I have written a FF on SaRuv after they have confessed their love to each other...and how their Love intensifies and how others are reacting when they are one by one coming to know of their unusual Love
SCENE 1
Ulka Kaaku: aaj mein ek khushkhabri lekar ayee huin...Diwali ki pooja Saanchi ke liye tohfa layee hai.
Naani: Ulka tu kya bol rahi hai, khul kar bata agar puran poli khatam ho gayee ho to.
Ulka kaaku tells naani and aaji that this diwali she has brought a very good rishta for saanchi and going by the speed with which saanchi has been refusing rishtas they should be happy that atleast one rishta has come. Naani and aaji both asks Ulka about the rishta in excitement...
aaji: mein bas yahi chahti huin ki ye farm warm chod ke saanchi ghar basa le...kabhi apne liye bhi jee le par wo hai ki use ladko mein koi dilchaspi hi nahin hai...har ladke ko reject kar deti hai par is baar nahin...is baar mein bhi dekhti huin ki wo kaise mana karti hai.
Naani: behanji par saanchi se ye baat karein kaise...shaadi pyaar se to wo koson door hai...use to sirf apni zimmedariyan hi nazar aati hain. Meri to himmat nahin hai. Dekhti nai hai ladke ka naam sunke hi wo bhadak jaati hai, pata nahin kaise wo kisi ko apna maan payegi.
aaji: to hum phirse kisi ki madad le lenge.
Both naani and aaji say together DV aur kaun.
naani: Dv ne Prachi ki shhadi tutne se bachai thi aur aadu ne bataya ki Sunil saanchi ko DV ke hi samjhane par ghar le gaya warna na jaane kya anarth ho jaata. ye ladka hum sabke liye ek farishta ban kar aya hai aur mujhe lagta hai saanchi ki zindagi mein rang DV hi bhar sakta hai. kitna pyara baccchha hai na.
SCENE 2
Dv is lost in saanchi's dream and how the past few days have been so beautiful in their life. he realises that saanchi has been keeping happy after the confession and chori chupe pyaar karne mein ab use bhi maza aane laga hai...how she rejoiced the other day when she saved them from being caught together by Ulka kaaku and now he sees a naughty smile on her face always...something which DV feels so deeply content with...seeing saanchi living her life...something he always wanted sanchi to do. he is remembering how he once said ki saanchi apni saari pareshaniyan meri baahon mein khaali kar de and now when she is doing it, how much pleasure it gives him to give her her smile back.
naani and aaji come to his house to again ask him to get saanchi think about marriage.
DV: zohra zabeen aaplog yahan...sab kuch theek hai na.
naani: Dv tu hi kar sakta hai beta...meri saanchi ki zindagi me pyaar le aa.
Dv fumbles and is flabbergast...has Saanchi told them the truth?.
DV: mujhe pata tha ki meri zohra zabeen mujhe zaroor samjhengi...mein tayaar huin aur Saanchi ji bhi tayaar hain.
aaji: tumne Saanchi se baat kar bhi li, par tumhe kisse bataya ki Saanchi ke liye ek rishta aaya hai?
DV now realises what aaji and naani have come to say. They again want him to talk to Saanchi about the new rishta and are afraid to talk to her on their own. But this time they need to know the truth...he can't lie to them.
Ulka Kaaku: aaji aap yahan Dils ke ghar par hain aur wahan ladkewalon ko Milne ka time dena hai..ghar chaliye unke aane par khatirdari ki planning karni hai.
Aaji and naani hesitate as how can they fix the meeting without asking Saanchi but Ulka is in super hurry...itna time lagaogi ladke walon se baat karne mein to wo nai aane wale...phir apni ladki ki umar bhi to dekho...koi handsome, young, badi family ka ladka to khud chalkar uska hath maangne ayega nahin ki aaji mujhe kuch nahin chahiye bas apki saanchi mujhe dedo. kitni mushkil se ye rista aya hai aur tumlog...mein kadu bolti hai par khara bolti hai.
aaji consents to go woth Ulka to talk to the ladkewaale and naani choses to stay there with DV and make plan to get saanchi agree to this rishta.
naani: DV beta ab tu hi kuch kar...saanchi ko shaadi ke liye mana le.
dv: naani agar mein kahun ki ab aap apni saari chinta mujhe saup do aur mein saanchi ji ko shaadi ke liye mana chuka huin to aap meri baat manogi.
naani: beta ye mazaak ka waqt nahin hai...tum nahin samajh sakte ki humein saanchi ki kitni chinta hai.
dv: naani agar mein nahin samajh sakta to meri guarantee hai ki is duniya mein koi aur nahin samajh sakta.
naani sees dv in amazement...she is puzzled on what dv was saying.
dv: naani mein saanchi ji se shaadi karna chahta huin.
naani is shocked as well as angry...
DV...aisa mazaak ...tum karoge meine kabhi nahin socha tha...naani is furious on dv and thinks he is making fun of saanchi.
dv: naani meri zindagi ban gayee hain wo...mein apni zindagi ke saath kaise khel sakta huin.
naani is more shocked...
dv: mein saanchi ji ko wo pyaar dena chahta huin...jo unhe apne papa se milta tha...wo sukoon dena chahta huin jo apni ma ki god mein sokar unhe milta tha...wo dular dena chahta huin jo unhe naani aur aaji se kahaani sunkar milta tha...aur wo khushi dena chahta huin jo unhe aadu aur prachi ka khayal rakhkar milti thi...aur in sab ke baad mein unhe apni ashiqui ki had dikhana chahta huin...deewangi dikhana chahta huin ki koi sirf unke liye jeeta hai aur unke lie mar bhi sakta hai.
naani has her mouth open in amazement and disbelief that she is hearing someone expressing the deepest of feelings for saanchi with so much firmness and honesty. she could see the charm on dv's face which was illuminating with the light of love and truth. naani knew that dv was not lying and somehow she knew she cannot distrust dv.
naani as a natural reaction put her hand on dv's head in blessings and went from there with tears in eyes and ultimate joy in heart...she did not want to show Dv her state and thus without speaking a word left.
naani reached home lost in thoughts and aaji was making plans of the welcome all excited.
aaji: are suman achha hua tu aa gayee, tere bina mitha kya banega ye kaun decide karega...mein soch rahi thi ki boondi ke laddo bana luin, ek tujhe bhi de dungi bas saanchi bara ka rishta pakka ho jaye bappa.
naani is still in the hangover of DV's confession and is not in a state of mind to react to aaji's talks even though they were about naani's weakness i.e sweets. naani told aaji that she is not feeling well and needs to go and rest for a while. aaji coaxes naani that she is still not completely revovered but would still dance from here and there the whole day while she should be resting.
naani goes to her room and is still DV's words are ringing in her head.
SCENE 3
saanchi comes back home and sees the preperations going on. she asks aaji what is it for but aaji escapes to answer and just says that its for all of them only. Aaji wanted DV to do the talk as she did not want to see saanchi getting all tensed...this time she really wanted saanchi's marriage and dv was her last hope.
aaji also tells saanchi of naani's health and saanchi runs to see her in her room.
SCENE 4
saanchi all worried : naani kya hua aapko...doctor ko bulaon.
naani still not able to gather herself from the shock: mumbles in mouth...ab sab kaise theek hoga...
saanchi: naani kya bol rahe ho aap...kya ho gaya hai aapko...paseena bhi aa raha hai...naani kya ho gaya?
naani: beta neeche tere liye ladkewalon se milne ki taiyaari ho rahi hai...wo log kal aa rahe hain...mein DV se request karne gayee thi ki wo tumhe mana le par...
saanchi: naani mere liye ladka bhi aa raha hai aur mujhe bataya bhi nai...aur DV se kya baat karne gaye the aaplog.
naani: dv ne sab bata diya saanchi...wo jo mujhe khushi bhi de rahi hai baat aur dara bhi rahi hai...naani gets more and more tensed...saanchi wo tujhse pyaar karta hai...and she starts crying.
saanchi recollects naani and says "pata hai"
naani is more shocked...tujhe pata hai aur tune humein bataya nahin...saanchi wo bacchha hai use samjhane ki zaroorat hai...aaj mujhe use dekhkar bahot bura lag raha tha...wo pain mein hai saanchi aur jis wajah se hai wo use mil nahin sakti...tu use samjhana beta...wo teri baat manega...kaash DV ki jagah tere liye koi aur ye sab kuch bol raha hota to mujhse zyada khush aur koi nahin hota par ghar ke bacchhe ki hi tarah to hai dV...uska dukh mujhse dekha nahin jayega...
saanchi gets silent...use nahin pata ki Naani ko wo baat kaise samjhaye jiske liye uska dil abhi tak kabhi kabhi peeche hat jaata hai...she wonders how she would be able to show naani her heart which despite knowing their age difference still only beats for DV...wo DV ko itne dino se samjha hi to rahi thi par samjhate samjhate khud hi samajhna bhool gayee...kho gayee un baaton mein jo dv kabhi apni zubaan se to kabhi apni aankhon se bolta tha...kaise kahe wo naani se ki use bhi utna hi pain ho raha hai jitna dv ko.
Dv enters:
saanchi: naani kya kuch nai kar sakte hum...kya ye itna galat hoga...kya mujhe Dv kabhi nai mil sakta and this time she unable to control her inner emotions begins to cry.
dv comes and holds her...wipes her tears.
dv: mein chota huin jaanta huin, shayad saanchi ji jitna life ko seriously nahin leta, shayad doston ke saath party mein jaana aur loud music sunna pasand karta huin, shayad der se ghar lautne par mummy ki daant se bachne ke liye jhooth bhi bol leta huin par wo insaan jo umar mein saanchi ji se bada hai aur jo life ko seriously mujhse zyada leta hai wo unhe mujhse zyada samajh sakta hai ye nahin maan sakta. jab umar ek dusre ko samajhna nahin sikha sakti to pyar ko kaise control kar sakti hai. aapsab bina jaane ek 45 saal ke aadmi se saanchiji ki shaadi sochkar khush the jiske paas shayad umr ke siva aur kuch nahin tha par mere liye itna dar rahe hain jiske paas sirf umr nahin hai.
saanchi: crying like a baby now...she asks naani...naani mujhe de do dv...more crying...please de do...keeps crying. mere chupe hue aansu bhi wo dekh leta hai...mujhe rote hue bhi khilkhilake hansa deta hai..meri zimmedariyan mujhse badkar uthata hai...mein kaise use pyaar na karoo naani ussse jo mujhe toot kar chahta hai
naani asks herself...is this our saanchi...love has given a new meaning to het life...she is glad that at last saanchi is telling herself tu jee le zara...
she feels so relieved knowing saanchi has found her soulmate a companion for life and she is ready to fight the world with them...she knows only dv deserves saanchi and she is now happy that saanchi is in love.
naani blesses them both and says she is on their side...but the biggest hurdle around is Aaji who has invited the ladkewalas and is so very excited about their coming, and aaji being the more traditional one needs to be told this tactfully as otherwise she would get very upset knowing this...all three decide not to tell aaji instantly and go by the current...but this means meeting the guy for marriage.
saanchi is not ready for it but DV takes the lead, shows his 32 teeth and his lawyer like confidence.
dV: saanchiji aap bas us ladke se miliye aur baaki sabkuch mujhpar chod dejiye aur phir shahrukh khan ne kaha tha na ki dulhaniya to dilwale hi le jayenge...
the moment again gets light again and when all of them are laughing aaji enters...
Aaji: saanchi bara tujhe itna khush dekhke mujhe aur teri naani ko bahot khushi hoti hai...then she asks DV through eyes whether he has dicussed the matter with her.
