Hey Peeps,
I am a girl of my word š³. I promised I would write loouu songs for bhai if he impressed me with his actions. Now as requested by some of my friends here I present to you part one of my golden collection of songs dedicated to gold-turned-coaltar bhaiyaji:
For his fakey death act:
(Real Song ā Udi from Guzaarish)
Mil gaya aaj aasmaan se, aa gaya aage main jahan se ,
Yeh kya huya
Hil gaya dekho main dimaag se, hatt gaya peechhe apne vaadon seā¦.
Yeh kya hua
Uda, main hawa mein slowly uda, jaane kitna main gira,
Ab marna hai mujhko yaaarā¦
Hooo Uda, main hawa mein slowly uda, kaise main jaane mara,
Mar na bhi mera ek sawaaalā¦.
For his welcome back to the show:
(Real song ā aaja aaja main hu pyaar tera)
Aaja aaja, apna band bajane aaja,
Walla walla, yeh ghatiyapan tera!
Aa aaja, phirse mar ja, aa aaja phirse mar ja,
Aa a!
Aaja aaja, aur TRP khaane aaja,
Walla walla, expressionless chehra yeh tera!
Aa aaja, jute khane aaja, aa aaja jail jaane aaja,
Aa a!
For his sudden undead status:
(Real song ā Na tum rahoge from film Hamesha)
Joh tum rahoge, na hum rahenge,
Na logic rahegi, na TRPs rahenge,
Yeh audience bhi na rahegi,
Tum tharkey rahoge, tum chhichhorey rahogeā¦..
Mar ke bhi laut aya hai, apna baaand bajaane ke liye,
Eeek maran kam hai sanam, aashiq pistoli ke liye ā¦
Tan tan ta na na ā¦.
For his blue blue eyes:
(Real song ā yeh kaali kaali aankhen from Baazigar)
yeh neeli neeli aankhein, mera chappal aur tera gaal,
kabhi na hilta chehra, chhichhore jaisa haal,
itne despo jaise baatein, sirf tera hi kamaaal,
yeh neeli neeli aankhein, tu ru ru tu ru ru
Kabhi na kaam karte chaal, tu ru ru tu ru ruā¦
Jo dekha tujhko phirse, sanity pe uthta sawaaal!
For his realization of louuu in dargha:
(Real song ā Chalte chalte yuhi from Mohabbatein)
Chalte Chalte yuhi dupatta chheen ta hu main,
Baithe baithe yuhi glare karta hu main,
Kehte kehte yuhi bhool jata hu main,
Kya yehi pyaar hai, kya yehi pyaar haiā¦.
Hoooā¦
Chalte chalte kahi bhi ghuss jata hu main,
Chehra fixed rakhke line maarta hu main,
Chupke chupke bhabhi pe dore daalta hu main,
Kya yehi pyaar hai, kya yehi pyaar hai
For his dore daaloying on his SIL:
(Real song ā Ek ladki ko dekha toh from 1942: A Love Story)
Ek bhabhi ko dekha toh aisa laga,
Hooo kisiki biwi ko dekha toh aisa lagaā¦.
Jaise surili ko gaya bhool, waise main bhavra aur yeh phool,
Jaise jungle customs mera kaam, waise ek spit hai uski daan,
Jaise mere loouuu ka bahar, waise audience ko chadh gaya hai bukhaar,
Jaise na samjha main uski baatein, waise khaani pari mujhko laatein..
Hoooā¦ek bhabhi ko dekha toh aisa lagaaaā¦.
For his louu proposal to SIL:
(Real song ā Aapke pyaar mein from Raaz)
Aapke looou mein, hum bigad ne lage,
Dekh ke aapko, hum neeche gir ne lage,
Iss kadar apni ma se hum mukarte gayeā¦
Iss kadar apne betein ko hum bhoolte gayeā¦
Doob ke aapki thuk mein hum nikhar se gayeā¦
Aapke thuk mein, hum sawar se gaye e e..
Well there you go. This is Part One of my loouu collection for Bhaiyaji.
If you have any songs to add you are most welcome.
Please comment and give me your feedback