Swarn bhai, ek shradhanjali- bhaag ek!

cardio21 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
#1
Inspired by Pyarelalji... Dedicated to Radhi, Nupur, Charu, Dushti, Leela, Rajji,

Swarn bhai ki akasmik mrityu athwa mrityu ka chalawa!! Jo bhi ho, hum prassan hai ki voh humein apne darshanon se viheen kare hue hain. Parantu unse juda har ek tathya bahut hasyapad aivam murkhta se paripoorn hai, Joh abhi tak humein unki upasthiti ka aabhas karata hai..

Hamare kuch mitron ke vinamr aagrah par hum unhe iss lekh dwara shradhanjali dena chahte hain.. Is lekh mein hum unke aagman, jeevan tatha vyaktitva par prakash dalenge.. Iske Kai bhaag honge. Aaj hum unke aacharan par tippani karenge..

Bhratashri ke sahastra roop hai..unke kai upnaam hain.. Kai gun hain..Jaise ki veh Bahut nirlajj, mandbudhi, ghrinit vyaktitv aivam sankeern mansikta yukt, kaamandh manushya the..

Aagman ke samay unhone gurutvakarshan aivam vigyaan ke niyamon ka ulanghan kiya. Veh Jal se matsyapurush ki tarah uchal kar ardhnagan avastha mein nikle, aur aakash mein udte huye hi kuch ashleel vastra dharan kiye..🤢 Hamare andar ke vaigyanik ko unhone Kai baar chunauti di hai. Jeev-vigyaan ka toh unhone kabhi palan kiya hi nahin.. Anuvanshik utparivartan mein unka upma nahi ki jaa sakti..

Unke man ki asthirta toh aachambhit Karne vali hai.. Pal mein apni mrit patni ko Yaad karte, agle hi pal parayi stri ka vichaar karte!! Unke hriday tatha bhavnaon ki gati to Prakash ki gati se bhi adhik thi..
Ant mein toh apne anuj par hi mohit ho Gaye..🤢 Apne anuj aur uski bharya ke liye neech sanvaad kehte dekhe gaye.. Apni putravadhoo ke liye apmaanjanak shabdon ka upyog hi unhe mrityu ki aur le Gaya...

Swarn bhai ne kabhi Jo lakshya sadha, use kabhi poora nahin kiya. Kabhi apne mastishak ka upyog nahin kiya..ek balak ko apne hriday ke rath ka saarthi banaya.. Vivaahit stri se prem kiya, striyon ke saamne unki durbalta ki kayi dantkathayen prachhlit hain..

Unke asabhya aachran aivam ashleel vastra pehen kar ang pradarshan ki pravriti se iss forum ka har ek jeev parichit hai..
Apne putr ko apne shatruon ko pralobhan dene ke liye upyog karna, ek stri ka apaharan karna, Kai manushyon ki hatya karna, apni mitr aivam putravadhoo ke saath neech vyavahaar karna, is tarah ke tuchh aacharan rakhne wale swarn bhai humein bahut priya hain...

Manoranjan ke naam pe iss tarah ke lekhon se hi humnein apne hriday ko behlaya hai...

Agle bhaag mein hum swarn bhai ke sahastra roop par charcha karenge. Humein aasha hai ki iss shradhanjali ke baad voh humein apne darshanon se vanchit rakhenge..

No offense guys!! It's supposed to be a fun post to express my love for the departed soul...😛