DV: aaji, saanchiji bilkul tayaar hain us ladke se milne ko...par kuch to bataiye us ladke ke baare mein.
naani: haan behanji, aap aur ulka to kabse ghar chale aye the, kya baat hui ladke walon se.
saanchi is quiet...she is not able to act fake as DV and naani were...she was not even liking the mention of any guy for marriage...but DV ke saamne use kya ho gaya aajtak uski samajh se bahar hai...they say na when you know why you like someone its attraction but when you dont even know why you like a person its love. It was a new feeling saanchi was going through and why she was feeling so much scared this time meeting a guy, even she was not able to understand it...but anything which created even slightest of possibility to take her away from DV was scaring her beyond imagination. Saanchi did not even share it with DV and agreed for his plan.
aaji: lo ulka bhi aa gayee wahi batayegi.
DV: aaji aapne ladke walon ko kal ane ka time bhi de diya hai aur ladke ke baare mein kuch poocha tak nahin hain.
aaji tries to escape the question and steals her eyes and starts looking here and there but naani also intervenes...
naani: behanji aap saanchi ki shaadi ke utawlepan mein aise faisle mat le lena ki baadmein pachtawa ho
aaji: bas bas mein kya saanchi ki dushman huin...wo ulka keh rahi thi ki pehle milne ka samay tay kar lete hain kahin aur se rishta na aa jaye ladke ke liye...ladka theek hi hoga...ha...hoga...aaji starts murmuring the rest within herself as if consoling her that the guy will be good.
DV: mein aur infact hum sab samajhte hain ki aapko saanchiji ki shaadi ki chinta ho rahi hai par aaji ek galat faisle se faisla na lena kya behtar nahin hota...atleast faisla na lene se aaj ki situation improve nahin hoti par galat faisla lene pe to wo aur kharab ho sakti hai.
aaji: mein apni saanchi ka kabhi bura nai hone dungi...dekhna meri bara ko sundar, jawan, acchhe ghar ka ladka milega jo use bahot pyaar karega aur samjhega.
naani: mujhe ab pata hai...saanchi ko aisa hi ladka milega, ab ye hamara sirf sapna nahin hai...and she has a smile of satisfaction on her face.
SCENE 5
Ulka kaaku: ladka...ladke ke baare mein kya jaanna hai...are 42 saal ka hai, acchha kamata hai, pehli shaadi nahin chali biwi ko padha likha ladka chahiye tha...isliye ladke walon ne saaf saaf batane ko kaha tha is baare mein.
naani: pada likha kam hai ka kya matlab hai...kitna padha hai aur kya kamata hai?
ulka kaaku: choti umar mein business karne wale marwadi ladke kahan zyada padte hain...jewellery ka business hai..saanchi ko sone mein tol dega.
aaji: to kya hua pada kam hai...saanchi ko samjhe aur pyaar kare humein aur kya chahiye.
naani: saanchi se 8-9 saal bada bhi to hai, aur phir ye uski pehli shaadi nahin hai...nahin nahin humein is ladke ke baare mein nahin sochna chahiye...naani justified the refusal so that aaji also cancels the meeting.
aaji: suman, rishi to 45 saal ka tha tab to tumne umr ka fark nahin uthaya tha...umr se kuch nahin hota...agar pati patni ek dusre ko samajhte hain aur pyaar karte hain to shaadi bahot acchhi kathti hai.
dv started smiling seeing saanchi...the same heartstealing smile..
naani: theek hai, mil lete hain ladke se par aap kal bhi apni kahi ye baat yaad rakhna kyonki mein phirse ye baat aapse puchungi..
aaji enthusiastically and naani relentlessly starts preperation for their welcome and asks saanchi to bring the groccery.
SCENE 6
dV: saanchiji yuin akele akele ab aapko kahin nahin jaana chahiye...aapka boyfriend ek handsome ladka hai...use saath leke jaiye...tashan padega...
saanchi: boyfriend...tum paagal ho DV...ab hum girlfriend boyfriend hain? she starts blushing with the mention of boyfriend term...
dv: to aur kya warna aap hi bataiye ki humara rishta kya hai...humari abhi shaadi nai hui to hum husband wife to hain nahin aur ab mein neighbour and just friend se kuch to upar huin hi...bolo bolo...wahi Dv wali shararat ke saath dv starts teasing her.
Saanchi: stop teasing me DV warna mein chillaongi...saare log collect hokar tumhe peetenge...fir pata chalega..and saanchi starts teasing him back
dv: haan to chillaiye na...waise meine socha puch hi luin ki waise hi chillaengi na jaise diwali par apne room mein mujhe i love you bolne se pehle aap chillane wali thi...
saanchi started blusing more...
saanchi: haan chillaongi
dv: nahin chilla payengi
saanchi : haan
dv: nahin
saanchi: haan
dv: phirse nahin
saanchi : dhruv
dv: saanchi
and they both stop and get silent for a while, absorbing what they have said just now...how they addressed each other with so much authority !
Dv: mujhe Dhruv hi kahiyega acchha lagta hai.
saanchi: mujhe bhi tum saanchi kahoge to accha lagega Dhruv.
romantically both start looking into each others eyes and feel the intensity of the moment
background music-
chup tum raho chup ham rahen
khamoshi ko khamoshi se zindagi ko zindagi se baat karne do
chup tum raho ...
aankhon mein kho jaaye aankhen bole haathon se haath
baahon mein chupkar saanson se jaise dole raat
ungaliyo ko ungaliyo se mausamon ko shokhiyon se baat karne do
honthon par honthon se likhe bin shabdon ke geet
dharati se ambar tak guunje jismon kaa sangeet
bekhudi ko bekhudi se aashiqui ko aashiqui se baat karne do
chup tum raho ...
SCENE 7
Prahu Niwas
Aaji is super excited and making all preparations for the coming guests and naani is assisting her in nervousness. She trusts DV that he will solve any mess but still her heart was pounding on thinking! what will happen next.
Saanchi: mein saara saaman le ayee huin aaji aur ab aap Jakar thoda rest kar lejiye aur mujhe bata dejiye kya banna hai...mein bana deti huin...
Aaji: bara aaj tu office...
Saanchi: nahin jaongi aaji...khush...
Aaji seems satisfied and happy with her reply and she asks her to get ready for the guests and she will do all this work and sends her to her room.
Dils: aaji mein aa gayee Saanchi ko ready karne ke liye
Aaji: acchha hua...ja aur aaj Saanchi ko aise tayaar karna ki uske chehre se kisi ki nazar hi na hate.
DV: mein bhi aa gaya aaji...mujhe bataiye special guests ke liye kya taiyaari karni hai...
Aaji: tu mitha wale ke paas ja kar dekh to ki abhi tak bani ki nahin...
DV leaves
Saanchi's Room
Saanchi: mujhe kuch makeup nahin karna Dils...tum please bura mat manna...par mera kuch man nahin kar raha.
Dils : Saanchi aaj tujhe yun DV ke liye pareshaan dekhkar yakeen nahin hota ki ye wahi Saanchi hai jo DV se kabhi pyaar nahin karegi ye maankar DV sabkuch chod kar jaa raha tha...agar tumhara lawyer tab court case nahin chodta to shayad jo miracle hua hai wo nahin ho pata. Meine tak DV se hamesha yahi kaha tha ki Saanchi tumhe kabhi pyaar to nahin kar payegi...Saanchi I am very happy for both of you.
Saanchi : Dils Dhruv se mein kyon pyaar karne lag gayee ye to mujhe bhi nahin pata but jab jab uske baare mein sochti huin to mujhe uski masoom is aankhen yaad aati hain...jisne shararat bahri hui hai...un aankhon mein jaise pyaar hi pyaar bhara hua hai...wo pyaar jo sirf mere liye hai. Dhruv jab un aankhon se mujhe dekhte hai to mujhe sharm aane lagti hai..lagne lagta hai ki mein sundar huin...lagne lagta hai ki mujhme bhi ehsaas hain..mein jitna chahoon par un annkhon se bach nahin paati.
dils gets tears of happiness in her eyes
dils: to aaj mein tumhe DV ke liye tayaar karungi...uski un aankhon ke liye jo tumhari beauty mein aaj doob jayengi.
saanchi: haan aaj mein apne Dhruv ke liye tayaar hona chahti huin.
dils: saanchi tum aaj sachme bahot sundar lag rahi ho
saanchi: nahin abhi kuch kami hai...she ties her hair...haan ab mein Dhruv ki saanchi lag rahi huin.
SCENE 8
Guests arrive
Ulka kaaku: ye Ramesh hain aur saath mein inke maata pita
everyone greets the guests and dils asked to bring Saanchi.
Saanchi comes down looking divinely beautiful...Dv notices her tied hair and seeing it he blushes...he know Saanchi is now his...Saanchi also only looks at him and asks through eyes how is she looking and as a gesture Dv just closes his eyes and opens it after a long pause as if absorbing Saanchi's beauty in his eyes. Only dils notices this.
Dils to herself: waah kya pyaar hai...kya pyaar itna khoobsurat hota hai? she smiles and leaves for kitchen.
aaji: ramesh ji aap apne baare mein kuch bataiye.
ramesh: scornfully replies...mere baare mein pata karke hi aapne mujhe bulaya hoga na...
no one likes the reply but stays calm
Ramesh's mother: dekhiye bura mat maniyega Ramesh ki baat ka...itne saare employees ko sambhalte thoda sa kadak ho gaya hai...
DV had done his homework on Ramesh when he has gone to bring sweets. He had explored his basic details from Ulka kaaku tackfully and rest was on facebook. He was aware that Ramesh is high headed and short tempered. he is not suitable for Saanchi and unless he brings out this infront of Aaji she would not want to let go this rishta.
Naani: saanchi strawberry farms chalati hai jo uska sapna hai...aaplog bhi Panchgani ke hi hain to ye accha hogaya ki woh apna farm bhi chalati rahegi
Ramesh: dekhiye mujhe ek housewife chahiye thi meine Ulka aunty ko pehle hi bata rakha tha...
Aaji: haan haan...ab waise bhi saanchi farms band kar rahi hai..zameen kahan hai strawberry ugane ki...ab wo apna ghar basa ke khush rahegi
aaji within: ab mein is farm ko saanchi ki khushiyon ke raaste mein nahin aane dungi.
DV: haan sahi hi to hai Ramesh ji...appki aur bhi koi demands ho to abhi pata chal jaaye to acchha hoga...
Ramesh: bas mujhe aisi ladki chahiye jo acchha khana banana janti ho aur mere ghar mein aane waale mehmaano ka khayal rakh sake.
DV: aapke ghar mein mehmaan bhi aate honge...aakhir itna bada pariwaar hai...sab lekin jaldi chale jaate honge na raat ko...aap sab to jaldi so jaate honge.
Ramesh: kyon jaldi chale jayenge...aur jaldi sone ki baat kar rahe ho...hum sab beemar hain kya?
DV: acchha to sab der se sote hain aur der se uthte honge phir...
Ramesh: ghar ki aurton ko kaam nahin karne hote kya...der tak sone ka shauk nahin hai hamare ghar ki aurton ko.
DV : to ghar ki aurton ke saath aaplog bhi jaldi uth jaate honge.
Ramesh was tactfully being instigated by DV...but he discriminates between men and women so much was a revelation to him too. His illitracy was justified.
Ramesh getting furious: dekho aurat aur mard ki jagah alag alag hoti hai...humare ghar ke mard tumhari tarah nahin hai jo kisi ke bhi ghar me jaakar kaam karne lagein...hamari izzat hoti hai...aurat ka dharm hai ki wo pati ki tarah khud ko dhaal le...shaadi ke baad uski zindagi pati ke liye hi honi chahiye.
