Disclaimer: Please do not copy my work anywhere. If you do, please give credit.
Khushi's journeyJiji ki shaadi ko bachane, chalein hum bhool bhulaiyya meinPair phisla to gir pade, ek raakshas ki baahon mein.Badnami se bachne ke liye, Lucknow chod, Dilli gaye,Pehle hi din usee raakshas ki gaadi se takraayeBuaji ki madad ke liye naukri karne ko chaleWohi raakshas, usee daftar mein, boss bankar humse mileSaadiyaan bechne chale gaye the ek din Anjaliji ke gharKuch din baad pata chala, woh tha uss raakshas ka bhi gharJaan par ban aayi to, naukri chodne ka faisla kiya,Ghar jaakar Laad Governor ko istifa humne diyaVrat rakha, Mandir chale, to Laad Governor humse takrayaBehosh huye, Laad Governor ne sambhala, unke haathon se pani piyaBabuji ki madad ki khatir kholi humne mithai ki dukaanOrder poora karne chale to dekha, woh tha Laad Governor ka makaanMithai ke paise nahin mile lekin jab Anjaliji ko ghar aate dekhaHumari pareshani mitaane, Anjaliji ne ek prastaav rakhaRehan-sehan, Pooja-Parv Lavanyaji ko hai sikhanaInkaar kiya to, Anjaliji ne yaad dilaya ek contract puranaBuaji ki ek baat, poochta hai mera bhi manDilli ki saari sadkein kyun jaa pahunchti hain Shantivan?
Durga...u hav put it together fantastically👏...nd the last line is truly the cherry on top
Amazing 👏👏
718