Gulaal Roi,Dhoi aur Soi

SlingShooter thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#1
Summary:
Wah re Kesar kaisa gandh tu ne pehlaya hai
Teri immaturity ne kya rang dikhlaya hai
Gulaal ki itnay saalon ki qurbani ko
Tu ne ek lamhe mein mitti mein malaya hai
Teri iss harkat ne Motabha ka dil thoda hai
Teri wajah se unhone ne Gulaal se munh modha hai
Kya ho jata agar tu chup reh jata
Dushyant ka thapad hi to tha, seh jata
Raman ki baaton mein tu aata gaya
Woh tujhe Dushyant ke khilaf bhadkata gaya
Tere paas aqal na sahi aankhen toh theen
Tu kamazkam Raman ki chaalon ko dekh laita
Tujhe fursaat na milli Gulaal ki chaaploosi se
Tu kissi aur taraf kya apna dhyaan daita
Ab tu ne hi Gulaal ko di hai takleef
Ab sochta hai kaise doon uss ko relief
Ab apni ghalti ko mann lenay se kya hoga
Tu ne ye trait nai paanba se liya hoga

Gulaal ooper kamre mein:
Gulaal bechari pehlay se hi ro rahi thi
Itni sari baaton mein woh kho rahi thi
Filmon mein pati marta hai toh aurat sakte mein aa jati hai
Aur uss ki rishtadar "tu vidwah ho gaye hai' keh keh rulati hai
Gulaal apni ghaltion ko mann kar halkan ho rahi thi
Kya kare ke apni in ghaltion ko dho ley
Kesar cheekha auratoon ki tarah "Gulaal! Gulaal!"
Mutt rok apne aap ko, thod de dukhon ka bhaad, ro ley
Pehlay 2 jhatke khaye phir woh start hui
Phir Gulaal ne munh khol kar jo rona shru kiya
Beech beech mein ghar ki baat karti gayee
Duniya ke ujadhne ka bhi message thru kiya
Kesar bechara uss ki awaz mein awaz mila ke rota raha
Woh high notes mein ro rahi thee yeh low notes mein rota raha
Gulaal kabhi sar utha ke royee to kabhi sar jhuka ke royee
Beech mein hee hee bhi kiya, magar khoob tikka ke royee
Rotay rotay jab Kesar ne Gulaal ko apne seenay se lagaya
Camera ne close up mein Gulaal ki ankhon ke crow's feet ko bhi dikhaya

Revji Bhai ka ghar:
Revji bhai ke ghar ka scene aisay hi daal diya
Sirf Reva ne hi toh MotaBha ke yahan ana tha
Woh toh shukar hai PoonamBa nahin thi wahan
Warna uss ne bhi humarey kaano ko khana tha

Kunaal's House:
Phir Kunaal ne ghar pohonch ke jo phol phaal ki
Uss ke mata aur pita bhi heran reh gaye
Dhej ki rasm purani hai, hum ne kya ajab kiya
Tujh par itna kya hai kharcha, rawani mein keh gaye
Tere 5 lakh hi toh liye hain, humey toh 20 lakh miltey thay
Teri khatir discount diya, warna itney paisay khaltey thay
Kunaal afsos se bola ke aap ne mujhay baich diya
Ab mein aapka na raha, aap ne jo kaam kiya
Aap ne iss qaabil banaya hai ke aap ko bhi paal sakta hoon
Aap ko nahin mujh pe yaqeen to phir mein yahan se chalta hoon
Maa ji boli paise bank mein hain tum ley laina
Jis ko denay hongay ja ke dey daina
Ye sunn kar Kunaal ghar se bahir nikaal jata hai
Shukar hai Kunaal ko Kesar ki tarha ghussa nahin aata hai

MotaBha PaanBha playing dark room:
MotaBha aur nai PaanBa kamrey main baithen hain
Batti buji hui hai aur dono palang ke konay mein
Kamrey mein andhera hai, energy saving ho rahi thi shayad
MotaBha gham mein doobey, paanBa lagi hain ronay mein
Budhi umar mein un dono ka dil kahan tikta hai
PaanBa ka chehra, jaisay scary movie ka mask dikhta hai
Unn ke munh par shades dekh kar darr lagta hai
Issi liye Motabha bhi unn se dur dur rehtay hain
Ek toh kamrey mein andhera kar rakha hai
Ooper se palang ke doosray konay mein baithay hain
Reva khana le kar iss liye aati hai
Maa ko dekh kar ro ley, phir chali jati hai

Back to Gulaal's room:
Gulaal palang par rotay rotay so gayee thi
Ab woh bhi shayad kesar se bore ho gayee thi
Kesar ne rewind kar ke apne FBs chalaye hain
Ab pachtata hai ke kiya gul khilaye hain
Kyun na uss waqt daanton mein zubaan ko duba liya
Ya kahin se koi baday se saanp se khud ko sunghwa liya
Ab aisay toh ghar ke halaat na hotay
Kesar bechara jagta rahey baaqi sab sotay
Har waqt tyaar rehta hai iss kamal se
Jahan soi gulaal, uspar chaadar daal de

