parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#1
This is purely Sujata ji's idea,and i am copy cat here. Ashutosh aur Nidhi medical camp ke liye Anandpur ja rahe hai,Ashutosh yeh naam sunkar thoda khush thoda udas hai,jane kya soch raha hai,lekin nidhi ne unhe thodi der ke liye akela chhodna chaaha. Ab nidhi aur ashutosh Anandpur gao pahuche,aur ashu ki aankhome nami aa gai.Unhone Nidhi se kahaa."Nidhi,tumhe pata hai,yeh mera gaon hai,jahaa main paida hua,mera bachpan bita,aur jahaa main anaath hua. Nidhi ko dhakka laga,usne ashu ke haat pe apna haath rakha. Gao ke bahar peepal ka ped tha,ashutosh nidhi ko wahaa le gaya,"Nidhi yeh wohi ped hai,jahaa me zula banake khelta tha,jiske chhav ke neeche padhta tha,aur yehi ped muze apni god me samata tha,."aur woh us ped se lipat gaya aur rone laga.Nidhi ne use rone diya thodi der,aur fir uske kandhe pe haat rakha. Nidhi ko ashutosh ek khandar jaisee school me le gaya aur bola,"nidhi yehi mera school hai jahaa maine bachpan me padhai ki,aur isi school ke maidan me main dosto ke saath kanche[marble]khelta tha,aur bahoot maja kiya karta tha,meri maa mere liye khana lati thi,Muze dhoondla dhoondla sa yaad hai,meri maa muze khana khilati thi,babuji muze kandhe pe lekar pura gav ghumte the,aur fir achanak is gao me Haiza faila,aur usne mere maa-babuji ko apni zapet me le liya,main us din anath ho gaya,nidhi.bilkul anath... Nidhi ne usko kaskar gale lagaya,"suniye ji,aapko toh ma ka pyaar mila,Nanaji ne aapko pala poskar bada kiya,mera sochiye,maine to janam hote hi ma ko kho diya,baba ki naukari thi,DB aur Shyama aunty ne muze pyaar diya,aur aap ko mere nana ne,hisab barabar hua na,"she was trying to create humour. Ashu ne nidhi ki aankhome dekha,use peheli baar uski aankhome dard dikhai diya,aur use apne dil ke andar kuchh chubha.Mian toh samazdar hoo,isse 18 saal bada hu,lekin yeh itni chhoti si umar me itna shehen karne ke baad bhi kaise muskurati hai,muze sambhalne ka aur khush rakhneka try karti hai,."Ashu ko yaad aaya Kerala break up,upne khoye jaane par pagalo ki tarah dhoondana uska,uski himmat,aur upne prati uski wafadari,kitna kuchh saha tha usne. Aur usika natija hai ki woh uski zindagi me khushbu ki tarah wapis aa gai. Nidhi ne ashutosh se kahaa,"hum is gav me jamin lenge aur yahaa Hospital banayenge taki kisi ko ilaaj ke liye bahar nahi jana padega,aur hum dono is gav ke unaati ka prayas karenge. Ashutosh nidhi ki baten sunkar khush ho gaya,umar ka samajdari se koi lena dena nahi hota,yeh aaj usne achhi tarah samaz liya tha.are choko mat,kabhi toh serious hoti hu main!
Edited by alkaparmart - 12 years ago

Created

Last reply

Replies

4

Views

942

Users

3

Likes

13

Frequent Posters

parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#2
dekha gao kisiko pasand nahi aata.
SwastikAshNi thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#3
Alka,Ashtosh ne ekbaar kaha tha-Baba kahene ka kabhi mauka nahi mila,so most probably Ashu was inborn Orphan but that's OK,very good post agn and the last words from Nidhi were really very sweet for Ashu...
parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#4

Originally posted by: SwastikAshNi

Alka,Ashtosh ne ekbaar kaha tha-Baba kahene ka kabhi mauka nahi mila,so most probably Ashu was inborn Orphan but that's OK,very good post agn and the last words from Nidhi were really very sweet for Ashu...

once ashutosh told nidhi bb was there when village was effected by contactive disease,and main kutese roti chhinta tha,aur baba muze ghar laye the.this is just my prediction for past for stand by of ashutosh
Sujatha.rao thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#5
Thank you Alka...par..yahan dimaag bhi aap ka hai...aur haath bhi aap hi ke...

But very nicey written 🤗

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".