Aaji gets up and asks RAmesh and his family to leave
Ramesh: ghar bulakar hamari beizzati kar rahi ho, tum jaanti ho mein koun huin...ramesh raises his voice very loud to scare Saanchi.
DV comes in between: aap kya hain aur kya kar sakte hain, iski dhamki kisi aur ko dena warna mein kya kar sakta huin ye batana padega aur haan apni aurton ko lekar soch dubara is ghar mein lekar aane ki himmat mat karna.
Aurat kya kya kar sakti hai school jaana aur padai karna to pata chalega.
Saanchi: chod do Dhruv, aise logon ko samjha kar bhi koi fayda nahin...aapsab ko samman ke saath mein jaane ki request kar rahi huin...haath jodkar...please aaplog jaiye yahan se.
ulka kaaku: bhaga diya na is rishte ko bhi, are kaisa ladka chahiye tumhari saanchi ko...jaise ladke ka tum sapna dekh rahi ho na waise ladke nahin hote hain is duniya mein...mujhe kya bitha ke rakho apni ladki ko umar bhar.
aaji: mein apni saanchi ko aise ladke ke saath kabhi nahin baandhongi jo use kabhi kuch nahin samjhega.
Ulka scoffingly leaves.
SCENE 9
Saanchi: Dhruv tum mere room mein kahan se aa gaye...
DV: pipe se chadkar...aap filmein nahin dekhti kya?
Saanchi gets worried that no one sees them.
Saanchi: tum yahan kya kar rahe ho...she begins to panic.
Dv puts his finger on Saanchi's lips...shhhsshhh...and comes closer...saanchi gets quiet and starts looking at Dhruv...he again puts a kaala teeka on her upper lip.
DV: saanchi mein tumhe dekhne aya huin...aaj pehli baar tum mere liye saji ho to kaise tumhe apni hi nazar lagne deta.
Saanchi kisses Dhruv on his forehead...then his ear...then his cheeks...
background music...teri deewani mein deewani
preet ki lath mohe aaisi laagi
ho gayi main matwaali
bal bal jaaun apane piya ko
he main jaaun vaari vaari
mohe sudh budh naa rahi tan mann ki
yeh toh jaane duniya saari
bebas aur laachar phiru main
haari main dil haari -
tere naam se jee loon -
tere naam se marr jaaun -
teri jaan ke sadke mein kuchh aaisa kar jaaun
tune kya kar dala marr gayi main mitt gayi main
ho ji ha ji ho gayi main
teri deewani deewani-
tune kya kar dala marr gayi main mitt gayi main
ho ji ha ji ho gayi main
teri deewani deewani -
dv pulls her towards him and hugs her passionately...i love you saanchi...i love you Dhruv.
They hear a knock at the door and Saanchi panics again...DV understanding her worry leaves from the window...saanchi keeps looking the empty space after he left for long.
Knock again...saanchi opens...its Adu...
Adu: Tai...andar DV tha na...
saanchi goes white hearing this
adu: meine aaj dekha kaise usne tumhe us Ramesh se bachaya...wo jaan kar use bhadka raha tha ki uska sach bahar aa jaye...tai jitna DV tumhare liye kar sakta hai na utna kabhi koi nahin kar payega...wo tumse chota hai par man sa bahot bada hai.
saanchi recollects how the same things was said by Dils also once...and she now knows ki dV sirf man se hi nahin maturity mein bhi usse bada hai...usne bhale saal kam jiye hon...par un kam saalon mein bhi zindagi poori ji li hai.
SCENE 10
Saanchi leaving hurredly for office...while she comes out she looks at Dhruv's balcony but doesn't see him there...disappointed she leaves for office.
saanchi reaches office and finds Dhruv working there on some file...
Saanchi: Dhruv, tum yahan kab aye
DV: Saanchi tumhare liye ek aur land lease ke liye pata kar li hai...humein abhi chalna hai land dekhne ke liye...saath mein Jams ka ek bada order bhi mil sakta hai...Eco fresh departmental stores ko apne across country sabhi stores ke liye stock chahiye...meine baat ki hai, unhe meeting ke liye time bhi dena hoga.
Saanchi admiringly starts looking at Dhruv who was still buzy with the file.
Background music-
Yun to solah saavan aaye gaye
Gaur nahi kiya humne
Bheega man ka aangan is martaba
Kya jaane kya kiya tumne
Dil mein jaagi..
Ishq waali manmarziyan,
Dhruv: Pradeep ke saath lease ke papers bhi retrieve ho gaye hain...par mein tumhe force nahin karunga...par papers dekhne ke baad ye guarantee hai ki ye case tumhe jita ke rahunga...
saanchi: nahin Dhruv...mein aaji ko diya promise nahin tod sakti
both leave to see the land
saanchi keeps looking at Dhruv getting all mesmerized...
background song
O Re Manwa Tu To Bawra Hai
Tu Hi Jaane Tu Kya Sochta Hai
Kyun Dikhaye Sapne Tu Sote Jaagte
Jo Barsein Sapne Boond Boond
Nainon Ko Moond Moond
Kaise Main Chaloon
Dekh Na Sakoon
Anjaane Raaste
Goonja Sa Hai Koi Ektara Iktara
Sun Rahi Hoon Sudhbudh Kho Ke
Koi Main Kahani
Puri Kahani Hai Kya Kisi Hai Pata
Main To Kisiki Ho Ke Yeh Bhi Na Jaani
Ruth Hai Yeh Do Pal Ki Ya Rahegi Sada
Jo Barsein Sapne Boond Boond
Nainon Ko Moond Moond
Kaise Main Chaloon
Dekh Na Sakoon
Anjaane Raaste
Goonja Sa Hai Koi Ektara Iktara
Goonja Sa Hai Koi Ektara
They reach at the land and both like it...
Dv to broker: land to acchhi hai, ab iski lease ki baat bhi kar lein...
broker: mein kal owner ko lekar aapke office aa jaonga aur phir formalities kar lenge.
Broker leaves
Dv: to darling kaisi lagi daddu ki nai girlfriend.
Saanchi: kkkyay..kya Daddu ki Girlfriend...acchha to Gyani baba DV ji...ab ye land Daddu..i mean sher singh ki girlfriend kaise hui ise batane ki kripa karenge...
Dv: awashya balike...
Is land tak aapko lekar kaun ayaega...kaun ayega...bolo...Daddu na...phir yahan khade hokar aapka intezaar kaun karega...Daddu hi na...fir saare din kisi ke saath rahenge to pyaar to ho jayega hi na...ha...haina and he winks his left eye...
Saanchi: To fir Daddu...gets irritated with herself for saying Daddu yet again...Sher singh ki girlfriend to mein hui na kyonki yahan wahan lekar mujhe jo jaata hai pyaar to usse bhi ho sakta hai na...
DV: are saanchi kaise baatein kar rahi ho...aise kisi ko kisi se koi pyaar hota hai bhala...Kamaal karti ho...chi chi...aisi baatein old Daddu ke liye sochna bhi paap hai...ab is umar mein Daddu aur pyaar...chalo chalo yahan se chalte hain...
saanchi: wahan aage tak jakar dekhti huin...she goes forward and slips on water collected there as it was still drizzling...she cascades more further and splashes in a pool of muddy water...
she gets totally smeared in mud and DV standing there starts laughing uncontrollably...🤣
Saanchi gets super annoyed and asks DV to come and help her...when DV comes to help she pulls him in the mud and keep putting all mud on him everywhere...
Saanchi: ab haso...ab kaale aasmaan mein chhand ki tarah tumhare daant bhi chamak chamak dikhenge...haso
Dv: teacher banne ka bahot shauk thaa kabhi aapko...
saanchi: ky...kya
DV: nahin...bata dejiye ye saare shauk ke baare mein bhi...mein dil pakka karke mandap mein baithunga...agli baar aapne murga banne ka punishment diya to practice to pehle se hi karni padegi na...
saanchi: mein punishment deti huin?
Dv: aap gussa kyon ho rahin hain... lo khud hi giri fir bhi daant mujhe rahin hain...teacher ji
saanchi moves towards to hit him for teasing her always and Dv starts running from her...and in no time saanchi is also running behind him to catch hold like tom and jerry chasing and escaping...both smeared in mud.
dv: saachi phir gir jayaegi...bahot slippery hai...phir mujhe mat kehna...
saanchi: ab mein tumhe nahin chodungi...and keeps running behind
dv: saanchi mujhe kya hai, par aapko problem na ho jaye kahin wapas se slip kar gayeen aur filmon mein jaise dikhate hain aap mujhpar gir gayeen to...haye...kaya scene hoga...ahhh! ! aap sharma jayengi..
saanchi: ab mein tumhari kisi baat mein nahin aane wali...i will catch you...
.and saying this she actually tumbles down on DV and goes rolling with him...
background music
Sochu tujhe toh hai subah
Sochu tujhe toh shaam hai
Ho o manzilon pe ab toh meri ek hi tera naam hai
Tere aag me hi jalte, koyle se heera bante
Khwaabon mein aagey chalte hain tujhe batana
Tere waaste mera Ishq Sufiyana
saanchi: aisa kya dekh rahe ho mujhe aise mitti mein sani hui
DV in serious tone: mein aapko aise bhi ghanton dekh sakta huin...mere pyaar ke rang mein rangi hui...aaj aap mein aur mujhme koi fark nahin...jis umr ke fark se aapko dar lagta hai...aaj use koi nahin dekh sakta. Aaj jis baarish ne mujhe bhigoya...usne aapko bhi utna hi bhigoya...jis mitti ne aapko ye rang diya us mitti ne mujhe bhi wahi rang diya...
saanchi pyaar koi fark nahin dekhta...kehte hain na
Na umr ki seema ho...na janm ka ho bandhan
jab pyaar kare koi...to dekhe kewal man
ye reet chala kar tum...meri preet amar kar do.
Saanchi: tum kya ho Dhruv...kya ho...and her heart gets heavy with emotions
BGM continues
Saath-saath chalte-chalte haath chhoot jayenge
Aisi raahon mein milo naa
Baatein-baatein karte-karte raat kat jaayegi
Aisi raaton mein milo naa
Kya hum hain, kya Rab hai
Jahaan tu hai wahin sab hai
Tere lab mile mere lab khile
Ab door kya hai jaana
SCENE 11
DV: mom mein bas aane hi wala huin...aap meri fikar mat kariye
Mom: dhruv beta ab mein tumhari ek nahin sunne wali...Seemal London se kal ayi hai aur baar baar tumhe puch rahi hai...to meine use tumhara address de diya...wo tumhare paas kabhi bhi pahonchti hogi.
DV: kya mom...Seemal India aayee hui hai...wow...mujhe dhar saari baatein karni hain usse...i really missed her.
Mom: usse bhi to tabhi ruka nahin gaya...friendship ho to tum dono jaisi...bachpan se isme koi kami nahin ayee.
Dv: haan mom ek Seemal hi to hai jo mujhe sabse zyada jaanti hai...aapne bahot badi good news di hai...love you mom
Mom: acchha acchha ma ko maska hi lagata rahega ki wapas bhi ayega...beta tujhe papa bhi bahot miss karte hain.
DV: bye mom...rakhta huin...
Mom: Dhruv..beta ...dhruv...phone disconnects.
UPDATE ON 16th NOV
SCENE 12
Dils House...Door bell rings...Dils opens the door
Dils: are Vishwas aap...what a pleasant surprise...
Vishwas: Thank you vaise aaj aap ladkon se naaraz hain kya...
Dils: puzzled look
Vishwas: Are aaj aap itni sunder lag rahi hain to ladkon pe bijliyan girengi na...waise sorry for this cheezy line...par kyan karun sach to sach hai...
