''maa !!'' he hugs her mother happily.
''aap...yahan...matlab...huh...matlab...btaya bhi nai...aur...'', he is so happy that tears dwell in his eyes.
''ab yahan khade khade humara interview lete rahoge ya andar ane ko bhi kahoge'', his mother smiled.
''kya maa. Aao''
They sit on the sofa and Shiv starts happily still looking at his mother surprised,'' apne bataya bhi nai, atleast mai lene aa jata. Apko pareshani hui hogi ye village dhundne me''.
''Nai koi pareshani nai hui, araam se phnch gaye. Beech me mandir bhi hote aye hum aur wahan hume...'', she stops and thinks ki aate hi kisi ladki ke bare me baat krna theek nai rahega, is baar kuch bhi ho jaye shiv ko shaadi ke liye raazi karna hi hai to hume thoda patience se kaam lena padega. Aur vaise bhi hume to us ladki ka naam bhi nahi pata. Pata nahi yahan ki hai bhi ya nai.
''Maa ? Kya hua ?'', shiv asks.
''Kuch nai beta. Shiv, tumhe yahan koi dikkat to nai hoti naa ? I mean, ye ek chota sa village hai, aur yahan jyada facilities bhi nai hongi.''
''Nai maa, yahan ke log bht hi acche hain. Sab mera bht khayal rakhte hain aur sabse jyada to dadi saa. Vo to mujhe bht pyaar krti hain. Aapko pata hai, mere janmdin par unhone apne yahan ek surprise party bhi rakhwai thi. Mujhe to believe hi nahi ho raha tha ki itna sab kuch mere liye ho raha hai''.
''Dadi sa ? ''
''Dadi saa...Anan...mera matlab hai...yahan bht saalon se reh rahi hai unki family. Sab log bht mante hain unhe. Meri hi nai, is poore jaitsar ki dadi sa hain vo'', shiv manages to speak. He thinks that maa ko abhi Anandi ke baare me abhi nai batana chahiye. Pata nai kaise react karengi. Aur abhi to mujhe Anandi se bhi baat karni hai.
''Oh..to hume kab milwa rahe ho apni Dadi sa se''
''kya...nahi ! ...mera matlab hai aap itni door se travel kar ke aayi hain and i am sure ki aap thak gayi hongi. Aap pehle araam kejiye...chaliye''.
''Kya collector ji ko aaj office nahi jaana ?'' his mother teases him.
''Jaana to hai maa but you dont worry aap araam karna mai itne sara kaam khatam karke jaldi ghar aa jaunga''.
Next scene in the office -
Shiv is thinking whether to call Anandi or not. Atlast h decides to call her. Anandi is in the school checking copies of the girls when her phone rang. She is not surprised cos she knew that he'll call but she was embarassed.
''hello ?''
''hello...anandi ji...kaisi hain aap ?''
''ji...theek hun...kuch kaam tha kya ? Mai abhi school me hun''
''ji...kaam to tha...''
''kahiye''
''anandi ji...mujhe dadi sa ne bataya..jo kuch aapki maa ne aapse kaha...
''...''
''dekhiye...mai aapse keval yahi kehna chahta tha ki aapko kisi ke bhi dabaav me aane ki zarurat nai hai. Mai nai chahta ki aap kisi dabaav me shaadi jaisa important decision lein. Ye aapki life hai, kisi ke saath poori zindagi rehne ka decision keval aapka hona chahiye. Mai samajh sakta hun ki aapne life me bht kuch saha hai, bht mushkil hoga aapke liye isliye aap please soch samajh ke hi koi decision lejiyega. Maine aapse kaha tha ki agar mai kisi tarah se aapko vo khushiyan de sakun jinko aap deserve krti hain toh aap mujhe bataengi''
''...''
''Aapko kisi ke bh pressure me aane ki zarurat nai hai. Jaanta hun...apne apni maa ko vachan diya tha ki aap mujhse shaadi zarur karengi par kab karengi is bare me to koi baat nai hui thi naa. Aapko jitne samay ki zarurat hai aap le sakti hain. Shaadi ka bandhan bht hi naazuk hota hai Anandi ji. Ye pyaar aur bharose pe tika hota hai aur meri nazar me pyaar koi physical attraction nai hai, balki ek pooja hai, jise poore man ke saath krna chahiye.''
Here, Anandi remembers that these are the same words which she said to Ashi and she is touched. Shiv continues...
''Agar aap mujhse shaadi ke liye keval isliye haan kar rai hain kyunki ye aapki maa ki aakhiri iccha thi toh ye shaadi nai hogi, ek compromise hoga and mai nai chahta ki aap ab aur compromise karein. Aapko jitne samay ki zarurat hai, lejiye, kyunki mai chahta hun ki aap apni marzee se mujh se shaadi karein. Aap samajh rahin hai naa Anandi ji ?''
''ji''
''Mai aapke, khud ki khushi se haan karne ka intezaar karunga. Bi. Apna khayal rakhiyega''.
Anandi is very touched with whatever Shiv said. She thinks for a while then looks at her mother's pic, holds it and sleeps.