CHAPTER-6-spies and revenge in the game.
next day...in morning.
chitra entered dhanu's room.
chitra-maharaja.
dhanu face lightened😃-are chitra tum yahan,kaise,koi samasya??
chitra-haa maharaj samasya to hain,hum yahan aaye hain par kahin ghumne nahin gaye,kya hum kahin ghumne jaa sakte hain??
dhanu-jj.jao...awashya jao.
chitra-oh to phir theek hain hum abhe...
dhanu-kintu tum hamare saath jaoge.
chitra-huh,par hum to soch rahe the ke hum aur durdhara striyon ke snaanagar jayenge,aap wahan aakar kya karenge??😕
dhanu-snanangar ke baad hum aur tum kahe dur ghumne jayenge.
chitra-maharaj,hamein sirf snanagar par jaana hain,phir hum laut ayenge.darasal ham durdhara ke liye chintit hain.
dhanu-durdhara ke liye chintit??
chitra-haa maharaj,bechare pure din bas rote rehte hain,agar wo hamare saath snanagar jayege to uska man behel jayega aur raaste mein hum use samzha bhe denge ke wo chandragupta ko bhool jaye.are uska kya astitva hain aapke saamne,aap kahan magadha ke raaja aur kahan wo chote se gandhara ka mukhiya,koi mel he nahin.
dhanu-dha dha tigra dha tigra dhe,hum tumse bahut prasanna hain chitra,bahut prasanna,jao,jahan jaana hain jao,hamare sainik bhe tumhare saath jayenge kintu ratri se pehle waapas aa jaana,wo hamein tumse kuch vartalaap karna hain.
chitra thinking-huh vartalaap,mera bas chale to tere jiwah ke hazaro tukde kar dun.
chitra-ah jee maharaja...and she left.she straight went to dhuru's room.
chitra-karya ho gaya durdhara.
dhuru-ah chalo chalte hain kintu sainik.
chitra-hamne kaha na sab kuch hampar chod do.tum sirf chandragupta se milne ke swapn dekho.and they both left for the temple.
rashi entered chandu's room,he was studying something,she came at his ears and screamed-kya kar rahe ho??
chandu got shocked...
chandu-are...aapne to muzhe dara he diya.
rashi-are waah,veer chandragupta maurya ko bhay bhe lagta hain.
chandu-ah apke aane ka prayojan,koi karya hain muzhse.
rashi-are haan,chaliye baithiye..
chandu-kahiye..
rashi-hum chahte ke aap hamein gandhara ghumayen.
chandu-ah jee mein??
chandu-nahin aapka bhoot,are aap he to,dekhiye aap waise bhe apne praja ka nirikshan karne to jaate he hain na to hamein bhe saath le chaliye.dekhiye ham yahan mehel mein thak jayenge baithe baithe.kripa karke hamein le chaliye.
chandu-accha theek hain,chaliyega kintu acharya.
rashi-are...hum koi paraye hain kya,hamein to aisa lag raha hain ke aap hamein kahin ka dut samazh rahe hain.
chandu-are nahin nahin,aisa kuch nahin hain,awashya chaliye aap.
rashi-ah acharya bhe hamare saath honge na??
chandu-nahin wo bhadrabhat ke saath kahin gaye hain.
rashi thinking-ah ye accha hua,ab chandragupta se ho sakta hain kuch mahatvapoorna suchna mil jaaye.
Edited by lucykaede - 13 years ago