Dil Ke Naazuk Dhaage
Part 7
After they left Mayank spoke after a silence of two-three seconds,"Maa ye tumne thik nahi kiya...".He blurted out his frustation.
"Tune mere saamne aur koi option bhi nahi choda tha..."Shilpa ji explained to him.
Mayank:But maa aise jhoot bolker...
Shikpa Ji:Aur agar tujhe mein sach batati to kya tu meri baat maanta ...!!!
He stared her for a while while she continued,"Kya jawab deta sidhaa sidhaa manaa ker deta hain na ...ab mujh mein aur shakti nahi hain tujhse ladne ki...mujhe to ek achi bahu chahiye thi".
She look at him reading his expressions and said ,"Aur vese bhi tune hi kaha tha mein jisse bolungi usse tu shaadi krega..."
Mayank:Haan maa bola tha , but ye to galat hua na, ek dum se tumne bomb phodaa.. sochne ka bhi time nahi diya..
Shilpa ji:Mein to dena bhi nahi chahti thi...
Myanak:Per kyu maaa
Shilpa Ji:Kyu nahi Mayu...kab tak aise akele zindagi jiyega...bahut ho gaya..ek time ataa hain sabki life when they need a life partner aur ab teri life mein vo time aa gaya hain...
Mayank:Maa...mujhe nahi zarurat hain kisi ki...
Shilpa JI:Tu galat hain Mayank...Tujhe zarurat hain...Tujhe sach mein ab ek jeevan saathi ki zarurat hain...beta ab waqt aa gaya hain...samjh iss baat ko...mene jo bhi kiya tere ache ke liye kiya hain...Maa hoon mein teri...
Mayank said in a little convincing tone:Maa mujhe sochne ka thoda waqt do..
Shilpa ji said with a weak smile hoping he would understand her:Thik hain...but zaayeda mat lena...hopefully tera response positive ho...
Placing his elbows on the railing of the terrace, Mayank was staring at the moon. Most of the people loved the daytime but he loved the night. He loved the light and cool breeze during this time, and also how serenely the moon lightens everywhere. Usually whenever he came in the terrace after arriving home from his office, his exhaustion vanished within seconds, but today the case was different. He was extremely frustrated and his favorite environment was helping him to calm to an extent but not fully. He looked at his engagement ring, and thought, "Maa aisa kaise kar sakti hai? Woh janti thi ki agar unhone aise announcement kar diya toh main unke reputation ke khaatir yeh engagement kar lunga, iss liye intentionally she did this. Damn!"
On the other hand the scene was also quiet simliar yet in a wilder form.
Nupur straightforwardly move to her room...followed by Radhika Ji,"Beta meri baat to sun..".
Nupur:Mujhe kuch nahi sunna hai Maa..jab tum janti ho ki mujhe Shaadi jese rishte per bharosa nahi hain to fir kyu aisa kiya...mujhse jhoot bola..kyu maa...
Radhika ji:Mene jo bhi kiya tere ache ke liye kiya...
Nupur:Maa..tumne mujhe aise bandhan mein kyu baandh diya jisper mujhe vishwas hi nahi...
Radhika Ji:Mayank bahut acha ladka hain...Nupur...
Nupur:Jo insaan jesa dhikta hain..vesa asal mein hona zaruri nahi hain Maa...
Radhika Ji:Har koi tumhare baap jesa nahi hota hain Nupur...
Nupur:Naam mat lo..uska..vo mera baap nahi hain...in high raise tone...Mein uss insaan se nafrat kerti hoon...kabhi kabhi sharam aati hain mujhe khud per...meri raago mein uss gande insaan ka khoon hain...maa tumhi batao..mere saamne meri maa ko chod diya uss gatiya insaan ne mere ...ander apne liye saari iZzat apna pyar khatam ker diya...
Radhika Ji:Isme shaadi ka kya lena dena..
Nupur:Jab mera khud ka baap aise harkat ker sakta hain to kyu karoon mein iss shaadi jese dikhaave ka vishwas..
Radhika Ji:Shaadi dikhava nahi hain ye koi fake nahi hain beta do dillon ka do atmaa ka milan hain shaadi un do logo ko hamesha jodi rakhti hain...hamesha hamesha k liye...aur tujhe iss per vishwas nahi hain...