Dils starts blushing in her usual innocent but comic way.
Vishwas: waise mein akela nahin aaya huin mere saath DV ke liye koi aur bhi surpise lekar aya hai...
And Seemal comes forward from behind him...
Seemal is played by the same girl who was casted opposite Ruslaan in Mp3 movie, Hazel Crowney...since she is from Britain thus she has slightly British Accent.
Dils: hello Seemal...kabhi Dv ne kuch bataya nahin to i am sorry...kya aap bhi DV ki friend ho.
Vishwas: friend...are chaddhi friends bolo...ye dono class 2 se saath mein hain...pehle Australia jaake saath mein padai ki phir DV ne law karliya aur internship ke liye London chala gaya aur Seemal US Literature karne...india aakar bhi DV se mile bina kaise rehti to mein use yahan le aya
Dils: so nice to meet you Seemal
Seemal: Same here Dils...u look very nice.
Dv comes hearing all this noise...
DV : Are Simmi...aur Vushwas...cant believe it buddy...simmi...when did you come to India...mom ne bataya tha mujhe ki tum ayogi but ye nahin bataya that ki aaj hi aa jaogi...and good that you brought this Vishwas too.
Seemal: Haan mein kal hi India ayee...aur aaj tumse milne chali ayee...aunty ne bataya ki itne time se you are in Panchgani so i thought to come and give you a surprise but i am angry with aunty as she told you about my surprise.
Dils feels surprised that Seemal came to India only a day before and has come to meet DV instantly.
Dils: aap dono fresh ho jayo mein Parsee lunch banati huin
Vishwas: agar aap kahein to mein aapki madad kar duin...waise i love Parsee...long pause...food.
Dils: oh...and blushes again
Simmi and Dv in Dv's room
Simmi: DV itne dino se koi news nahin tumhari...i am angry with you.
DV: yahan mein kisi bahot important kaam mein stuck tha...kabhi aaram se baith ke bataonga...abhi tum batao India aa gayee ho ki wapas jaana hai...
Seemal: Studies khatam ho gayee hain...phd bhi kar ki...ab India mein hi huin...hum poore 6 mahine baad mil rahein hain...tum jab last time US aye the to humne kitne maze kiye the...
DV : haan...tum ho hi itni kamaal...hum dono saath mein kitna fun karte hain na...vaise...teasingly he asks...koi boyfriend voyfriend banaya ki abhi bhi vaise hi...pyaar ka koi scene hai?
Simmi: haan...boyfriend hai...his name is akash...US mein hum saath padte the...mujhe tumhe uske baare mein batana tha but tumne pehle hi pooch liya...
DV: Ohhh...goood...to Simmi badi ho gayee hai...dikhta kaisa hai...tall...dark...handsome...
Seemal: haan and he loves me a lot.
DV: to wo bhi India aaya hai?
Seemal: he will come next month...papa mummy se shaadi ki baat karne...par tum batao...6 months mein tumhe koi mili ki nahin...college time ke casinova the tum...tumhari girlfriend bananne ke liye every girl was crazy...
DV: haan...kitna maza aata tha na college mein...but all those girls were after my looks and money...
Seemal: haan tum kabhi kisi ladki ke liye serious nahin hue...mujhe har baar lagta tha that DV is baar to serious hai but...kaise ho tum...dont you have a heart.
DV: Simmi...winks at her...un ladkiyon ke liye serious ho jaata to mujhe sab fuddu bolte...mein fuddu nahin ki kisi bhi ladki par fisal jaon...i can fall only for that girl whom i can respect...wo nahin jo mere paise pe marti ho.
Seemal: but tum mere liye bhi aisa hi sochte the?
dV: tumhare liye aisa kaise soch sakta tha...tum to stupid ho...akal chahiye ladke fasaane ke liye...jo tumhare paas to kabhi thi hi nahin...to tumhe mein un scheming girls ki category mein kaise daal sakta tha...
Seemal: DV i will kill you...
DV: tumhe us category mein nahin daal sakta tha tabhi to tum meri friend ho...meri best friend...and i can never hurt you...tum un kuch logon mein se ho jinko mein bahot pyaar karta huin...
tears well up in Seemal's eyes.
Dils calls them for Lunch
Vishwas: teri pyaar ki gaadi kitni aage badi...
DV: abe pitwayega kya Simmi se...abhi kisi ko nahin pata...you both are the first ones i am telling...Simmi ise bhi kuch nahin bataya meine...ulta isne mujhe bataya...to baat ye hai ki Yes I am in Love with Saanchiji.
Seemal: what who...Saanchiji...isse pehle ki mein samajh paon ki tumne kya bola...kitna ajeeb laga ki tumne kaise bola...ye true love wala love hai ki aise hi...
DV: ye first love wala love hai...i have learnt what is love through her...
Seemal: I am surprised ki aisi ladki bhi hai jo DV ko pyaar karwa sakti hai...but really happy for you...par what is this Saanchiji...ji koun use karta hai apni Girlfriend ke liye...tumne kahin respect wala part kuch zyada hi seriously to nahin le liya...
DV: wo hain hi aise ki unko respect dene ka man karta hai...aur itna pyaar dene ka man karta hai ki unhe saari khushiyan mil jaaye...
Vishwas and Seemal are both amazed to see this kind of emotions in DV which they had never seen before.
Mein aap sab se apne pyaar ko milwaonga kal jab mein movie...mahabaleshwar mein picnic aur night out plan karte hain...but mein saanchiji ko aane ke liye manaonga kaise...phir naani aaji ko bhi to abhi kuch nahin pata.
Dils : wo sab tum mujhpe chod do...Saanchi ko laane ka kaam mera...
All say...ok done...to kal masti karenge
SCENE 13
Dv: Saanchiji aaj Daddu se nahi...
Saanchi: Kyon
dV: hum agar mahabaleshwar daddu se jaenge to kal tak bhi nahin pahochenge ...to hum meri car mein chalenge...Vishwas le aya hai jo kharab ho gayee thi...
Saanchi: smilingly relents...ok baba...par mere sher singh ke against mein ek word nahin sunungi...
DV: bas shuru ho gaya na school...mujhe aap kabhi feel hone nahin dogi ki mera school khatam ho gaya hai...har baar lagta hai ki aap mujhe keh rahi ho chalo taecher student khelte hain aur mein khud ko murga bane hue imagine kar bhi leta huin...DV is speaking all this and saath saath uski imagination mein use school dress mein murga bane hue bhi dikha rahe hain...how cute he is looking in school dress.
saanchi with a soft grin and expressions that you will not improve...
DV: to aaj mein apna pehla promise poorq karne wala huin...jisme meine kaha that ki hum picture jayenge...long drive pe jayenge...dinner pe jayenge ...aur...aur...kuch...
Saanchi: bas bas...hum itna hi kar lenge to din khatam ho jayega...kuch aur karne ka time hi kahan hain
DV: to raat to hai na...
Saanchi DV ko ghoor ke dekhne lagti hai
DV: are aap bhi saanchiji...bas one track mind hai aapka ...chi chi...kaisi ladki se mein pyaar karne lag padaa jo bas ...chi chi...
Saanchi Ko samajh nahin aa raha ki ab DV kya kehne wala hai...ab uska legpull kaise hoga...
DV: mein to keh raha that ki raat hai na rest karne ke liye...jab hum din mein picture dekhkar...long drive karke aur dinner karke thak jayenge to...kuch aur karne ki himmat hi nahin bachegi to raat hai na to hum sab so jyenge aur rest karenge...
Dv: saanchiji control karo khud ko...mujhe pata hai aapse control ho nahin raha hai...mein huin hi itna hot...
Saanchi : tumhe law ka exam dena pada tha ki degree ghar par pehle din hi de gaye the...saanchi ko DV par itna gussa aa raha tha ki...ki...
Finally we get to see DV's blue beauty...his BMW again...Saanchi is surprised to see that DV has a BMW but keeps silent...
DV: Saanchiji aap Vishwas to mil chuki hain...aur meine aapko Simmi ke baare mein bataya tha na...
Simmi is shocked to see Saanchi but doesnt say anything.
Saanchi: Seemal, DV ne kaafi kuch bataya aapke baare mein...you are very pretty.
Seemal still not at ease seeing Saanchi: Ok...oh i mean thank you...fine...ammm...and she has a half smile that too forced on her.
They begin the trip to Mahabaleshwar...all singing and having fun except Saanchi...who is feeling out of place.
Dils: Saanchi tum mere saath peeche aa jao...Vishwas will sit in front with DV.
DV: kyon Dils...aise hi theek hai na...its real fun guys after so many days mein apni gaadi aur apne music ko enjoy kar raha huin...and i want to share this joy with Saanchiji...haina Saanchiji...and looks at her.
Saanchi : theek huin mein Dils...
They halt for movie...on the way itself...they select Ironman.
Dils: DV Saanchi ko...
Saanchi stop Dils...and says it will be a good film to watch..and Dils remain silent that Saanchi never likes action films.
Dv sits between Saanchi and Simmi and Dils with Vishwas. DV is super engrossed in the film and all excited whenever a good action scene comes.
Saanchi excuses herself for going to washroom and comes out of the theatre and so does Simmi.
Simmi: DV aisa hi hai Saanchi but shayad aapko film pasand nahin aa rahi hai.
Saanchi: mujhe action movies kam pasand hain but movie is nice.
Simmi: kabtak aur kiskis cheez se adjust karogi Saanchi...DV aur aap ek dusre se bilkul alag ho...DV aisa hi hai, nayee cheezen use pehle bahot pasand aati hain par baad mein vo bore ho jaata hai...
and please bura mat maanna but dont you think you are too old for him...aap 3-4 saal to usse badi hongi hi.
Saanchi's eyes well up with tears and Simmi's words pierced her through...
Saanchi: saat saal...she repeats saat saal and goes away from there.
Simmi turns back to go inside the theatre and sees DV standing there...
DV: ye kya kiya tumne Simmi...mein jis baat ko unhe bhulwane ki koshish kar raha huin wohi tumne unhe phirse yaad dila di...kya fark padta hai age gap se.
Simmi: Dv fark padta hai...aaj dekha tumne Saanchi na to drive ko aur na movie ko enjoy kar rahi thi...tum apni age ke according hi behave karoge aur vo apni age ke according and gap is so big that you cant have same intrests...kabtak wo ya tum compromise karte rahoge...DV grow up...she is a nice girl..dont ruin her life.
DV: i dont know Simmi why, but kabhi kabhi mujhe lagta hai ki tum mujhse kuch aur chahti ho...kya pata nahin.
Simmi is shocked to hear this from DV...shayad DV ne kabhi use pehle nahin kaha tha...but he knew somewhere that Simmi likes him.
Simmi to herself: Dv aaj tumne ye kya keh diya...i dont love you...i love Aakash...tumhe to lagta hai ki har ladki tumse pyaar karti hai...but not me...i am the hottest girl in your life but i have not fallen for your charms...i dont love you, and i know it...yes...i know it.
SCENE 14
Dv is searching for Saanchi but finds her nowhere...the place was close to Mahabaleshwar and it started pouring...DV kept calling her name but finds her nowhere...
It was almost evening and due to heavy dark clouds it had got darker...DV was having worried looks and after an extensive search for 2 hours he did find Saanchi walking at the middle of the road...he shouts her name but she is so lost in her thoughts that she didn't listen...
Saanchiji...saanchiji...rukiye saanchiji...DV runs behind her and pulls her though her hand and stops her.
DV: Saanchiji i am sorry...jo kuch bhi Simmi ne apko kaha...please uski baat ko dil se mat lagaiye...
