poshah thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#1

My first OS

(I have written the narrative in english, but the dialogues are in hindi only- cant imagine kunal siddhi talking in english !)

Part 1- Siddhi's confession - page 1
Part 4- Kunal's confession - page 3
(yes i havent written part 2 and 3 yet..was keen to jump the gun)
The last six months have just zipped by.

Kunal won the case against Richa (he himself had faught the case and won it, obviously with Siddhi;s help). The time just zipped by with both of them engrossed in fighting the case and they didnt realise that the 6 months given by the court were almost about to end.

Tomorrow is the 10th of March, when the six months end. Tonight seemed to be a long night for Kunal and Siddhi, both were not able to sleep, neither of them had been able to profess their love to the other and had left their relation in the hands of destiny, destiny had got them together and if destiny willed they will be together.

It was early morning, the alarm rang and Kunal thought like other days, Siddhi would swicth it off, but even after five rings when the alarm didnt go off, he called fr Siddhi,
siddhi, alarm band karo na, siddhi.
he called out for here a couple of times, but he got no response..he looked for her around the room, but she was no where to be seen.
the alarm had stopped by then.
But Kunal got thinking, where is Siddhi. He knew that today was the day when the court would give the decision on their divorce case and they had to reach the court by noon.
He went through the morning motions, and was ready by 10, he called out to Seema,
Seema, Siddhi kahan hai?
Kunal bhaiya, subah hi uske bhaiya ka phone aaya tha aur Siddhi wahi chali gayee hai. Usne aapko nahi bataya?
Kunal ne kuch nahi kahan.

He left the house without taking breakfast, Seema mujhe kuch zaroori kaam hai, main nashta nahi kar paonga and he left.

He knew that to get the divorce, both husband and wife should be present in the court, else it is difficult to get the divorce(sorry folks i am making this up for my OS)
So he went to Kapil's house..
Seeing him, Shilpa had a surprise look and asked Jiju, aap akele? Siddhi kahan hai?
Siddhi- kunal was surprised too. So it looks like Siddhi isnt here also, then where has she gone?

He said, arre shilpa, main yaha se guzar raha tha, socha tum se mil loon
Just then Kapil also came home, and said, arre aap, aiye na.

Siddhi aaj subah subah aye thi kuch bol rahe thi, aaj koi zaroori case hai uska isliye aapka ashirwaad lena tha.
Aap jante hai kaun sa case hai?
Nahi, main nahi janta.

Aiye andar aiye na..nashta kijiye hamare saath
Kunal wasnt interested in the formalities, and said, Kapilji, mujhe kahi jana hai fir kabhi nashta kar lunga.
He was about to go when Kapil stopped him,
Siddhi yeh ek envelope aapke naam chod gayee thi- bol rahee thi ki main shaam ko aapko de doon.

Kunal ne envelope liya aur court ke taraf chal pada.
Woh yahi soch raha tha ki Siddhi aakir jaa kahan sakti hai, yahan par bhi nahi hai, to gai kahan.
Usne ghadi dekhi, to laga ki abhi waqt hai, anayas hi uske kadam mandir ki taraf badh chale, shayad apne divorce ke liye prarthna karna chahta tha.
Mandir ki sidhiyon par baithe baithe uski nazar siddhi ke envlope par gayee, usme divorce papers the aur ek khat bhi tha

Pehle to usne socha envelope band kar de, magar fir na jane kyon usne woh khat khola, dekha to siddhi ne likha tha.


Usne khol kar padhna shuru kiya.

aapko yaad hai, raveena ki mehndi ke din, kaise meri saari ka dhaga aapki shirt mein atak gaya tha.
Bus usi din se shayad maine aapke piche chalna sikh liya tha, jis disha mein aap le gaye, usi disha mein main chalti rahi, shayad uska alam yeh hai ki hum aaj divorce lene ke kagar par hai

jahan rishta na ho, waha dikhawa karna aasan hai
magar aap jisse pyar kare, woh aapke pass hote hue bhi door ho, aapke pass ho magar aap use choon na sake,
aapne sahi kahan, hume divorce hi le lena chahiye

haan maine kabhi anand se, aapke chote bhai se pyar kiya tha, magar shaadi to maine aap se kari thi.

