Part 17
As Dev settled on couch with his coffee…. Pallavi closed the windows…as the weather outside got worse by the minute…. It was raining heavily…. wind was blowed more making weather more & more worse… fiercely….. looked down to see a thick branch falling down and landing on the neighbour's car…smashing the window…. She shuddered when she thought that it could have happened to Dev, if he didn't agreed to stay back here… She came out of thots hearing Dev's voice
Dev(relaxed back)—So, what did u mean by lost hope? Main samjha nahi…
Pallavi(settling on other couch)—aur pata nahi main samjha paungi ya nahi…(laughed) kyunki jitna main khud samajhne ki koshish karti hoon aur confuse ho jati hoon… (she paused…somewhere now she felt nervous)
Dev—phir bhi… shayad mujhe samjhate samjhate khud bhi samjh jao….
Pallavi(took a deep breath)—may be, I don't know, its just….just a feeling….ek darr, ek insecurity…shayad just a thot…I mean … bachpan se mom humesha kehti thi… ki zindagi mein chahe kitne problems ho …par end mein sab theek hojata hai…u know like its always said—end mein sab acha hota hai, agar acha nahi hai toh end nahi hai(smiled) & to prove this mom humesha nayi kahaniya sunati thi… aur shayad un stories ka mujhpar kuch zyada hi asar hogaya…. mujhe yeh lagne laga ki zindagi mein bhi problems hai toh kahani ki tarah end mein sab theek hojayega…(a little sad) par dad ke jane ke baad realized zindagi aur kahani mein bahut fark hota hai…but mom us waqt bahut strong thi…khud ko sambhala, khushi aur mujhe sambhala…zindagi phir normal hone lagi…& I believed in same thot ki dheere dheere sab theek ho raha hai…but mom ke baad it was more tougher…..ek baar ke liye umeed khone wali thi… I was worried…ek darr tha ki agar sab kuch theek nahi hua toh, par khushi ke liye I had to be strong…& kept my belief that everything would be all right ….aur us waqt massi ne aapke baare mein bataye…aur hum yaha aagaye…life ek baar phir normal hogayi…khushi ki shadi hogayi who apni life mein settled hai….everything is fine…par ab…
Dev—par??
Pallavi—par ab(after a pause) ab ek ajeeb sa darr hai, ek restlessness,…ek doubt, u can call it anything…(added thotfully)ki ab life mein aage sab kuch theek nahi hua toh?What if it is not going to be all right …Agar ab mujhe mera happy end nahin mila to? ….ab tak khushi thi mere saath, someone to say my own, my family… par ab is is akelepan se darr lagta hai…(she looked down) what if sari zindagi aise hi chala…& I don't get a happy end to my own life…kahi na kahi who soch, who umeed jo bachpan se mere saath thi, meri takat thi…who kahi kho rahi hoon…ek dar sa lagne laga hai…yeh dar kis cheez hai pata nahi, is akelepan se, zindagi se…u can name it anything…bachpan ka who vishwaas dheere dheere kahi kho gaya (Pallavi slowly looked upto Dev, fearing he must be laughing at her childish thots…seeing him silent) I know, its stupid…(laughed sadly) abhi tak bachpan ki baat ko hi sach manna….life ko kahani se compare karna… I know its childish(she got up to walk away…when she heard Dev's voice)
Dev—its not, apni zindagi ke liye accha expect kara, life mein khushiya expect karna stupid nahi hai…aur agar hai…tab toh har koi stupid hai…(Pallavi smiled at his sincerity she knew he meant it) par achanak yeh darr kyun? Apni beleif pe, apni us soch par bharosa nahi raha?
Pallavi (sighed)—apni kismat par nahi hai…aur (after a pause)….zindagi ki hakeekat bhi saamne aagayi…ki zindagi koi kahani nahi hai…jaha sab kuch theek hoga…aur .is baat ka ehsaas baar baar hojata hai & I have realized jab hume pata ho kuch hume nahi mil sakta toh us cheez ko pane ki umeed nahi karni chaiye...takleef khud ko hi hoti hai…
Dev—par dil ka na sunna bhi toh galat hai…
Pallavi(smiled as he was repeating her mom's words)—par kabhi kabhi humara dil jo chahta hai, duniya usse accept nahi karti …
Dev—duniya kya sochti hai…kya kehti hai …usse zyada humari apni khushi maine rakhni chaiye…afterall yeh humari apni zindagi hai…
Pallavi—par apni zindagi hume isi duniya mein bitani hai, inhi logo ke beech…aur isi duniya mein humare apne bhi rehte, jinpar humare faislo ka asar padta hai 😊😊 aur duniya ke niyam manne ke liye …dil ki awaz ko unsuna karna padta hai…
There was a moment of silence…with both of them lost in thots… which broke due to the thunder noise outside…resulting in electricity shut down… making the room & whole area dark…
Dev(to break the silence)—I cud have gone back Pallavi..ab tak ghar pahunch gaya hota…its just wind par tumhe aur massi ko kaun samjhaye…its just a….