Saanchi jerks her hand out of DV's has and keeps a distance ...
Saanchi angrily: kyon nahin maanu uski baat...theek hi to keh rahi thi wo...she knows you since long...tumhara mera koi mel nahin hai...DV ab to samjho is baat ko...jo bhi tumhe jaanta hai vo ye bhi jaanta hai ki humdono kitne alag hain...DV tum aur mein saath saath nahin chal sakte...aaj Simmi ki ek ek baat sach thi...mein chah ke bhi kaise keh duin ki hum ek jaise kabhi ban payenge...chale jao DV
DV: Shut up Saanchi...just shut up.
Dv says this very loud and clear and Saanchi just stops where she is and gets silent.
DV: khel mein khel raha huin ki aap...jab chaha mana kar diya...jab chaha haan kar di...aur phirse man ko kuch bura laga to chitak ke khud se alag kar diya...mein kuch bhi nahin huin na aapki nazar mein...meri feelings ko aap abhitak seriously nahin leti na...and he gets tears in his eyes...
DV: haan ameer ghar mein paida hua...sabse chota laadla beta...ek aaram ki life hi mili hai mujhe abtak to vaise hi ji hai meine par itne mahino se aap mujhe roz dekhti hain...tab bhi jab mein aapse pyaar nahin karta tha...kya meine kisi ka dil dukhaya hai...kya bade baap ka beta hone ka kabhi ghamand dikhaya hai...naani aaji ka dil se hamesha khayal rakha hai na...to bhi mein aapke saath chalne ke layak nahin huin...kyon
sirf isliye ki meri choice action films hain aur aapki nahin...mein long drive mein Eminnem sunta huin aur aap manna dey...par jab mein naani aaji ke liye old songs ga sakta huin unko khushi dene ke liye to kya aap eminnem nahin sun sakti...aapke saath meine first movie ek romantic film thi na jab Dils aap aur mein saath gaye the...to aap meri khushi ke liye kabhi ek action film nahin dekh sakti...Saanchiji jis fark ki aap baat kar rahi hain na wo har couple mein hota hai...tabhi to wo ek dusre ko complete karte hain...aur is fark ka acceptance aur tolerance har relation ka challenge...aur jo couple is challenge ko paar kar lete hain wo apni relationship ko strong kar paate hain..
aapko mein ye sab koi ehsaan ki tarah nahin yaad dila raha huin but ye batane ke liye yaad dila raha huin ki aapke man mein jo ye age difference ghar kar gaya hai...to aap har baat ko isi se link kar deti hai par yesab har relation mein hota hai...
Mein hamare relation ko strong banana chahta huin par ye aapke support ke bina nahin ho sakta...aur agar aapko lagta hai ki aap na kar dengi to mein is toofan mein aapko akela chod ke chala jaonga to aapne mujhe abhi tak kabhi samjha hi nahin...
dV: aur aaj mein challenge ke saath keh sakta huin ki aap mujhe khud se bhi zyada chahne lagi hain aur mere bina nahin reh payengi...Saanchiji ye pyaar hai...abhi aap iski kashish ko nahin samajh paa rahi hain...ye wo khushi hai jo zindagi badal de...aur na mile to yehi wo gam hai jo maut ko bhi chota kar de...Saanchiji pyaar humko chalata hai...hum pyaar ko nahin...mohobbat jise baksh de zindgani...nahin maut par khatm uski kahani...
Pyaar se aap tabtak nikal sakte hein jab tak pyaar hua nahin...pyaar ek baar ho gaya to zindagi bas mein nahin.
SCENE 15
suddenly the storm starts getting more and more wild...
DV: chaliye we nee to find a safe place...yahan kahan kuch milega...after searching some place to stay for long they could only get a old hut deserted...they take refuge in that as its door was open.
dV: saanchiji aap bheeg gayee hain...aur thand bhi bahot hai...mein bahar dekhta huin kuch lakdi mil jaaye jalane ke liye and he goes out...
He brings some wood and they light it up...
saanchi: tum aur zyada bheeg gaye ho...shirt nikaal kar aag ke saamne baith jao nahin to beemar pad jaoge.
DV: aur aap pure time aankhon par haath rakhkar baithi rahengi...nahin isse mein meri gussail rani ke pyaare se chehre ko nahin dekh paonga...aur aap bhi ti poori bheeg chuki hain...aise hi theek huin.
After some time the storm gets more wild and it gets colder...Saanchi and Dhruv both started shivering in the cold and wet cloathes.
saanchi sees DV shivering and couldnt tolerate it...
Saanchi: DV mein aankh nahin band karungi...tum geeli shirt nikaal do...
dV: to meri bhi ek shart hai...aapki chunni jaldi sookh jayegi...use utarke sukha lijiye phir aapbhi ye geele kapde change karke chunni towel ki tarah baandh lena...aapko bhi bahot thand lag rahi hai...
Saanchi agrees so that DV changes and can feel cozyness of fire...she thinks Dv will sleep and then she will not change...
DV takes his shirt off and sits closer to fire..he asks her to take off her chunni and she does that...and spread it so that it dries soon...
DV sleeps at the very moment as it got cozy and Saanchi keeps shivering...her body starts getting blue due to cold and she gets delirious...
Early morning 4:00 am
Saanchi opens her eyes...its still very dark outside and still raining heavily...fire was burning besides her...she tries to get up but she cant...She sees herself wearing her chunni...just that...tightly wrapped around her to cover most of her body and sees DV sleeping beside her and she cuddled by him...
Saanchi hadbada kar uth jaati hai...Dv also gets up rubbing his eyes...
Saanchi: mein in kopdo mein...
DV: thand se mar jaati aap...but zid hain na...geelein kapdo mein behosh ho gayee thi...ye to acchha hua ki meri aankh khul gayee.
Saanchi: mere kapde kisne...
DV: Saanchiji...trust me ...change karte time meri aankhen band thi...majboori thi...aap nahin bachti...poori body neeli pad gayee thi...hypothermia se mar jaati...
Saanchi gets uncomfortable
DV: aapko samet ke apne paas sulaya to jaake blood circulation wapas se shuru hua...
saanchi: DV meine aise kisi ke saamne...
DV: pyaar karta huin aapse...love hai lust nahin...aapko aapki marzi ke bina mein kabhi nahin chuonga...
Saanchi : i trust you DV
DV: to aakar mere paas waise hi so jaiye...thand aur zyada bad gayee hai...aur mausam lagta hai abhi bhi kharab hai...shayad aapke paas hone ki wajah se mein bhi bach gaya..
saanchi does not resents and comes back and sleeps next to him...absorbing what has just now happened...does she trusts DV so much that she is now knowingly sleeping next to him with only minimum cloathes on both of them and still feel secure.
Updated on 17 Nov 2013
Saanchi begins to feel the warmth of DV who was sleeping next to her...his warm breath was caressing Saanchi's cheeks. The yellow flame burning there was giving his innocent face a fiery glow...Saanchi could not stop herself from just soaking his good looks. It was the first time when she was seeing DV from so close...it was the first time that she was able to fondly see him endlessly...howmuch she wants without fearing thats others will notice her or DV will tease her. DV would have loved this but somehow she has never been so expressive about her feelings...she has not even revealed this softer side to her own self. But now there was no one to see them...
Saanchi realised how good he looks...youth has given his face the beauty of the world...she noticed how he has big puppy eyes and beautiful long lashes...how the injury mark on his forehead separates his thick and neatly drawn eyebrows. From eyes she slipped down to his nose...how he has a small and very sharp nose and how well it balances with his high cheekbones shaded with scarlet hue due to cold weather...she further slipped down to his soft pink lips which were...Saanchi just stopped there..she removed her eyes from his lips as a strong desire suddenly ran through her...she was not used to such feeling...what was it?
She turned her face in the opposite direction and tried to sleep...
she tried but couldn't sleep...everytime she closed her eyes DV's lips floated infront of her and her desire intensified...
She tried to jilt that thought many a times and was getting annoyed of herself for her thinking but it came back everytime...DV meanwhile woke up from sweet slumber and Saanchi was buzy mumbling to herself " stupid ho gayee ho Saanchi...mat socho...mat socho"...Saanchi kept repeating the same to herself closing her eyes sternly...with her self talk which was audible enough DV had woken up and was fondly seeing Saanchi acting all stupid...madly in love like a teenager...a broad grin lighted his face noticing what Saanchi is thinking aloud...Saanchi's eyes were still closed and she didn't notice that DV has woken up.
DV stood up in the sitting posture levelled up with Saanchi and started kissing her along her neckline...
Saanchi felt his touch but still thought its her imagination...and started enjoying his feel...it was her first experience of the emotion which was till now an untrodden territory for her... DV caressed her hair and hugged her from behind...by now Saanchi was all lost in this wonderfull feeling called love...they stood like that for long...DV was aware of the fact as to how precious this experience is for Saanchi therefore he did not even speak a word to make her comeout of her dreamworld...he wanted to give colour to all her desires and wanted saanchi to completely feel the bliss which she is into..he was happy to see Saanchi expressing her emotions so freely and he considered it a step forward towards his victory of giving every happiness to her...to make her come out of her self created shell and jee le zara for herself...
The song started playing in the background...male version
Berang Si Hai Badi Zindagi Kuchh Rang To Bharoon
Main Apani Tanahaayi Ke Waaste Abbb Kuchh Toh Karoon
Jab Mile Thodi Fursat... Mujhse Karle Mohabbat
Hai Tujhe Bhi Izaazat, Karle Tu Bhi Mohabbat
Dv carefully removed himself not breaking Saanchi's dream as he did not want her to feel embarrased for her emotions...he knew she will express herself openly...one day...but today was not that day...he left her in her dream which actually he had given her but she doesn't know it...its just her dream and she is not answerable to anyone for seeing that dream...atleast she did live in that dream is what mattered to DV...
UPDATED ON 21st Nov.
It is almost shown that Aaji will come to know through Ulka Kaaku who sees DV and Saachi romance. Aaji is very upset and is not even talking to Saachi. Saachi is under guilt of hurting her granny and has decided something...
SCENE 16
DV: Saachiji aapne mujhe yahan is jheel ke paas akele milne bulaya to aap nahin jaanti mujhe kitna chain mila...aapko aaj poore 7 din ke baad mil raha huin...mujhe pata tha aap bhi mujhse mile bina nahin reh sakti.
Dv had a smile of satisfaction and he was seeing Saachi so lovingly...the way a small kid who everyday yearningly looked at a doll in the glass and its the day that the doll is his and he cant take his eyes off the toy, the same was DV's condition. His emotions overflowed and his happiness brought tears. He was feeling the joy which was far more than what he felt when Saachi had confessed her feelings. It was the emotion which comes through seperation and DV had felt it so badly in the last 7 days. He would not have agreed to keep away if it was not Saachi who had asked for this promise from him a week ago when Ulka created nonsence infront of Naani and Aaji. He has waited every day and every hour for Saachi to show up again...he knew its very hard for her too thats why she is not meeting him...tears were uncontrollably flowing through his eyes wiping away all the pain they had seen in long 7 days.
Saachi: DV mujhe bhool jao ...chale jao yahan se !!!!!! It was emotionless and firm...a rigid decision which she had not come to discuss but to dictate...
DV just stood there lifeless...not believing what he just heard...the expressions were a complicated mix of agony and anger mixed with a disbelied and still alive hope that its not what Saachi meant.
DV: Jaan sakta huin ki kyon mujhe aisa karne ka aap order de rahi hain? his voice strong with anger.
