MY sweety sis keliye
Kuch khaas hai,
Kuch paas hai,
Kuch ajnabi ehsaas hai,
Kuch duriyan, nazdikiyan,
xxx;-
Mushkil ka meri unko mukshil se yeki aaya,Samjhe meri mushkil ko magar badi mushkil se
aanchi:- Bahut roai hai us aasu ke khatir,Jo nikalta hai khushi ki intaha per
xxx;- Aab es hadd pe laya hai intazaar muzhe,Woh aa bhi jaye to aaye na yaki muzhe
aanchi:-Kab bhala ab ye waqt guzre
Kuch pata chalta hi nahi
Jabse mujhko tu mila hai
Hosh kuch bhi apna nahi
Uff ye teri palken ghani si
Chaanv inki hai dilnasheen
Ab kise dar dhoop ka hai
Kyunki hain ye mujhpe bicchi
Kuch hass padi tanhaiyaan,
Kya yeh khumaar hai, kya aitbaar hai,
Shayad yeh pyaar hai,
Haan hai shayad,
xxx;-
Muhabbat pe
qurbaan kai baar huye
dhoke se halkaan kai baar huye
koshis har baar ki naya ghar basane ki
maana ki biyaabaan kai baar huye
maat hi mili har sheh ki chaal pe apni
aise zindagi k imtihaan kai baar huye
farishta maana tha insaan ko muhabbat ka
farishte bhi insaan kai baar huye
aaj hai kuch ranzish unhe humse is kadar
jo pehle meherbaan kai baar huye
hasrate nai nai paalne me kya jaata hai
maana ki khaak armaan kai baar huye
aanchi:-Muj se bichar ke shehar mein ghul mil gaya wo shaks
Halaan ke shehar bhar se adaawat usey bhi thi
Wo mujh se barh ke zabt ka aadi tha gee gaya
Warna har ek saans qayamat usey bhi thi
Sunta tha wo bhi sabse purani kahaniyan
Shayad rafaqaton ki zaroorat usey bhi thi
Tanha hua safar mein to mujhe par khula ye raaz
Saaye se pyar dhoop se nafrat usey bhi thi
main us se keh na saka haal-e-dil
Dar-paish ek taaza museebat usey bhi thi
Kya yeh bahar hai, kya intezaar hai,
Shayad yeh pyaar hai,
Pyaar hai shayad..
Kuch khaas hai,
Kuch paas hai,
xxx;-
Khud ko dil main basaney ki ijazat dey doo...
Mujh ko tum apna bananey ki ijazat dey doo..
Tum meri zindagi ka ek haseen lamha hoo...
Phoolon se khud ko sajaney ki ijazat dey doo...
Main kitna chahta hoon kis tarhan baataon tumhain..
Mujhey yeh aaj batanaey ki ijazat dey doo... ..
Tumhari chand si ankhon may chand sa chehra..
Mujhe yeh shaam sajaney ki ijazat dey doo...
Mujhe Qaid ker lo apney dil main...
Yaa mujhey khud Qaid kerney ki ijazat dey doo.
aanchi;-Zindagi ki rehgujar me, koi dildaar na mila
Humrahi to buhut mile, koi humwaar na mila
Dil humne bhi rakha tha, tijaarat ki khwahish se
Par dil ka koi humare, kharidaar na mila
Tasalli to bahut di Hume, zamaane ki bheed NE
Kaandhe pe rakh ke sar ro Le, aisa yaar na mila
Yun to har zakhm ki hoti he marham
Sakoon de Jo is dil ko, aisa pyyar na mila...
Kuch ajnabi ehsaas hai,
Kuch duriyan, nazdikiyan,
Kuch hass padi tanhaiyaan,
Kya yeh khumaar hai, kya aitbaar hai,
Shayad yeh pyaar hai,
xxx;-
Jo bhi saanse mai bharu
Unhe tere sang bharu
Chahe jo ho rasta use tere sang chalu
Dil ibadat kar raha hai Dhadkane meri sun
Tujhko mai kar lu hasil lagi hai yahi dhun
aanchi;-
Rasmo riwazo ki jo parwah kar te hai,
Mohabbat me vo log gunah kar te hai,
ishq to vo junun hai meri jaan,
Jisme diwane apni khushi se khud ko tabaah kar te hai.
Haan hai shayad,
Kya yeh bahar hai, kya intezaar hai,
Shayad yeh pyaar hai,
Pyaar hai shayad..
xxx;-Muskurate aap raho khush ham go jayenge!
Manzil aap pao jeet ham jaynge!
Jeena chaho agar kisi ke liye!
To Aapke liye sans ham chhod Jayenge
aanchi:-Dard se hath na milate to or kya karte,
Gam ke aansoo na bahate to or kya karte.
Usne maangi thi humse roshni ki dua,
Hum khud ko na jalate to or kya karte.
Kuch saaz hai jaage se jo the soye,
Alfaaz hai, chup se nashe mein khoye,
Nazrein hi samjhe yeh guftagu saari,
Koi arzoo ne hai angdayi li pyaari,
Kya yeh khumaar hai, kya aitbaar hai,
Shayad yeh pyaar hai,
Haan hai shayad,
Naa inkaar hai, naa iqraar hai,
Shayad yeh pyaar hai,
Pyaar hai shayad'
xxx;-matlabi Duniya Me Matlabi Log Mile Hai
Hume To Jindagi Me Chahne Wale Kam Mile Hai
Phool Khilte Hai Unke Daman Me
Jinko Sitaron Ki Mahafil Mile Hai
Hume Tanhayon Me Bhi Dubte
Saahilo Ke Kinare Mile Hai
aanchi:-Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jise aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain Ashk mager
Har baat poorani kehdein ge...
Kehna hi kya, mera dhakal naa koi,
Dil ko dikha, dil ki shakal ka koi,
Dil se thi meri ek shart yeh aisi,
Lage jeet si mujhko, yeh haar hai kaisi,
Bukhaar hai, kyu beqraar hai,
Shayad yeh pyaar hai,
Pyaar hai shayad,
xxx;-Chehre pe mere zulf ko phelao kisi din
kya roz garajtey ho, baras jao kisi din
Raazon ki tarha utro mere dil mein kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jao kisi din
Peron ki tarha Husan ki barish mein naha loon
Badal ki tarha jhoom kar gher aao kisi din
Khusboo ki tarha guzro mere dil ki gali se
Pholoon ki tarha mujh par bikhar jao kisi din
guzrain jo mere ghar se, to ruk jayen sitarey
is tarha meri raat ko chamkao kisi din
main apni har ek saans ussi raat ko de doon
sir rakh kar mere seeney par so jao kisi din
aaanchi;-kya hua jo tanha hai hum,
milke jinse juda hue hum,
kare kya shikva kisi se hum,
abhi itne tute nhi hum,
girte rahe sambhalte rahe hum,
asko ko na bahne diye hum,
hajar pahelio me jakde hum,
pir bhi muskarate hai hum,
Jadoo sawar hai, naa ifteaar hai,
Shayad yeh pyaar hai,
Pyaar hai shayad,
Pyaar hai shayad..
Ooo..
Kuch khaas hai,
Kuch paas hai,
Kuch ajnabi ehsaas hai,
Haii..
Ra ra re'na na na
Ra ra ra ra..
Na re na..
Pyaar hai shayad
Pyaar hai shayad
Yahi..
xxx;-i love u
aanchi:- i love u too