Pallavi(laughed & got up to get candles)—u are right Mr.khanna…its just a wind…jiski wajah se aisa mausam hogaya…😆😆 .aur light chali gayi…😆😆 trees have fallen, weather have been so bad ki power chala gaya, aur kuch nahi hua…. (As she lighted the candles on the coffee table) ab aapki baari Mr.khanna
Dev(confused)—matlab?
Pallavi—I mean its now ur turn…aapki share karne ki baari hai…
Dev(realized)—Oh!! (smiled) kya janna hai?
Pallavi(shrugged)—ermm kuch bhi? Anything u want to share…apne bachpan ke bare mein,school ke baare mein…anything…but it must be something jo aapne kisi ke saath share nahi kiya….
Dev(sighed)—mujhe laga aaj jo hua tum us baare mein janna chahti ho?
Pallavi (looked up from candles)—aap apni life ke baare mein bataenge I cant have preferences there...(smiled)
Dev(in a low voice)—aur main batana chahu toh…(pallavi looked up in surprise) kyunki shayad yahi ek cheez hai meri zindagi mein jo maine kisi ko nahi batai…ek baar badi ko bataya tha….par unhe bhi sirf adha sach hi pata tha… aur waise bhi aaj jo bhi hua uske baad I personally feel like I own you an explanation…
Which was not true he knows it himself…he cud hear the nagging voice in his head
"sach kyu nahi kehte Dev…😡😡 tum Pallavi ko isiliye batana chahte ho taki who tumhare pyaar ko galat na samjhe…tum isliye batana chahte ho taki who tumhe samjhe, tumse pyaar kare…Stop urself Dev😡😡…mat batao usse …tum dono ki alag zindagiyan hai…apni araam se jiyo…aur isse bhi khush rehne do…kyun apne dukh sunakar isse dukhi kar rahe ho…usne bas aise hi pooch liya hoga...dat doesn't mean u have to share it 😡😡😡...
Seeing Dev silent & lost in thots…Pallavi thot may be he doesn't want to talk…
Pallavi(nervously)—ermm Mr.Khanna …its ok, agar aap nahi batana chahte toh (paused) I mean koi zabardasti nahi hai…I mean…u don't feel pressuried…condition ki baat maine aise hi keh di thi….Its Ok…
Pallavi wanted to be sure he was telling all this out of free will…
Dev(sighed)—I really want to tell u…(relaxed back) shayad I will feel better…bahut dino se…bahut saalon se sab kuch ek kone mein band hai…kitni baar massi ne poocha, sid, kabir bhai Rj sabne poocha…par...(he left the rest unsaid)
Pallavi gave a weak smile…& came across & sat on the opposite chair… She waited for him to continue…but he didn't….He quietly kept staring at the candles….
Pallavi(softly)—U ok Mr.khanna…
Dev (just nodded in yes & sighed)—bas samajh nahi aa raha from where to start…
Pallavi wasn't sure if she wanted to hear about his marriage… but sensing his restlessness she knew he wanted to talk to somebody…as he said he had bottled up all inside since too long…
Pallavi(smiled lightly)—in dat case…shuru se shuru karte hai…(Dev looked at her confused) So, aapki Love marriage thi ya arranged…
Dev (sniggered)--'Neither I guess…
Pallavi (confused)—matlab ?