Saachi: mein galat thi..mere liye meri family se upar kuch bhi nahin hai...mein bhi nahi and you know this DV. Itna sabkuch hone ke baad mein aaji ko aur pareshaan nahin kar sakti...meine aaji ko promise kiya hai ki mein tumhe phirse nahin milungi aur mein apna promise nahin tod sakti.
DV: this time with a sarcastic tone...aapne ek promise mujhe bhi kiya tha...aap bhool gayeen...bas thoda sa bhool gayee...bhool gayee. Ah...he sighs!! His tone which started with sarcasm changed again to deep agony.
Saachi: DV mein galat thi...samjho mujhe...hum apne badon ko dukh dekar kabhi khush nahin reh sakte. aaj hum dono ko dukh hoga par aage ke us dukh se jo humne apne badon ko diya hai usse to yehi acchha hai ki hum apne raaste alag kar lein.
DV: mein galat that...aaj agree karta huin ki aapko samajhne mein galat tha...mujhe nahin maloom tha ki aap itni coward hain...
Saachi is shocked and pained to hear that...but she knew what she was doing was unacceptable to DV but how could she go against her family...how could she tell DV that she can hurt him because she considers them as one but she cannot hurt her family.
Dv: ab mein aapko kabhi mujhse pyaar karne ke liye nahin kahunga...mujhe pata hai ki aap mujhe bhool bhi nahin payengi aur khush bhi nahin reh payengi par aap jo apni aaji ke liye ye sab kar rahin hain mein iske beech kaise aa sakta huin...par meri Zindagi se khelne ke liye Thanks Miss Saachi Prabhu. Yaad rakhiyega aapko good bye wish kar raha huin DV style...
DV leaves and saachi stood there crying for long...very long.
SCENE 17
Dils : bye DV...i will miss you a lot...mujhe tumme saachi ke baad sabse acchha dost mila hai.
DV: Dils ek tum hi to ho jisse mein apne dil ki baat aajtak karta aaya huin...mein shayad aaj ke baad tumse kabhi baat nahin kar paonga...tumhe kabhi phone nahin karunga.
Dils : mujhe pata hai DV...mujhse baat karke tumhe saachi yaad ayegi aur mein nahin chahti ki aisa ho. Usne apni family ko chuna ye galat nahin par tumhe apna kar chod diya iske liye mein bhi use kabhi maaf nahin karungi...par shayad mujhe pata tha ki saachi apne liye kabhi nahin sochegi...par shayad laga tha ki wo tumhare bina bhi nahin reh payegi...but tumne use pehle ki tarah kyon nahin force kiya.
DV: nahin Dils...tab saachi ko mein uske dil mein jhaankna sikha raha tha par ab wo jaanti hai ki uske dil mein kya hai. Meine kaha that ki pyaar ki is lo ko hum dono ko thamna hoga...hum dono mein se koi use akele nahin rok sakta bujhne se...par jab ab us lo par uska haath hi nahin to mein akela kuch nahin kar sakta...mein duniya se lad sakta huin jab wo mere saath khadi ho par usse kaise ladu. Aaj usne faisla le liya hai.
DV: saachi ka khayal rakhna Dils...wo mere bina sachme nahin reh payegi...tum ho use sambhalne ke liye mujhe isbaat ki tasalli hai.
Dils: par kaun hai wahan tumhe sambhalne ke liye...mein kis baat ki tasalli karoon.
DV: hain na my sweetheart...meri mom...jo mujhe is duniya mein sabse zyada pyaar karti hain...
In so much pain...the thought of returning to his mother filled in him a peace and he yearned to empty all his worries and sorrows in her loving embrace...the embrace of a mother in which the child feels utmost peace and protection from the harsh world...he longed for his mother now...he wanted to cry now...cry his heart out in the most protected place, his mothers lap.
Dils bids adieu to him teary eyed...
UPDATED ON 23rd NOV
SCENE 18
After DV left, Saachi started usually remaining quiet...she fulfilled her responsibilities but without that zeal which she once had. Aaji had tried many a times to act normal to her but she hardly responded. She had stopped taking care of herself and skipped meals..a sound sleep was something she had hardly seen in weeks. Her health was deteriorating and her body was getting weak. It was the same condition which she was in when her parents had died...and now she was no better.
Naani: Behanji Saachi jis haal mein hai kya aapko nahin lagta ki iske liye hum hi zimmedar hain...
meine aapko kitna samjhane ki koshish ki thi tab bhi aur har roz karti huin lekin aap apni di hui kasam wapas nahin leti hain. Saachi ki haalat dekh kar aapko us bacchhi par taras nahin aata.
Aaji: bacchha agar chaand ki zid karta hai to use de to nahin diya jaata...aur phir usne apne se dur to kar diya hai DV ko, dheere dheere bhool jayegi...humari Saachi se galti hui hai par mujhe pata hai wo bahadur hai...is galti to wo khudhi sudhaar legi.
Naani: Aapne kabhi use isse pehle kisi ke bhi liye aise dekha hai? Saachi bahadur hai aur sabki pareshaani dur karti ayee hai...ye galti hoti to wo abtak use sudhaar chuki hoti...aap samajh nahin rahi hain ya samajhna nahin chah rahi mujhe nahin pata par aisa na ho ki hum Saachi ko pehle ki tarah kabhi khush nahin dekh paye.
Aaji: mujhe abhi tak vishvaas nahin hota ki saachi aisa kar sakti hai...are wo to ladkon ki photo tak dekhne se mana kar deti thi. DV to chota hai, nasamajh hai par Saachi usse ye bhool kaise ho gayee.
Naani: aapko nahin lagta ki ghar ka jo bacchha bado ki baat sabse zyada maanta hai...bade usse hi hamesha baat maanne ko majboor karte hain. Kya kar liya humne jab Prachi ne Sunil jaise galat ladke aur ghar mein shaadi karne ke liye ghar sar pe utha rakha tha...ya fir Pradeep ne apni hi behen ke khilaf court case kar diya tha. Saachi ne to sirf pyaar kiya hai...wo bhi DV se...jiski tareef karte karte aap bhi to nahin thakti thi.
Prachi ki shaadi tutne se use ne bachai...Saachi ko apne guilt se 15 saal baad bhi bahar nikala aur Pradeep se hamesha hum sabko bachaya. Us ladke se Saachi ko pyar ho gaya to mujhe to koi hairani nahin hui to aapko ye vishawas na hone jaisi baat kyon lag rahi hai.
Aaji: Saachi ko pyaar vyaar kuch nahin hua hai...are us ladki ke paas kabhi in sab baaton ke liye fursat rahi hai...aur na use ye sab shauk hain...DV hai hi baaton mein tez...usne Saachi ko behla diya hai...
Naani: aapko pata hai aaj aap ek chor ki tarah khud ko safai de rahin hain par aapko bhi pata hai ki sach kya hai aur Saachi hai wo Prachi nahin ki koi bhi behla de use. Itna bhi bharosa kaisa kho diya aapne us par . Aapko laga tha ki DV ke jaane ke baad sab theek ho jayega...par khud dekh lejiye kya kar diya hai aapne Saachi ke saath...ab bhi kehti huin wapas ke lejiye apni kasam.
Aaaji: hargiz nahin samaaj ka tujhe koi dar nahin hai Suman aur phir aisi shaadi kab tak chalegi? 7 saal chota hai DV ye usne prove to kar diya hai Saachi se pyaar karke...agar bada hota to ye bewkoofi nahin karta..
Naani: agar bada hota to kya aapne dono ko alag kiya hota? Nahin kiya hota kyonki aap bhi maanti hai ki DV jaisa ladka kitna bhi hum dhoondte rahe nahin milega.
Naani says this and leaves in a huff...disgusted that Aaji has stopped using her mind and is acting how Ulka and colony gossipping ladies are teaching her.
Aaaji disturbed with naani's argument for Saachi's actions and how she blamed her behind Saachi's condition.
she went upstairs to check if Saachi was fine. Saachi was sitting on the floor looking up on her parents photo frame and tears continuously flowing her eyes. aaji asked her to come for dinner but this time she bluntly refused. Saachi had not even taken her lunch and her tiffin had returned as it is...aaji was getting worried regarding her health which she was adamant to spoil.
aaji chided her for her behaviour but it was of no use. Saachi lifelessly accompanied aaji to the dinner table but hardly ate anything. she simply swallowed one or two morsels and left the remaining food and started to leave for her room...just then Aaji stopped her.
aaji: bada...aakhir tum kya chahti ho
Saachi: kuch nahin chahti huin aaji aap mujhko lekar pareshaan mat ho,...mein theek huin.
naani: to puttar ye sab kya hai...kyon theek se na khana na peena...Raat mein theek se soti bhi nahin ho.
aaji: Saachi tujhe humein itna dukh dene ka koi haq nahin hai...tu kyon kar rahi hai bada...hum tere liye ek acchha sa ladka dhoond ke bahot acchhe ghar mein teri shaadi karenge.
Saanchi this time just looses her control and speaks in a course tone
" mere liye ab is ghar mein kabhi shaadi ki baat nahin hogi...sun liya...naani, aaji...mujhe shaadi nahin karni hai bas"
she realises her harshness and instantly asks grannys for forgiveness and leaves.
aaji: Suman chalo
SCENE 19
door bell rings
Dils: are naani aaji ...aap dono ek saath...andar aiyiye.
Aaji: mujhe DV se baat karni hai
Dils: mere paas DV ka phone no nahin hai...meine jaan kar nahin liya...par aapko usse kya baat karni hai...Dils gets concerned thinking what new has Ulka Kaaku done?
aaji: mein DV se Saachi ki shaadi ki baat karna chahti huin
Dils and Naani together: sach?
aaji smilingly: muuch
Dils: mere paas no to nahin hai par DV address dekar gaya tha Mumbai ka...humein wahan jaakar usse Milan hoga.
aaji : to hum Saachi ke office jaate hi kal subah nikal jayenge...aadu aur tum bhi saath chalna.
Next day after Saachi left they also left for Mumbai.
auto driver: aapka address aa gaya
They look for the house but didn't find it...they thought the auto driver has got them to a wrong place as there were no houses there...there was only a huge bungalow...very huge.
Dils: Are guard Saab humein ye address diya tha, zara bat ayenge ki ye kahan ka hai.
guard: Yahin ka address hai...CM sahab ka ghar hai ye...aapko kya kaam hai yahan.
all four are flabbergast to hear this. C.M sahab ka ghar par ye address...
Dils : yahan koi DV naam ka ladka kaam karta hai kya...shayad C.M sahab ke kisi employee ka beta hoga.
Dils knew that DV was from a influential family so thought perhaps his father must be working under the CM.
guard: DV matlab Dhruv Baba?
Dils: haan wahi...wo rehte hain yahan?
guard: Wo C.M sahab ke sabse chote bete hain.
the ground turns shaky and their feet wobbly for them but they have to meet DV somehow...all this may be a misunderstanding...they would know it only when they meet this DV.
guard bhaiya: shayad humse koi galti ho gayee hai...address to yahin ka diya tha...humare paas Dhruv Ji ka no nahin hai...agar aap pooch le...wo agar humein nahin jaante honge to hum wapas laut jayenge.
naani and aaji both get disappointed that even though they came that far but still could not locate DV...they wanted to surprise Saanchi but nothing seems to be working.
guard: aapko andar bulaya hai...
Dils : happily...acchha...aapko lene ke liye bangle ka naukar aa raha hai wo andar le jayega.
a well dressed servant came to escort them...
no need to give the description of the house...it was not the govt bungalow...it was huge and classy.
All of them were getting amazed to see the luxury of the place...soon they reached the lobby which surpassed the grandeur seen so far.
DV: naani...aaji...Dils...aadu
Aap sab.