Created

Last reply

Replies

84

Views

8.6k

Users

44

Likes

211

Frequent Posters

LostTraveller thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
#2
🤣🤣🤣

Mananiye Kashishji,
Aapki yeh tippani humein atyanta pasand aayi. Bhratrisneha ka aisa uchha udaharan padhke humare hriday ko bohot prasannata prapt hui hai.
Aapke in swarna shabdon se hum poori tarah se sahmat hai.
Swarna bhratasri ka mashtishka aur hriday dono hi iss srishti ke niyamo se pare tha. Humare teeno lokon se bhi upar, unka apna ek alag lok tha - bhailok.
Hum jaise tuchha manushyo ka ek shaatir aur "khatarnak" kalakar se andha prem dekhkar woh hazam nahin kar paye...aur chale aaye humare dharti par humein "swach" prem ka marg dikhane.
Hum besharam toh badle nahin...par bhrata ka bhavra-roopi mann aur mashtishka zaroor parivartit hua...woh bhi kai baar...aur ant mein woh bhi humari tarah ek kameeney kalakar ke prem mein magna hogaye...unki yeh raas leela bohot charcha mein rahi aur unke dharti se jaane ke baad ek amar prem kahaani ke roop mein prasiddha hui.
Asha hai ki bhratashri apne lok ke kisi jalasay mein aajevan vishram karenge aur humein unki shraddhanjali karne ka ek se adhik avsar pradaan karenge. 😳




Edited by felicity06 - 12 years ago
BadtameezBrat thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#3
ufff... aakhirkaar hamne aapka hridaysparshi shradahnjali padd hi liya... hame ye pura padne me bahot taklifo ka saamna karna pada... har ek vakya hame teen se chhaar baar padna pada.. samaj ne ke liye... 😒.. par hum atti aandandit hue aapki bhavnae padke...

sabse adhik hame woh kaamandh purush.. shabd prayog atti uttam laga... cardioji... aapse ek nivedna hai... aap apni vyatha aise hi prakat karte rahe... hum aapke aise katheen samay pe hamesha sath rahenge...

haa hame woh vigyaan evam gurutwakarshan udaharan bhi bahot achhe lage...

ufff... u rock cardio... 👏
masan1 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 12 years ago
#4
Uttam shradhanjali. Hum to has has ke lotpot ho gaye. Humein aapse aisi hi vyakhya ki aasha thi. Bhratashri ke sahastra rupon ka ati uttam uullekh kiya hai aapne. Hum aasha karte hai bhratashri ke bhaktgan unse prerna le aur apne jeevan ko unhi ke prakar vichlit aur bhatka hua payen. Aapke namkaran mein humein matasyapurush wala sambodhan sabse prriya hai. Krripya karke bhrata ke kuch annya guno ka ullekh lekar bhag 2 ke sath avashya loten
Valar.Morghulis thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#5
LOL!
Kashish, my head hurts just by trying to read it.. 😆
But I am sure it's hilarious though you lost me in the first paragraph! 😆
Even though I can't read Hindi as I speak Urdu, but still, I am pretty sure like all your other posts on bhai, this must be epic as well. 😳
Edited by mm990 - 12 years ago
taraka2005 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#6
OMG Kash u r hilarious 😆😆😆 ur hindi is awsm just like u 😳

matsyapurush ki tarah uchal kar ardhnagan avastha mein nikle 🤣 🤣 🤣 🤣
ek balak ko apne hriday ke rath ka saarthi banaya
🤣 🤣 🤣 🤣

@Red: most awsmly hilarious lines
waiting for next part 😊
Edited by taraka2005 - 12 years ago
HaymurS thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#7
sarvpratham apki hindi padhkr hum ashcharyachakit reh gaye🤣
ummeed karte ahi bhavishya me bhi padhne ka mauka milegi aur hindi ko sudharne ka avsar app hume lagataar pradaan karengi🤣

apka yeh lekh padhkar humare ankho me ansu aa gaye😭
itna hridya ko paseej ke rakh dne wala lekh bahut hi uchit hai[:D]
bhai ke bare me apne jo bhi kakha weh sat pratisht sahi hai
hum apse poori tarah se sehmat hai👍🏼
is lekh ke agle bhaag ke lie utsook😆
apki priya pankhi🤣
eku(mera shubh naam)

yeh lekh hume acha laga uska chinh abhi kaam nahi kar raha ahi😔..iske liye hum shama chahte hai.awsar milte hi usko fir se dabane ka prayas karenge
dhanyawaad😃


Edited by devilish-grin - 12 years ago
Krinya thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Visit Streak 500 Thumbnail + 8
Posted: 12 years ago
#8
Atipriye , hum has has kar lot pot ho gaye..sorry my hindi is not this gr8..