Dev(smiled sarcastically)—bahar se dekhne wale ko yeh ek love marriage lagti hai…lekin sach usse alag hai… (took a deep breath) Maya aur main ek dusre ko bachpan se jante the…infact humare fathers bahut ache dost the…at one point they were business partners… dono families mein bahut closeness thi…I wud not be wrong if I say Maya and I practically grew up together…ek hi school gaye, ek hi college…Maya bahut sweet thi… Hamesha hasti thi, bubbly, bright…..Parties ki jaan huwa karti thi….& it was always njoyable & fun with her…hum dono humesha saath khush rehte the…she was my best friend mere sabse ache dost…Infact Sid se bhi achi…Sid se toh main college mein mila tha…par Maya bachpan se saath thi… (smiled) she was the only friend who was a girl…Sid is baat ke liye humesha mera mazaak udata tha…
Phir Mom-dad ki death ke baad(sighed) everything changed…us waqt badi maa ne nahi sambhala hota toh pata nahi kya hota mera…ek saath mom dad ka jaana within a year…business ki responsibility…Mom ke jane ke baad dad ne business pe bilkul dhayan nahi diya…as a result it a mess…khud ko sambhalna jitna mushkil tha…usse zyada business ko bhi samjhana …business was never meant for me…I wanted to be a writer…likhne-padhne ka bahut shauk tha… achanak se mujhe waqt ne aisi jagah khada kar diya jaha na mujhe raasta pata hai na manzil….us waqt saari responsibility mujhpar thi… I was young, and worried…. Badi maa ne agar emotionally mujhe sambhala toh Mathur uncle(Maya's father) ne business ke baare mein seekhaya…Emotionally shayad main toot gaya hota agar us waqt badi maa yaha nahi aati…
Agar Mathur uncle aur badi maa nahi hote to mai shaayad aaj is mukaam par nahin hota… Mathur uncle ne mujhe business ko sambhaalna sikhaaya aur financially sahaara diya…us waqt mera saath diya jab mera saath koi nahi tha…us waqt massi ka bhi apna business crisis mein tha...
Us waqt humari company ke saare investors, creditors ne apne haath wapis kheech liye… unhe kabhi nahi lagta tha ki ek 15-16 saal ka ladka sab kuch sambhal paega…(smiled) unhe kya mujhe khud nahi lagta tha…Lekin us waqt badi maa ne mujhe sabse important baat sikhayi…
"Dev tumhe khud apne aap ko itna strong banana padega … ki koi tumhe kamzor na banaye…jo tumne khoya hai uski kami koi puri nahi kar sakta …par insab ke bawjood tumhe khud ke liye jeena hoga…jinhe yeh lagta hai tum kamzor ho…unhe yeh sabit karne hoga…ki tum mein itni himmat hai ki sab kuch wapis ussi makaam par pahucha sakte ho jaha pehle tha…"
She was the one who brought me out of the shell…she made me realize ki I have to live for myself…Mom-dad ne jo sapne mere liye dekhe who mujhe khud pure karne padenge…aur waqt kamzor banne ka nahi balki kismat se ladne ka hai...
Jitne waqt badi maa yaha rahi…she made sure my life gets back to normal…par unki bhi apni family ki responsibilities…she had to go back...dheere dheere I concentrated on the business. Mathur uncle helped me a lot…it was during this time…Maya se milne ka pehle se zyada mauka milne laga…Shayad... uncle chahte the ki main sirf kaam mein busy na rahu…he made sure…Maya takes me out to me out to parties, helped me make friends, always tried to cheer me up… Ghar par bhi kafi aati thi… Mai business me ujha rehta tha…aur who ek dost ki tarah humesha dhayan rakhti thi….
After few months…Massi & kabir Rj shifted with us...sab kuch ek baar set hone laga…it seemed like I got my family back…business bhi dobara set hogaya…everything was going fine… (he went quiet)
Pallavi was more curious now…till now it doesn't seem Dev has any complaints from Maya…for a moment Pallavi felt jealous…that Dev seemed to like Maya or may be loved at that point of time… but now it surprised her that even after being friends for long their marriage is on rocks…
Pallavi—phir?