DV was looking pale and weak and it was clear seeing his red eyes that his condition was no better than Saachi. aaji somewhere within was pleased to see DV like that...and seeing DV she forgot about the stature of DV which they had just now learnt and he was the same nice bacchha who always amused them by his old song collection and called them Zohra Zabeen. after initial pleasure aaji also felt pain to see DV in this condition as inside she always cared for him...and so was even naani...Dils and aadu concerned about him.
DV's mom enters.
mom: Namaste naani aaji...aur tum Dils ho na..aur shayad tum aadu honge??DV aap sabke baare mein itna kuch bata chuka hai ki
Dils: aapne sahi penchana aunty.
Aaji hesitantly: hum aapke bete ke liye apni Saachi ka rishta lekar aye hain...
mom is shocked and DV was happy beyond measure.
CONTINUED ON 24 Nov
Mom: ye sab baatein aise thode hi hoti hain...aap log itni due se ayee hain...pehle kuch kha pee lijiye...phir aaram kar lijiye phir shaman ko jab Alok aa jayenge Tab saari baatein karenge...
they all have tasty marwadi food served as if in a five star hotel...something like this was new to them as they have been so used to of doing everything on own...Aadu was looking at everything with wide open eyes and absorbing the luxury of the place...
DV: aao aadu...let me take you to my sports room you will enjoy there more...
naani and Aaji were escorted by DV's mom herself to a very expensively furnished guest room to take some rest.
aadu: DV tum yahan rehte ho...kitna bada ghar hai tumhara. tum chief minister ke bete ho!!...
DV: haan aadu.
aadu: to tumne bataya nahin kabhi?
DV: agar bata deta to tum sab mujhe aise apne beech ka hisssa maan paate...aur kya mein Saachi ji ki itni daant kha pata?
aadu: tum hamesha se aise bade ghar mein rahe ho?
DV: aadu jab aap hamesha se aise ghar mein rehte ho to iski aadat ho jaati hai...tab aisa thode hi lagta hai jaisa tumhe is ghar ko dekhkar lag raha hai...fir to har cheez ki habit ho jaati hai na? chalo lo remote...hum dono PS3 ka naya game God of war 4 khelte hain...this series is my favourite...
aadu: tai ki shaadi tumse ho jayegi to wo bhi aakar yahan rahegi?
DV: ofcourse aadu...aur sirf tai nahin tum sab bhi yahan rahoge...tumhari tai ki saari responsibilities meri bhi to hain...
aadu gets excited: to phir mein ye games hamesha khel sakta huin.
DV: ofcourse aadu...tumhe pata hai ki ye games room mere papa ne especially mere liye bachpan mein banaya tha aur uske baad se aajtak isne jo bhi games hain wo unhone hi rakhe hain...
aadu: ye room nahin playground hai...kitna bada hall hai ye games room aur kitne saare aur kitne expensive games hai yahan...
Aadu's eyes were shining with the glint of the place.
DV: smiles...hmmm..
DV: aadu tum ab yahan hello...mein mom se baat karke aata huin.
SCENE 20
DV: mom aap khush ho
mom: mera beta itna khush hai to mom kyon nahin hogi...mein tere liye bahot khush hoon
DV: to aapke chehre pe khushi ke saath saath kuch aur bhi kyon dikh raha hai...kisi cheez ke bigadne ka daar!
mom: Dhruv tum jaante ho ki mujhe kis baat ka dar lag raha hai...kya hoga shaam ko mein is baat ko soch soch ke thak gayee huin par nikal hi nahin rahi hai ye mere mind se.
DV: mom aap kyon itna worry kar rahi ho...papa ke saath to mere differences hote rehte hain...isme kya naya hai...
mom: tum jaante ho na Dhruv ki mere chaaron bacchon mein Alok tumse sabse zyada pyaar karte hain...tabhi to tumhari har baat maante ayen hain...jab tum Panchgani mein the to bhi har din wo mujhse tumhare baare mein puchte the...par baap ka ego hai na...tumse baat nahin karte the...beta naaraz hokar gaya hai ye unhe bahot dukh deta tha.
DV: I know it mom...aapko kya lagta hai mujhe kabhi Unka pyaar mehsoos nahin hua...par aapko pata hai...mere aur unke jeene ke tarike mein bahot fark hai...
Mom:tune family business bhi join nahin kiya aur vakeel ban gaye jabki ye sabkuch tere dada tere naam kar gayein hain...tere bade bhaiyon ko bhi kuch nahin mila...politics mein bhi tumhe koi intrest nahin...
DV: mom aaj aap ye kaise baatein lekar baith gayee..aapse hamesha kaha hai ki ye will wali baat mat kaha kijiye...ye baat bahar aane par mein nahin chahta ki rishte kharab ho...dono bhaiya on ko ye sunkar kaisa lagega ki unke hote hue dada ji ne apna sab kuch chote ke naam kar diya...aur please aap ye sab aaji naani ko mat bataiyega ki mere naam pe itna saara paisa aur property hai...wo simple log hain...waise hi yahan aakar uncomfortable feel kar rahein hai...meine apne baare mein unhe isliye kabhi nahin bataya tha...pata nahin shaadi ke baad kitni mushkil hogi mujhe unhe yahan aakar rehne ke liye man aane mein.
Dhruv: aur haan...business bhaiya hi acchha manage kar sakte hain...meine na kabhi interfere kiya hai na kabhi karunga...mujhe to ab baas shaadi mein intrest hai...meri to aab Saachiji se shaadi karwa do bas mom.
mom: waise tune pasand ki hai to Saachi bahot khaas hi hogi...mujhe teri choice pe poora bharosa hai.
(This conversation was important to be added only to let everyone know that DV's grandfather had created this huge business empire but he was not in good terms with DV's politician father and money minded brothers...just a year ago on his death he had given all his wealth to DV and only DV as since childhood DV was closest to him and a nice hearted man what he was...he never wanted the wealth to be misused. Being the sole beneficiary DV was read out the registered will of his grandfather by the lawyer. Knowing that this will will create a rift in the family...he asked the lawyer not to reveal about it to anyone else not even his parents. DV later himself told all this to his mom taking a promise from her that this secret will remain with her. so now legally everything belongs to him)
SCENE 21
Saachi's phone rings...she is there in her office. DV's name flashes on its screen.
Saachi: DV !!!!
She disconnects the call.
the phone rings again...she keeps it on silent and puts it away.
she starts her work but her eyes keep reaching the phone screen to check if its still ringing...and when she sees it ringing a feeling of closeness with DV engulfs her...scared she removes her eyes from it...but unable to control her urge to feel the deep voice of him penetrating her soul she again looks at the screen.
after 6 to 7 calls the screen stood dead...and so did Saachi's heart...just a phone ring was giving her so much solace after so many weeks. .
She had promised aaji...and she had been fulfilling her promise since weeks now...even DV kept his promise and never called her. What has happened today...is DV fine...all kinds of thoughts were hovering her mind and for entire one hour she could not concentrate on anything. She was yearning to listen to his voice for once...it was unbearable for her now...she evaluated that aaji would not be happy knowing this but she will ask for forgiveness she justified...then she will have to hear some bitter words...so what she resolved that aaji is her granny and even if she chided her it was ok...she will not take it to heart...what will DV think of her was another thought...afterall it was she who had asked him to go so when he is calling her why should she not pick..she did not call him...she proudly babbled as if patted herself...so now that means if he calls she can answer him...yes afterall it's someone calling on phone...how is she supposed to know it was DV and she deleted DV's name from her directory. although she remembered his number by heart...but she behaved like a child who closes his eyes when playing hide and seek to feel that nobody is seeing him...this time if it rings then she would have to receive the call as it could be anyone's she again justified.
She waited...waited more and waited some more...she waited for one more hour...and with every passing second grew more and more restless. This kind of irresistable urge...unbearable temptation was never Saachi...she chided herself to be behaving like a teenager but still nothing was coming to her rescue today...one moment she got strong but the very next weaker than before...she resolved finally that she will call him...if he picks its fine...if he doesn't she wouldn't call again. She with raised breath starts to dial his number...after multiple trials she finally managed to dial his full number...bell ranged and DV's voice came from the other side...Saachiji...it was a moment which stirs the soul...Saachi's heart beat raced...D...DV she finally managed to say his name.
( this number of DV was switched off since he had left Panchgani...Saachi has never dialled it in all these weeks so she didn't know...Aaji naani had therefore asked Dils for DV's number i.e his new number)
DV: Saachiji...kaash aapka Laal hota hua chehre mein dekh pa raha hota...muuuaaahhh...
Saachi actually starts blushing to this and her face turned red with it.
Saachi: wo...mein...
DV: dil ki dhadkanein to mujhe yahan tak suni de rahin hain...aye haye...meri jaan mujhpe kurbaan...meri yaad mein aansun baha rahi thi...bolo bolo...
Smile started to show on Saachi's face...something which was history till just a moment ago.
DV: wo choti wali smile mujhe bhi...nai ye nahin chalega...iski awaaz nahin aa rahi...mujhe bhi...mujhe bhi.
Saachi: bas karo DV...har waqt mazaak hi sujhta hai...her tone did not carry any sternness it was more of just speaking to DV what didn't matter. As it is she has always got speechless in front of him...and today was no exception.
DV: abhi to shuru kahan kiya hai...wo sab to shaadi ke baad😳...aap kaisi kaisi baatein phone pe karti hai...mujhe sharam aati hai...haye !!
Saachi: nautanki ho tum bilkul...now she started laughing with him
DV felt relief from all his sorrows in just one smile of Saachi...how much he had wanted to wipe her tears in all these days of seperation but just could not as it was Saachi's wish to stay away and he had to this time obey it as it was about her reputation and in no way DV could have ruined it.
Saachi: DV mar gayee mein...tumpe...tumpe mar gayee !!
DV : mein aapko jeena sikha ne aaya tha...mujhpar bhi Marne ki aapko ijazat nahin.
Saachi: tum theek se khaate to ho na...apna khayal rakhte ho na?
DV : aapke is sawal ne mere us sawal ka jawab de diya jo meine abhi pucha bhi nahin. Aapne apna khyal nahin rakha na...mujhe jo dar tha wahi kiya.
Saachi: mujhe bhi kahan pata tha ki itna pyaar ho jayega mujhe...par ab ho gaya to nibhana to padega hi...
Tumne khana nahin khaya to mere gale se kaise utrega...tum jaag rahe ho to mujhe neend kaise aa sakti hai...wo to tab hota na jab do hote aur hum to ek hi hain na...
she started weeping over the phone...and hearing this even DV could not stop himself from crying..
DV: sab ek saath karna zaroori hai...mein to nahin ji pa raha tha par aapko aise nahin dekh sakta...mere paas aa jao...
This statement again brought Saachi to reality
Saachi: DV ye mein kya kar rahi huin...bhool gayee ki aaji ko promise kiya tha...
DV : aur agar aaji tumhe mere paas yahan bula rahin ho to...
UPDATED ON 1st NoV
Saachi disconnected the call but could not stop herself from remembering all the times spent with him. How she always got irritated with DV teasing her and how she longs now for them...but she has abide by her stand and marry the guy selected by aaji and naani.
There in Mumbai, DV tells aaji naani that his father is going for a meeting out of town so now he will bring them to Panchgani. He also took promise from the grannys, Dils and aadu that Saachi should not come to know of it and he is coming with them to Panchgani again as without Saachi knowing it he has to prepare for her case and he will make her win it.
Aaji and Naani both felt so happy and content that they could not stop blessing him. They thanked his mom and they all left for Panchgani in DV's car...the black Jaguar this time.
SCENE 22 Panchgani.
Everyone returns before Saachi comes back from office.