Nupur:Maa tum ye sab keh rahi hoo...tumhare saath jo hua uske baad bhi...tum bhool sakti ho maa but mein nahi...mein nahi bhool sakti jab uss gire hue insaan ne tumhare muh per paiso ka bundle phek ker mara tha aur tumhari itni insult ki thi...mere ander usi din se usse nafrat ho gayi thi...aur rishte se vishwas uth gaya tha..tumne jo bhi kiya acha nahi kiya maa..
Radhika Ji:Beta mene jo bhi kiya teri bhalayi k liye kara hain..bas aapni maa ki akhiri icha samjh ker maan jaa...mein tujhse fir kabhi kuch nahi maangungi...
Saying she joined her hands infront of her.She reached to her calming herself down said,"Maa aise mat kaho...kesi baatein ker rahi hoo...acha thik hain tumhare liye mein iss rishte ko ek mauka dungi..sirf aur sirf tumhare liye lekin..."
Rafhika Ji:Haan haan thik hain mujhe pata hain ek din tu bahut khush hogi aur mujhe thank you kahegi...
Nupur:Dekhte hain Maa...
Saying she went to washroom to change...while Radhika Ji said ,"Tu bahut khush hogi aage jaa ker...beta..bas tujhe samjhna padega...iss rishte mein vishwas kerna padega...".Saying she too went .
Night dawned where two people Mayank and Nupur have sleepless night thinking about change that happen in their life...thinking what should be their next step.
Mayank was thinking,"Should I agree to this relation...I am already engagged..but am I really ready for this...Maa ki reputation ke khatir mein peeche bhi nahi hat sakta ..but kya jo Maa ne kaha vo sach hain ...kya mujh ek life partner ki zarurat hain...kya mujhe sach mein ab apni zindagi kisi ke saath share kerni padegi...kya karun...ab to enaggement bhi ho gayi hai...ab agar mana kiya to Maa...ko bahut kuch face kerna padega hume hi aur uper se Nupur aur uski family...ko bhi ..mein apni Maa se bahut pyaar kerta hoon aur unki khushi ke liye kuch bhi ker sakta hoon...After a pause of a minute he confronted himself..Mayank tu selfish nahi ho sakta...ye shaadi aur kisi ke liye nahi apni maa ke liye to tu ker hi sakta hai..dude...after thinking a lot he made a firm determination Mein ye shaadi kerne ke liye ready hoon...Subha Maa ko bata dunga...mere wajah se pata nahi kitni pareshaan ho rahi hongi..ek hi to ischa hain unki meri shaadi...vo bhi unke pasand ki ladki se hi to ker raha hoon...jo hoga acha hi hoga...mujhe aur sochna nahi chahiye...I'll tell my decision to her in morning..."
Whereas Nupur was thinking,"Mene emotions mein aa ker Maa ko bol to diya hain that I'll marry him,lekin na mein usse ache jaanti hoon na pehchaanti hoon..kahin vo bhi agar mere baap jesa nikla to...Maa..ke saath to mein thi unke liye ek umeed thi but mein..agar mere saath hua to I'll be shatter...aur meri Maa..vo to sehen bhi nahi ker paayengi...kya karon..Maa ki reputation ke khaatir mein peeche bhi nahi hat sakti aur ab to Maa ko haan bhi bol diya hain mene ...Aur rahibaat uski...ladke to bahut type ke hote hain but ye Ladka to Maa ne hi pasand kiya hain aur unki pasand kabhi galat nahi ho sakti...zindagi mein ...to jesa bhi hoga acha hi hoga...she went into her deep thinking...kitna kuch dekha hain meri maa ne..kya mein unke liye ek chota sa compromise nahi ker sakti...mein apni maa se bahut pyar kerti hoon unke liye mein kuch bhi ker sakti hoon to fir shaadi bhi kar loongi..baaki ka dekha jaaayega jo hoga..pata nahi meri kismat mein aage kya hain...she joined her hands talking to god...mene ab sab aap per chod diya hain bhagwan ji dekhte hain aap meri kismat ko kahan le ker jate hain..!!!
Hope you like it
Edited by shafy_MN - 11 years ago