baat hain ayaan sab khairiyat,ayaan tum jante ho tumhe yahan nahi aana chahiye tha,ayaan tumhari ammi ne tumhe kasam dii hain tumhe woh kasam todni nahi chahiye thi,siddiqui sahab kya karenge aur kya nahi karenge tumhe bhale iss baat ki parwah na ho lekin tumhari ammi ki dii hui kasam tumhe nahi todni chahiye thi,nahi ayaan main aisa nahi kar sakta tum mere liye bahut aziz ho mere bhai ho tum lekin main tumhe ammi se uppar ka darja nahi de sakta mera poora wajood ammi ki badaulat hain khuda ke baad agar mera sarr kissi ke saamne jhukha hain toh woh ammi hain main unki dii hui kasam nahi todh sakta chalo ghar jao darwaze se (To Ayaan)
If you remember any more do comment i will update the list here
Edited by Eternal1234 - 12 years ago