Hats off to u for ur Bhai prem..

🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣
leelaa9 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
#9

Originally posted by: cardio21

Inspired by Pyarelalji... Dedicated to Radhi, Nupur, Charu, Dushti, Leela, Rajji,


Swarn bhai ki akasmik mrityu athwa mrityu ka chalawa!! Jo bhi ho, hum prassan hai ki voh humein apne darshanon se viheen kare hue hain. Parantu unse juda har ek tathya bahut hasyapad aivam murkhta se paripoorn hai, Joh abhi tak humein unki upasthiti ka aabhas karata hai..

Hamare kuch mitron ke vinamr aagrah par hum unhe iss lekh dwara shradhanjali dena chahte hain.. Is lekh mein hum unke aagman, jeevan tatha vyaktitva par prakash dalenge.. Iske Kai bhaag honge. Aaj hum unke aacharan par tippani karenge..

Bhratashri ke sahastra roop hai..unke kai upnaam hain.. Kai gun hain..Jaise ki veh Bahut nirlajj, mandbudhi, ghrinit vyaktitv aivam sankeern mansikta yukt, kaamandh manushya the..

Aagman ke samay unhone gurutvakarshan aivam vigyaan ke niyamon ka ulanghan kiya. Veh Jal se matsyapurush ki tarah uchal kar ardhnagan avastha mein nikle, aur aakash mein udte huye hi kuch ashleel vastra dharan kiye..🤢 Hamare andar ke vaigyanik ko unhone Kai baar chunauti di hai. Jeev-vigyaan ka toh unhone kabhi palan kiya hi nahin.. Anuvanshik utparivartan mein unka upma nahi ki jaa sakti..

Unke man ki asthirta toh aachambhit Karne vali hai.. Pal mein apni mrit patni ko Yaad karte, agle hi pal parayi stri ka vichaar karte!! Unke hriday tatha bhavnaon ki gati to Prakash ki gati se bhi adhik thi..
Ant mein toh apne anuj par hi mohit ho Gaye..🤢 Apne anuj aur uski bharya ke liye neech sanvaad kehte dekhe gaye.. Apni putravadhoo ke liye apmaanjanak shabdon ka upyog hi unhe mrityu ki aur le Gaya...

Swarn bhai ne kabhi Jo lakshya sadha, use kabhi poora nahin kiya. Kabhi apne mastishak ka upyog nahin kiya..ek balak ko apne hriday ke rath ka saarthi banaya.. Vivaahit stri se prem kiya, striyon ke saamne unki durbalta ki kayi dantkathayen prachhlit hain..

Unke asabhya aachran aivam ashleel vastra pehen kar ang pradarshan ki pravriti se iss forum ka har ek jeev parichit hai..
Apne putr ko apne shatruon ko pralobhan dene ke liye upyog karna, ek stri ka apaharan karna, Kai manushyon ki hatya karna, apni mitr aivam putravadhoo ke saath neech vyavahaar karna, is tarah ke tuchh aacharan rakhne wale swarn bhai humein bahut priya hain...

Manoranjan ke naam pe iss tarah ke lekhon se hi humnein apne hriday ko behlaya hai...

Agle bhaag mein hum swarn bhai ke sahastra roop par charcha karenge. Humein aasha hai ki iss shradhanjali ke baad voh humein apne darshanon se vanchit rakhenge..

No offense guys!! It's supposed to be a fun post to express my love for the departed soul...😛



Swarn bhai, ek shradhanjali- bhaag ek!

Superb post, Kashish.😆👏
And such beautiful phrasing.⭐️ I love it. Thanks for this post.😳😃
DushtDanaf. thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#10
😆 😆 😆
ROFL
awesome post
glad to be rid of the matsayaprush
hope that water creature vanchit's us of his darshan
his life was stupid, and then after stupid mutations he died
let's hope, he-who-should-remain-dead stays that way -.-

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".