Dev—5 saal pehle Uncle suffered a heart attack…since it was his second he was in a critical condition…Uncle ko Maya ki bahut fikr thi unke baad uska kya hoga…us waqt he shared with me that he wants both of us to marry…shayad itne waqt se Maya aur main saath the unhe yeh laga ki I wud be a perfect match for her…..afterall hum dono bachpan ke dost the…par maine uncle ko bata diya tha I have never seen Maya in that perspective...par pata nahi kyun uncle ko yahi lagta tha ki hum dono ek dusre ke liye hai…at that moment I wasn't even thinking of marriage neither…I had any GF…mere paas na karne ki koi wajah bhi nahi thi…infact I was relieved that Maya wud be my life partner some1 who knows me since long… finally uncle ne massi se baat ki & 3 mahine baad ki shadi fix hogayi…Maya bhi raazi hogayi…jab yeh baat maine badi maa se share ki…though she was happy that I am getting married par unho ne shadi mein aane se mana kardiya…shayad tumhare exams the…she had her own reasons…
(what Dev didn't knew...Pallavi's mom & Dev's dad had a big show down as she had expressed abt Dev-Pallavi's marriage...Dev's dad never agreed to it & he made Pallav's mom beleive that Dev loves Maya & they will eventually get married)
In 3 mahino mein… Maya aur main we started to go out and have dates…as a couple…ab tak hum sirf ek dost ki tarah jante the…par ab dusre ko janna chahte the…afterall zindagi saath guzarni hai…Maya and I talked about our expectations from this wedding… planning our future together….Maine kabhi nahi chaha that after marriage she turns a typical housewife…coz I knew she always was an ambitious girl… I wanted her dreams to come true…kahi na kahi I was really happy because I was getting married to her… I wanted to give Maya the dream wedding she wanted to have. …it had everything Bari si parties, saare celebrity guests, mehenge gifts, designer clothes…all media coverage everything…. Humne shaadi ke liye saari taiyyariyan ki thi….Har magazine me hamaari tasviren chappi thi, afterall we were from Khanna's & Mathurs were one of the biggest business families in the city….
Finally my dream was coming true….I was going to have someone who cared for me…
Pallavi (was listening with interest… it sounded like a fairytale.)—then?
Dev(sighed)—wohi jo sapno ka hota hai… (eyes became moist) aankh khulte hi…sapne gayab ho jate hai?
For a moment there was a silence in the living room…only noise was of rain falling on the window pane… & thunder striking…
Pallavi(apprehensive)—kaise?
Dev rested his head against the wall and took a deep breath… looked at her again and continued.
Shaadi bari dhoom dhaam se huwi….jitna socha tha usse bhi badhkar…bikul ek dream wedding… Shadi ke kuch din baad…uncle got sick again…Mujhe laga Maya uncle ke saath rahegi usse unki dekhbaal karne ke liye aur waqt mil jayega…So, I moved in with her to Mathur house… par pata nahin kyun achanak Maya ko koi interest hi nahin tha apne papa me….baad mein uski asli wajah pata chali...
Jaise hi hum move in huye…she picked up her social life after a week and neglected uncle totally…uncle ke doctors baar baar mujhe phone karte…main apna kaam chodkar unse milne jata…infact when his health worse he was admitted to hospital…I neglected my whole business aur pura waqt uncle ko diya… Maya mera khayaal na rakhti… Meri family ka khayal na rahti to chalta… lekin uncle ko us waqt sab se zyaada apni beti ki zaroorat thi…. Par Maya…jaise usse kisi baat ka koi fark hi nahi pada jaise… she never really paid attention to him so I tried to make up for her…main uncle ke saath humesha raha…
Shadi ke do mahine baad uncle passed away… uske ek mahine baad Uncle ki will padhi rahi gayi…& I was shocked….Uncle apni saari companies…saara business, property jo karz mein doobe the…who mere naam kar gaye…then I realized ki apne aakhri waqt mein uncle itne dukhi kyun the…unhone kyun mujhse yeh waada maanga ki main Maya ka humesha khayal rakhunga …us ka har haal mein saath doon…
I was surprised unka business aisi halat mein hai unhone mujhe pehle kyun nahi bataya… Par will padhne ke baad i had to accept it… without having the chance to say no…😕
Will mein ek shart yeh bhi thi…ki Maya ko is baat ka pata nahi chalega ki Mathur industries ki kya halat hai…Shayad uncle apni beti se sach chupana chahte the…yeh nahi chahte the ki jis high society life ki maya ko adat hai, jis shaan o shaukat se who ab tak rahi hai…uska who bharam toote…. Maya ko sirf itna bataya gaya… ki I was the legal owner of the Mathur properties and could do as I pleased….Maya ko jo will ki copy di gayi usme Mathur industries, properties sabka malik main tha…
Maya blew the house after this… usse laga ki maine uske dad ko fasaya…unhe majboor kiya will par sign karne ke liye …maine ek bimaar insaan ka faida uthaya…kyunki yeh will humari shadi se pehle ban chuki thi…Maya ko yeh bhi laga ki main usse shadi ke liye isi wajah se taiyaar hua…
Karib ek saal baad Mathur uncle ke lawyer ne mujhe will ke ek aur clause mein bataya…dono wills mein likha hai ki agle 5 saal mein agar mere saath kuch bhi hota hai … uski zimmedar Maya hogi… pehle mujhe yeh clause samajh nahi aaya… ki ek pita apni hi beti ke khilaaf aisa kyun likhega… par do mahine baad mujhe sab samajh aaya when my car met with an accident…luckily main bach gaya…mujhe shaq hua Maya par… I confronted her, tried to make her understand par who meri baat sun ne ko bhi taiyaar nahi thi…aur meri majboori yeh hai ki main usse sach bhi nahi bata sakta…
Pallavi—Is Mrs.khanna still mad at u ?
