Jalal: Man Singh wo hamara harem hai aur waha hamare alawaha koi aur purush pravesh nai kar sakta
MS: Hame yaha ke Kanun ka pata nahi tha. Agar pata hota to puch ke jate.
Jalal: Lekin jate jarur
MS: Awashya. Hamne apni Bhuasa ko vachan diya hai ki hum har hal me unhe Khush rakhenge.
Jalal: Shahenshah ke samne bolne ki himmmat hai aapme. Apne Kanun toda hai aur iski aapko saza milengi.
Maham Anga: yeh apne sahi farmaya Jalal. Dikha dijiye in Rajputo ko ke Agra ma Kanun todne ka hashar kya hota hai.
Chagtai Khan: Gustakhi mauf jahapana. Lekin Man singh abhi balak hai aur agar Shahenshah ne agar ek balak ko saza Sunai to log kya kahenge ke Hindustan ke Shahenshah pattar dil hai ke ek balak ko apni bhul sudharne ke avasar bhi nahi diya.
Jalal:bahut sochne ke bad hamna yeh faisla liya hai ke Man Singh ko aur ek mauka diya jaye aur begum Ruqaiya ko choti si baat ko itni badi banane ke jurm me unki sari daulat Man Singh ke nam kar Di jaye.
Begum Ruqaiya: Lekin Shahenshah yeh to na insaafi hui.
Jalal: bus. Hukum ki tamil ho.
33