She returns all lost...DV's memories was today making her cry as she heard his voice over phone and her pain intensified.
Seeing everybody home this time she could not fake a smile too as it was getting totally out of her limits to live without DV
Aaji: are Saachi chai nahin banayegi aaj...
She winks slightly at naani carefully not to be noticed by Saachi.
Saachi: banati huin na aaji...mein bhi na...she pats her head slightly as to convey how did she forget it.
She started to make tea on the gas but instead of putting tea leaves she added garam masala...Dils noticed it and teased...
Are Saachi kisi ne tumhare gusse ko garam kya bol diya tum sabko garam masala pilaogi...
Saachi suddenly noticed what she has done and irritated on herself changed the pot but Dils took it from her...tum rehne do Saachi...mein banati huin.
Saachi gave in without even retaliating as she could not concentrate on anything...she was hearing Dhruv when Dils was speaking to her and it was getting too difficult for her to hide her grief. She ran to her room.
Naani: haye meri bacchhi ko sab rula rahe hain...ye DV bhi na...hum sabko mana kar diya batane se ki surprise dena hai aur khud gayab hai.
Aaji: Suman tune dekha Saachi ko...ye kisi ladke ke liye ro bhi sakti hai mein kabhi maan hi nahin sakti thi...kaise ladkon ke rishte thukra deti thi aur school aur college Time mein ladke iske naam tak se darte the. Ek ladka Saachi ko bahot pasand karta tha college mein...usne Saachi ko propose bhi kiya tha to kya kiya Saanchi ne pata hai...principal se shikayat karke college se bahar nikalwa diya...
Naani: ...aur aaj wahi pyaar ko samajh chuki hai. Pyaar hai hi aisi cheez behanji...aap kya jaane aapne thode hi love marriage ki hai.
Aaji: Ooo...to sirf tujhe pata hai...huh...sharmate hue...meine bhi to Saachi ke dada ji se love kiya hai...more blushes.
Naani: Oye hoye...tabhi mein kahoon ki Saachi mein ye pyaar aya kahan se hai...
Dils and aadu both started giggling with naani aaji.
Dils: par ye DV kahan reh gaya...aise Kehta rehta hai control nahin hota aur aaj control nahin karna to gayab hai.
Everyone starts staring at Dils on this control wala part...and they all burst into laughter...together.
SCENE 23 Saachi's room
Saachi came to her room and started crying remembering DV...she wants him desperately...
Saachi mumbling to herself: kya karoon kya karoon...kaise naani aaji se kahun ki mujhe DV ke paas jaane dein kyonki mein uske bina nahin reh sakti.
Nahin mein aisa kaise kar sakti huin...sab abhi abhi to normal hua hai ghar mein...sabkuch pehle jaisa ho gaya hai...mein sabko ab aur dukh nahin de sakti...mein unki pasand ke usi rishte ko apnaongi jisse meri shaadi tey ki hai...mein DV ke baare mein sochungi bhi nahin.
She suddenly hears the musical rantings which DV used tto play to grab Saachi's attention without any music sense...how she used to hate it earlier and how it was pleasing to her ears now...
Pyaar kya na karaye kam hai...aaj is besuri dhun ko sunne ke liye mere kaan Taras rahe hain...mujhe kyon sunai pad raha hai ye sab...
But the tune does not stops so she goes to her balcony and sees DV...what she twisted her eyes...she knew it has to be her imagination only...but again the sound and the sight remained the same.
DV: Saachi...JI...aap kaise ho...he yells out loud.
Saachi: shhh...tum yahan...
DV : kya...and makes a sigh that he can't hear anything.
Saachi: little bit loudly...tum yahan kaise aa gaye...
DV: Saachiji kya bol rahi ho samajh nahin aa raha...
Saachi makes a sign that she is calling him on phone...and to this DV shows his broken phone over their balconies...and makes a sad face.
Saachi : ok ok...mein aati huin...she spoke in a hushed tone.
DV gave his same sweet smirk...mission is successful types.
SCENE 24
Naani: are Saachi puttar khan jaa rahi hai...tu to keh rahi thi ki tabiyat theek nahin hai...dinner bhi nahin kar rahi thi..
Saachi really got scared to face naani...abhi use DV ke siva kuch nahin samajh aa raha tha...but how can she lie...she won't meet DV was the promise she gave them and after that only they have fixed her marriage...wht do I say naani was her thoughts hovering her...
Saachi: vo...Dils ke ghar jaa rahi huin...usne phone kiya tha
Naani: acchha? A sarcastic smile filled her face to see how Saachi is now lying to them...she was enjoying teasing Saachi like this...pyaar meri jhooth nahin bola...to pyaar kya kiya was her philosophy...
Saachi: b...b..bas thodi der mein aa jaongi...she completed her sentence with great difficulty.
Naani: acchha theek hai...mein sone jaa rahi huin...chabi le ja...aaram se aa Jana...naani clarified this so that Saanchi enjoys her reunion with DV today...and does not worry that grannys would be waiting...she knew DV would do something to make it special and really wanted to see Saachi live to her fullest today.
Saachi: without facing naani " ji naani" she just said this and ran out
as she was not happy lying to naani but this time the urge to see DV was so intense that every other responsibility or duty was getting weaker infront of it...it was the same passion about love which DV always told her and she never agreed with him...she always thought even in love she would be in control of herself...but pyaar ke aage aaj tak kisi ki chali hai jo aaj chalegi...log alag alag hote hain par pyaar ek hi hota hai...ek jaisa haal sabka kar deta hai...she remembered how DV had explained her once what love is.
SCENE 25
Dils house
Saachi rings the door bell which Dils opens.
Saachi: DV aya hai...
Dils : DV...wo kyon ayega ab...tumhi ne to chata maar ke use apni zindagi aur us ghar se nikaal diya tha...
Saachi: Dils...jis din meine ye kiya tha use din Saachi bhi mar gayee thi...ab sirf ye shareer bacha hai...
Dils : Saachi DV yahan nahin hai
Saachi begs Dils: Dils please mujhe ek baar DV ke room mein jaane do...tumhe mein kaise bataon ki...Dils paagal ho jaongi mein...
Dils : accha...jao ...uske room mein uski khushbu dhoondhna chahti ho to mein nahin rokungi tumhe lekin jo haalat hai na tumhari...tum sachme paagal na ho jao...sambhalo khud ko Saachi.
Saachi: kya fark padta hai Dils...jeene ka shauk kise hai ab...bas apne farz ki liye zinda huin...
Dils understood this pain and also understood DV why he did not let anyone tell Saachi...DV wanted to make Saachi know the power of love and how it gives the strength to fight the world...agar wo pehli difficulty hi nahin face kar payee to aage kaise chalegi...abhi to duniya jeetne baaki hai...DV knew that future challenges are not going to be easy and he wanted to see this passion in Saachi jiske aage kuch nahin tik sakta.
Dils felt happy within herself.
Saachi went upstairs in DV's room. She had not dared to come there since he left. It was the first time she was able to surpass all her chains and come here to feel him in the air...in the fragrance...in everything there in the room..
She entered and like crazy started touching and feeling ...the pillows...the bed he slept on...the curtains...everything...she was passionately kissing everything and stood there silent with eyes closed to feel the place...for long...her eyes closed and she feeling DV there in everything...how she loved him like mad...and then...she felt a soft touch on her lips...a tender very tender touch...she didn't know what it was...all she knew was it was soft as silk...gradually she opened her eyes and saw DV...so close to her...never before was so close...his lips on hers...those pink soft lips which had created desires in her when they were stuck in Mahabaleshwar. She caressed his lips with hers feeling an unknown high within...something which she didn't know what it was...but it was driving her...her mind went blank and her body was only reacting out of reflexes...what was happening was beyond her control...DV pressed her lips more...this time harder and the soft kiss turned into a intense one...he bite her lips and Saachi loved that pain...his hands cushioning her neck and Saachi put her hands on his chest...it was a moment Saachi wanted to melt in his arms...very softly DV broke the long kiss...Saachi's first kiss...
UPDATED 14th DECEMBER
Saachi was still feeling shy of herself for what just happened between them and Dhruv was very happy.
Dhruv says this in a low tone almost like a whisper : kaisa tha?
Saachi : DV mujhe nahin pata ye kaise ho gaya mujhse...humein aisa nahin karna chahiye tha.
Dhruv : humein aisa nahin karna chahiye tha? Par kyon nahin karna chahiye tha? Kya hum dono pyaar nahin karte ek dusre se?
DV was a bit irritated at Saachi's unending reservations about everything he did
Saachi: bas nahin karna chahiye tha...is ka jawab nahin hai mere paas par naani aaji ko bina bataye mujhe yahan Ana bhi nahin chahiye tha...ab mujhe Jana chahiye.
DV told her the whole about how Aaji and Naani came to his house and how they just need to meet his father as his mother is happy about them being together...and he will bring his parents to Panchgani very soon as his father is on some political visit.
Saachi felt very relieved but was still not over the kiss which she felt was not right.
Dhruv: Saachiji mein maanta huin ki mein aapse alag mahol mein pala bada hua huin aur open culture ko belong karta hain par kuch cheezen mein bhi samajhta huin. Aaj mein aapko ek ladke aur ladki ke beech ka fark samajhta huin.
Mujhe nahin pata ki mere koi words aapko offend na kar dein par aapko ye batana zaroori hai mere liye.
Saachiji ek ladka bahot jaldi bada ho jaata hai aur apne andar in desires ko teenage ki starting se samajhne lagta hai par ek ladki mein ye samajh apne aap nahin aa paati kyonki ek ladki ki physical desires ladko jitni strong nahin hoti. It's just a biological fact.
To mera aapko choone ka man karna is more natural aur shayad aapse free huin isliye apne desires chupata nahin huin. Ladkiyon ko ye ehsaas karana padta hai aur jab koi ladka unki soul ko touch karta hai to uska physical touch magic create kar sakta hai. A girl feels more emotional during physical intimacy isliye jis baat ki pehel ladka karta hai...use mehsoos ladki zyada karti hai.
Ek aur baat...aap samajhti hain ki pyaar kaise express kiya jaata hai?
Iske do tarike hote hain aur dono hi bahot important hote hain.
Ek hai words ke through jisse hum ek dusre ke dil se interact karte hain aur dusra hai touch ke through jisse hum ek dusre ki soul se interact karte hain. To pyaar mein chuna galat kaise ho sakta hai...agar pyaar nahin hai to choona galat hai.
Aur mein aapko yakeen dilata huin ki although mein pyaar mein choone ko galat nahin manta par mein shaadi mein bahot believe karta huin aur aapki tarah ye bhi maanta huin ki mantron ko padkar Devi devtaon ke saamne Agni ke saat phirse lene ke baad hi koi ladka kisi ladki ki respect aur trust poori tarah se haasil kar sakta hai...jab wo duniya ke saamne sirf us ek ke saath apni saari zindagi bit ane ka Waada karta hai. Jabtak wo ye promises nahin deta tabtak ek ladki ko poori tarah se choone ka haq kaise le sakta hai...itni bade submission ka mol bhi to utna bada hi hota hai.
Isliye kiss mera aapki soul to touch karne ka tareeka tha to galat kaise ho gaya...par aapke jism ko choone ka haq mujhe shaadi ke mantr hi denge to aap please meri taraf se be fikar rahi ye.
Saachi: DV tum nahin jaante ki ye sab mere liye first time hai...to isliye I am not very comfortable.
DV : Ooo...to ye aapka first kiss tha... Tabhi itni crazy ho rahi thi aap...chod hi nahin rahi thi mujhe...
DV teases her to which Saachi blushes and goes running behind him to hit him.