Dev(laughed as if its joke)—aaj ka dekhne ke baad tumhe koi doubt hai?😆😆😆
Pallavi gave a surprised look how he cud laugh abt something so serious
Pallavi—par aapne unhe samjhane ki koshish nahi ki…I mean…ek pati hone ke naate aap…
Dev (interrupted)—bahut koshish ki…jitne bhi tarike aate the sab use kiye…infact Badi maa se bhi baat ki…unhone bhi jo kuch kaha who sab kiye…Maya ko pyaar se samjhaya.. . God knows I tried….usse baat karne ki koshish ki…usse bahar vacation par lekar gaya… took her out for dinners…usse har tarah se attention diya…tried everything…lekin woh nahin maani….uske dimaag mein yeh baith gaya ki maine usse uska haq cheena…uncle se wade ki wajah se usse yeh nahi bata paya ki uncle mere naam koi property nahi balki apne karz chodkar gaye hai… Jaise taise karke maine us company ko apni pooraani jagah pe laakar khara kar di…Maya mujhse nafrat kare for once I can handle it…par maya ne massi.,kabir, Rj unsab ka ghar mein jeena mushkil kardiya… itna majboor kiya ki Massi wapis Chandigarh jana chahti thi but I convinced her to stay back…mujhe taklif pahuchane ke liye Maya ne Kabir aur prachi ki married life kharab karne ki koshish ki.. . finally maine Massi ko khanna house mein rehne diya & I moved out to Mathur house
Palavi felt tears welling up in her eyes…😭 she had heard parts of Massi version also how Dev used to stay with them earlier…how much she misses it…she had seen Massi yearning for Dev… The problems that Maya caused were visible when she came in Mumbai and met the family and now she finally understood why everytime she tried asking any1 abt Maya they all had a same look of hatred…. Pallavi still had a lot of questions in her mind, but too scared to ask them she kept quiet….
As if reading her thots…
Dev—tum yahi soch rahi ho na ki itna sab hone ke bawjood why I didn't go for divorce?😕 (Pallavi nodded her head, and he gave a faint smile) I didn't believed in divorcees Pallavi, mujhe nahi lagta ek kagaz ke tudke par sign karne se do logo mein rishta toot jata hai…shadi ka rishta itna kamzor nahi hota…aur maine humesha kamyaab shadiyon ko dekha hai…chahe who mom-dad ki ho, badi maa-baba ki…even kabir & prachi for that matter…Shadi ek aisa rishta hote hai jaha do log ek dusre ka saath dete hai…aur maine bhi shadi isi liye ki thi…mujhe laga tha mom dad ke jane ke baad finally mere zindagi mein koi aisa hoga jo sirf mere liye hoga…jise meri importance hogi…jisse mere hone na hone se fark padega…(smiled) afsos, meri soch meri apni patni ne hi galat sabit kardi…😔phir bhi maine usse har mauka diya, uski har galti maaf ki…par ek hadh ke baad I decided its enough…
Lawyers ke saath baat bhi hogayi…even papers bhi ready the…par (sighed) uncle once again messed it up…ek baar phir fasa gaye mujhe unhe pata tha ki main unki company wapis ussi maqaam pe le aaunga…isliye he had a clause, agar main ya maya shadi ke 6 saal tak divorcee file karte hain… toh jitney bhi assets honge who ek charity mein chale jayenge…Maya ne chahe mere saath kuch bhi kiya ho…par main yeh nahi dekh sakta tha ki meri wajah se uska haq charity mein chala jaye usse ek aur mauka mile mujhpar ilzaam lagane ka…I paused the divorcee at that time… I made myself understand sirf 6 saal ki baat hai, 6saal poore hote hi I can transfer everything in Maya's name & file for divorcee… (with a deep sigh) I'm surprised…sab kuch itne waqt se apne andar rakh saka…as a wife Maya kaisi bhi ho, patni se pehle who meri dost thi…aur main nahi chahta ki meri wajah se usse koi dukh pahunche…already she thinks wrong of me…main uske liye kuch kar pau toh shayad uska gussa thoda kam hojaye… & I am thankful I could keep all of this a secret from the media too…bahut kum log jante hai ki I own Mathur industries…. Mai nahin chaahta tha ki log jaan jaaye ki uncle ne apni beti be bharosa nahin kiya….Uncle ne mere liye itna kuch kiya …isliye unki beti ke liye main thoda toh bardasht kar sakta hoon…
