Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 12th Oct 2025 - WKV
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 13th Oct 2025
COURSE STARTED 😛13. 10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 13 Oct 2025 EDT
Alia Bhatt Creates History
Stars at Manish Malhotra's Diwali Party
No amount of jadu tona is enough for Alia bhatt and Filmfare editor
Bollywood Diwali bash pics.
Why is Hrithik wasting his time by doing all these?
Child Contestant Behaviour In KBC
A Historic Moment: Israel- Gaza Peace The October 2025 Ceasefire
Sunny Sanskari Ki Tulsi Kumari has reasonable second Friday..
Like/Dislike/Neutral Week 7
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct. 14, 2025 Episode Discussion Thread
Dhanyawaad Poolll ji. Haan hum bhi apka uttar paakar dhanya huwe! 'matsyakanya k sang jal krida' aap kaafi maazakiya ho ji! Yeah, hum zameeni praniyon ko amphibian bhratashri ki koi avashyakta nahi we apne asal ghar mein hi vicharan karein!Main aapki hi tippani ki pratiksha kar rahi thi Pyaare ji.OMG ! Bhai ka 'priya bhojan', unka eklouta'bhaan -mudra' , unka 'nirjiv abhinay' ROFL! .Hope bhratashree sada jalasaya mein hi vicharan kare aur matskanyaon k sang jal krida mein vyast hon. Aisi vichitra prani ki hum dharti wasiyon ko avashyakta nahi hai.
Originally posted by: pyaare_laal
Aapko bhi kabhi-kabhi aisa bhaan hota hoga ki bhratashri aam insaan se kuch 'alag- che'. Issi baat ko hum thoda spasht karna chahenge. : 1)Itni gehri khai mein woh bhi iss khatarnak roop se girne k baad bhi unke shareer aur chehre par kharoch tak nahi aayi.2)Unpar gurutwakarshan(gravity) kabhi karya nahi karti. 3)Jab koi kaam- kaaj nahi rehta to weh jalasaya(pond) mein vicharan karte hain. 4)weh ghadi bhar mein apni swargiya patni, apni maata aur apne putra ko bhula sakte hain jo anya prithwi wasiyon k liyeh sambhav nahi.5)Unke kaam- kaaj bhi kaafi bhinn hain, we apna jyaadatar dhyan doosron ka jeevan narak banane mein lagate hain phir bhi bina shram k na jaane kahan se unke paas kaafi dhan aata rehta hai.6)Anya manusyon se alag unke mukh par sadaiv ek hi bhaan- mudra(expression) rehti hai. 7)unki bhojan samagri bhi aam manusyon se kaafi bhinn hai (samajhdaar ko isara kaafi)8)unke mukh par aisi acchai k mukhauta hai jo jyaadatar manusyon ko nazar nahi aata keval kuch vishesh prani hi uska darshan kar paate hain. 9)Aur itni nirjeev abhinay aur itni boriyat ka vistaar karne k paschat bhi weh dharavahik mein tike huwe hain. Note: yeh keval ek hasya tippani (fun post) thi agar kisi bhrata prashahshak/premi/bhakt ko thes pahunchi ho to hum unhe sastang dandawat naman karte huwe unse chama maangte hain. Note 2: koi agar humare samarthan mein hain toh we iss visay par aur roshni daalne ki kripa kar sakte hain. Dhanyawaad.
Nahi nahi kaksha vigyan ki chal rahi hai yeh bataya jaa raha hai ki dusre greh(planet) k vichitra jeevon e.g. Bhratashri ko kaise pehchaana jaye aur unse bachne hetu kya kya suraksha vyavasta ki jaye!Originally posted by: mannu_minnie
Hindi kakshaaye chal rahi hai yaha..😆
aapki tippani hamare mann ko bahut bhayi..