Woh anand nahi tha jisne mujhe hamesha bachaya tha, aur na hi woh anand tha jo mere aanso nahi dekh sakta tha.
woh aap the jisne har mushkil mein mera saath diya, mera hi nahi, mere pariwar ka khayal rakha
jisne mujh par bharosa kiya
jo mere chehre par ayee pareshani ki lakiron ko padh liya karta hai
jiski baatein kabhi to mujhe rula deti aur kabhi hansa deti
jiske saath maine fir se jeena sikh liya

mana mujhe is ghar se joda anand ke pyar ne tha magar bandhe rakhe aapke saath ne
mana yeh rishta samjhote par rakha tha, magar nibhaya man se tha
mana aankhon mein kabhi anand ke sapne the, magar aankhon ne har jagah aapko hi talasha tha
mana man mein anand ki yaadein thi, magar nayee yaadon ne ab uski jagah le li hai
Mana, hamari shadi ke pehle maine anand se bahut pyar kiya tha, aur shayad yeh socha bhi nahi tha ki main kabhi kisi aur ko pyaar kar sakongi, anand se bhi jyada.
Anand ke saath maine zindagi bitane ka wada kiya tha, magar woh zindagi maine aapke saath gujari hai
uske saath kai sapne dekhe tha, magar un sapno ko aapke saath jiya hai
anand ke saath ki kalpana khwabon mein ki thi, magar woh kalpana aapke saath haqeeqat bani hai
anand ke saath kai khushi ke pal bitaye the, magar mere dukh mein aapka saath tha
anand ke bina to main jina sikh liya hai, magar apke bina ?
anand ko ek baar khokar fir pyaar karna to sikh liya, magar aapko kho kar shayad jina bhi bhul jaaon


aapke saath ek zindagi bitane ka khayal tha, magar aapne to kuch palon mein saath chod diya
aankho ne naye khwab dekhe the, magar aapne to achanak khwab se jaga diya
man ne naye ehsaas ko mehsoos kiya tha, magar apne ek dard de diya hai

sirf kehne se pyar nahi hota
saath dene mein hota hai
roothne mein, manane mein hota hai
intezaar karne mein
naarazgi mein
kisi aur ki khushi mein
kisi aur ka dard kam karne mein

yahi baat kai baar aapse kehne ki koshish kari
kabhi zubaan ne saath nahi diya, to kabhi dil ne
kabhi waqt sahi na tha to kabhi mauka
kabhi shayad aap sunna nahi chahte the
aur kabhi shayad main keh nahi payee
kabhi shayad aap manne ko tayar nahi the
aur kabhi dil mein yeh dar ki aapne agar ise sach nahi mana
aur kabhi yeh dar ki shayad aapne mujhe apnaya nahi to
kabhi man ne chaha ki meri is unkahi baat ko aap bina kahe samjhe le
mere is jazbaat ko aap bhi mehsoos kar sake

magar shayad ab in baaton ka koi fayda nahi--end of letter

(guys, i dont mean for them to divorce, if i can i will continue..this is a happy ending only..the main objective here was Siddhi's confession, anycase I cant write sad ones 😉)

Edited by poshah - 13 years ago

Created

Last reply

Replies

51

Views

9.8k

Users

24

Likes

201

Frequent Posters

GuardianDevil thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 7
Posted: 13 years ago
#2
A single word for ur OS is just WoW...

Its awesome yaar...the lines are so perfect...👍🏼 Do come up wid next one soon..
chitsss thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 13 years ago
#3
its too good!!!!! i really wish this happens... i mean whatever you wrote is exactly what we all want kunal to hear from siddhi... i seriously hope the CV's read this and use it also ... 😊
Phenyl thumbnail
Posted: 13 years ago
#4
Oh my god.ur os was just so goood.u must be a writer.i bcame a bit emotional aftr reading it.its that goood.
shilpa_maity thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 13 years ago
#5
wow awesome yaar,,,,,,,,,,,,,,,,,,kaha khatam kar diya,,,,,plz yaar cntnu
Fariyal thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 13 years ago
#6
😭😭 Incredibly touching. You made me cry! Loved it.
pinkeye thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#7
beautifully written 👏. hopefully we will get to see this kind beautiful scene in actual serial.
Edited by pinkeye - 13 years ago
poshah thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#8

Originally posted by: --nIdHi--

A single word for ur OS is just WoW...


Its awesome yaar...the lines are so perfect...👍🏼 Do come up wid next one soon..

thanks nidhi, glad you liked it !! I will try to write the 2nd and concluding part..but next week only not before that.
tanyashrivastav thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 13 years ago
#9
hey pooja...lovely OS dear .. , i was almost on the verge of crying after reading it .. ssuch a heart touching and beautiful OS it is ..i really pray cvs take some idea from here nd show siddhi confessing her love this way...cant wait to read the next part ...like you even i like only happy endings ...esecilly for sinal..do continue soon..
-Nags- thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#10
wow... heart touching OS dear

do pm me when u updated it

do continue soon

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".