Pallavi—par, phir bhi …aap unse pyaar toh karte honge…ab nahi par pehle…aur mrs.khanna bhi
Dev(smiled)—pyaar, shadi se pehle tak hum dost the…aur shadi ke baad dushman…pyaar ke liye mauka hi nahi mila…I admit…jab uncle ne shadi ki baat kit hi…toh like every1 else maine bhi shadi ke liye sapne dekhe the…I was as excited & happy like any other groom… par sapne kabhi sach nahi hote…sapno ki alag hi duniya hoti hai… Aur maya se kabhi poocha nahi who mujhse pyaar karti bhi hai ya nahi…Par zyadatar log yeh jante the ki Maya aur main bachpan ke dost hai …isliye sabko lagta hai ki humari love marriage hai…childhood romance turned wedding…
Pallavi—aapke saath sab kuch hua aapne kisi ko bataya kyun nahi… I mean massi kabir, Rj they wud have helped u…unhe bata dete toh…
Dev (shrugged)—kya batata…unki apni ek alag duniya hai…who usme khush hai… apne dukh batakar main unhe dukhi nahi karna chahta tha…already unhe thoda bahut idea hai…massi usi mein pareshan ho jati hai…(sighed) ab tak main unke saamne strong raha hoon…have taken care of them after Dad…in simple words, main unko pareshan nahi karna chahta…already Maya ke behavior se bahut kuch sun chuke hai…
Pallavi—par phir bhi…zarori nahi hai ki saari pareshaniyan, problems hum khud solve kare…I agree Mom ne aapko strong banne ke liye kaha tha (smiled) par iska matlab yeh nahi tha ki aap apne dukh, problems kisi se share na kare …Its not crime to share our problems…agar humara parivaar humare saath ho…toh mushkile asaan hojati hai…har baar halaat se hum akele nahi lad sakte …sometimes we need support also…
Dev(smiled)—yeh baat tumhe bhi keh sakta hoon…jab tum sab samajhti ho…toh yaha akele is apartment mein kyun rehti ho…tumne khud kaha tumhe akelepan se darr lagta hai…u can always move back to khanna house…
Pallavi—ofcourse I can Mr.Khanna, infact I wud love too…aur mujhe yeh bhi pata waha par sab mujhse utna hi pyaar karenge jitna pehle karte the… par samaaj ke kuch niyam jo hume nibhane padte hai… aur Mr.Khanna mujhe yaha akele rehne se darr nahi lagta…(after a pause) apni zindagi ke akelepan se darr lagta hai…kya pata puri zindagi bina kisi dost, bina kisi sahare (in almost a whisper) bina pyaar ke guzarni pade… (she changed the topic) anyways, aapko kabhi pyaar hua?
Dev(instead of answering)—tumhe hua?
Pallavi—not fair Mr.khanna sawaal maine poocha tha…
Dev—haan hua…& tumhe(Pallavi nodded in yes…as she did…Dev, didn't had the heart to ask who the person is…he feared he will not be able to hear who she loves…he dreaded the thot of her loving someone else) phir kya hua…
Pallavi(smiled)—nothing much…duniya ke niyam saamne aagaye (giggled) aur aapke saath
Dev (smiled back) --same here, by the way…tumhari koi condition nahi thi…tumhara raaz kisi ko na batane ki…par meri hai u have to keep this only to urself…(Pallavi nodded in yes…Dev relaxed back stretched a little as he felt sleepy)
Pallavi—in dat case aapko promise karna padega ki aapko jab bhi kuch share karna hoga aap mujhse karenge…
Dev (in a sleepy voice)—Fine…& same rule goes for u…my secret sharer…will always be there for u…
Pallavi—me too…
Before they knew it… both of them dozed of in the living room on the sofa's….🥱🥱
***********
Hope part was OK...
for those who didn't got PM for completion of my other FF can check here
keep Smiling 😊😃
55