Bakra khareeda shaan se
Khaa gaya hum ko jaan se
Aao mil ker baithain yaar
Chukaaen bakery ka udhaar
Paisay merey saaray muk gaye
Check merey saaray ruk gaye
Late payment hi bari di bankon ko
Bandh key mujhe laga do aagay tankon ko
Credit card bheron k loan ki rakam
Bakray ne hona ae hun ki hazam (that was Punjabi = bakray ne ab kya hazam hona ha)
Aadhi tankhwa chuttion main kut gayi
Baki biwi aur bankon main bant gayi
Boss! Iss tangdasti main guzaara karwa dijye
Meri tankhwa satrah se atthaara karwadijye
Mujhe chahiye laatri ki tkten ab
Maaro mere sir pe wickten ab
Ghar ka kiraya bhi main ne chukana hai
Makan malik kon sa mera nana hai
Bachon ki fees bhar ke kya rota hai
Her perha likha hi aaj rota hai
Bachey ko police main bharti karwaata hun
Nahi to siyaasatdaan hi banaata hun
Cricket khel k bhi waisey kama sakta hai
Magar her koi shartain kahan laga sakta hai
Bachey ko mobile choron ke camp main chor aatey hain
Daaku aajkal zyaada kamaatey hain
Minimum payment ker k samjha main khatra tal gaya
Kitchen se biwi boli "suniye bakra jal gaya"
Charhay hain tewar, akri is ski ton hai
Bakra poochta hai Faisal' "bol bakra kon hai…?"
9