moms birthday with her son
amar ki mom jhoole par udaas bethi huyi hai soch rahi hai aaj unka itna special day hai or unke ladle ko yaad tak nahi hai ,yahan tak ki usne apni ma ko ek phone tak karne ki koshish nahi ki amar ki mummy amar se bohat bohat naraaz hai or udaas bhi wo kisi se baat nahi kar rahi even husband ke birthday wish karne par bhi unka mood change nahi hua ,tabhi achanak cd player main birthday song play hone laga happy birthday to you mom chonki or idhar udhar dekhne lagi or cd player ke paas gayi use band karne ke liye tabhi peeche se do hanth amar ki mummy ki taraf badhe or unki ankhe apne hanthon se band kar di or ek awaaz aayi.
amar- aaj mousam kuch kharaab sa hai kisi ka mizaz kuch garam sa hai lagta hai ma ke dimaag main maggy paka sa hai,duniya ki sabse achchi mom ko poore universe ke sabse achche bete ki taraaf se pyaar wala cute sa shona shona happy birthday .
dheere dheere mom ki ankhe kholi or un ankhon main khushi ke aansu the conny mom kuch bol nahi payi par amar sab samajh gaya or ole bolkar son ne mom ko zor ki jhappi di or apne dono kaan pakad ke uthak bethak start kar di.
amar-mera sorry mom mere pa ka sorry mom poore jahaan ka sorry mom main bina bataye chala gaya sorry very sorry .
apne nalak bete ko dekh kar conny mom phir pighal gayi or zor zor se hansne lagi or phir amar mom ke liye bada sa cake laya or bola mom pa ke aane se pehle ye cake kaat lo nahi to wo mujhe bohat marenge mujhe unke aane se pehle jaana hai.tabhi dono ne milkar cake kata or mom ne amar ko or amar ne mummy ko cake khilaya or mummy ko bolke ki apke birthday ka gift lekar hi agli baar aaunga bol kar chala gaya conny mom bohat khush ho gayi ki unke nalayak nikamme bete ko jisko apne exam ki date bhi yaad nahi hoti unka birthday har saal yaad rakta hai or apni mom ko wish karna nahi bolta. conny mom apne aap main bol rahi hai love you my bachcha.
tabhi ghar ka phon baza conny di ne phon uthaya or bola hello phon agents ka tha.
agent 1,2,3- sorry mam hum morning se aapke bete ke peechhe the uske sath jo ladka tha wo to dikh raha hai par ye amar nahi dikh raha aapka amar kho gay ,agent 2 mummy amar kho gaya .
agent 1 ye sab agent 3 ke tree lagane ki wajah se hua hai agent 3 nahi ye sab agent 2 ke mango ki wajah sa hua hai agent 2 ye sab agent 1 ki tea ki wajah se hua hai teeno zor zor se ladne lage or amar ki mom zor se chillayi chooop karoo.
amar ki mummy- (Conny di)- pagalon mango chaye pendh hi karti reh jana yahaan mera bachcha mujhe wish karke chala bhi gaya or tum sab bas tree hi lagate reh gaye hato pare bekaar hi kaam diya tumko ab raje agency kisi kaam ki nahi hato tum log.
agents- kya amar wahaan hai thankyou mam batane ke liye hum to soch soch kar pareshaan ho gaye ki ye gaya kahan thankyou mam vese amar oonty aa raha hai na.
ma- haan aa raha hai kal tak pohanch jayega ab main phon rakh rahi hoon.
agents- ek minute mam happy birthday humari taraf se yippy amar ka pata chal gaya dhinka chika dhinka chika.
agents ka group song hum honge kamyaab honge kaamyaab ek din š¤£
happy birthday conny di
love you di
Edited by dear10 - 13 years ago