Phir apni baithi awaz mein pachtata hai
Mujhay maaf kar de Gulaal keh ke sar hilata hai
Tu theek kehti thi Gulaal mera gussa meri naadaanian
Agar uss waqt gussaey mein na beh gaye hotay
Agar mein woh sab na kehta, aur chup rehta
Toh abhi iss show ke aur 100 episode reh gaye hotay
Phir soi hui Gulaal se wadah karta hai
Mein har qadam pe tera saath nibhaoon ga
Roz roz mein hi tujhey doon ga chot
Phir uss par marham pati mein hi lagaon ga
Gulaal ghode gadhe baich kar soi hui thi
Itni jaldi kahan uththi, itna roi hui thi

PreCap:
Nai PaanBa ne phir beedha uthaya hai
Kaise Gulaal ko zaleel karey
DV tootne tuk, na miley ga bahu ka pyar, adhekar
Saru Fai khadi thi pass, thoda feel kare
Edited by SlingShooter - 14 years ago

Created

Last reply

Replies

26

Views

4.5k

Users

8

Likes

26

Frequent Posters

Bioinfo_Chaitu thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 14 years ago
#2
wah wah tumne to gulaal ki situation ko kya acche se poem mein samjhaya hai👏
gulaal ne kesar ke seene par sar rakh kar aapna gham bhulaya hai😭
ab gulaal ke saath PB ka rappo hate terms par aaya hai🤢
gussa nahi hai kissi baat ka hal ye kesar ko samajh mein aaya hai😃
SlingShooter thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#3

Originally posted by: bioinfo

wah wah tumne to gulaal ki situation ko kya acche se poem mein samjhaya hai👏

gulaal ne kesar ke seene par sar rakh kar aapna gham bhulaya hai😭
ab gulaal ke saath PB ka rappo hate terms par aaya hai🤢
gussa nahi hai kissi baat ka hal ye kesar ko samajh mein aaya hai😃
Shayad meri shaadi ka khyaal, dil mein aaya hai
Issi liye mummy ne meri tumhein chaye be bulaya hai. 😳

Shukriya.. adaab 😊

pritirays thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Fascinator 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#4
These are my fav. lines! 😆

Originally posted by: SlingShooter



Summary:
Wah re Kesar kaisa gandh tu ne pehlaya hai
Teri immaturity ne kya rang dikhlaya hai

Kesar says - Apni koi galti nahin hai mai baap!
Director ne jo bola wo karta gaya main chup chap!
😆



Kya ho jata agar tu chup reh jata
Dushyant ka thapad hi to tha, seh jata
I mean seriously? Wo hathode jaisa haanth pada tha, to bhi chup reh jaata! 🤣

Tujhe fursaat na milli Gulaal ki chaaploosi se
Tu kissi aur taraf kya apna dhyaan daita
Iska dimaag bas 'Gulaal' direction main hi daudta hai! 😆

Ab tu ne hi Gulaal ko di hai takleef
Ab sochta hai kaise doon uss ko relief
'MOVE pain relief' laga do! 🤣


Rotay rotay jab Kesar ne Gulaal ko apne seenay se lagaya
Camera ne close up mein Gulaal ki ankhon ke crow's feet ko bhi dikhaya
what is this? 😆



Woh toh shukar hai PoonamBa nahin thi wahan
Warna uss ne bhi humarey kaano ko khana tha
you too feel that! Poonamba's acting irritates me as well! 😆


Kunaal afsos se bola ke aap ne mujhay baich diya
Ab mein aapka na raha, aap ne jo kaam kiya
Aap ne iss qaabil banaya hai ke aap ko bhi paal sakta hoon
Aap ko nahin mujh pe yaqeen to phir mein yahan se chalta hoon
Loved those lines said by Kunal 👏 👏 👏 (well not int his rhyming way though! 😆)


Ye sunn kar Kunaal ghar se bahir nikaal jata hai
Shukar hai Kunaal ko Kesar ki tarha ghussa nahin aata hai
🤣 varna kya hoota? 😆



Budhi umar mein un dono ka dil kahan tikta hai
PaanBa ka chehra, jaisay scary movie ka mask dikhta hai
@ RED: 🤣 🤣 🤣 🤣 Best so far!

Unn ke munh par shades dekh kar darr lagta hai
Issi liye Motabha bhi unn se dur dur rehtay hain
Ek toh kamrey mein andhera kar rakha hai
Ooper se palang ke doosray konay mein baithay hain
😆 😆 😆
😆


Gulaal palang par rotay rotay so gayee thi
Ab woh bhi shayad kesar se bore ho gayee thi
What!!! 🤣


Ab aisay toh ghar ke halaat na hotay
Kesar bechara jagta rahey baaqi sab sotay
Har waqt tyaar rehta hai iss kamal se
Jahan soi gulaal, uspar chaadar daal de
true true! 😆 Isliye Gulaal kabhi khudse blanker nahin udhti! 😆


Tu theek kehti thi Gulaal mera gussa meri naadaanian
Agar uss waqt gussaey mein na beh gaye hotay
Agar mein woh sab na kehta, aur chup rehta
Toh abhi iss show ke aur 100 episode reh gaye hotay
😕 kaash ye sach hoota! 😭

Phir soi hui Gulaal se wadah karta hai
Mein har qadam pe tera saath nibhaoon ga
Roz roz mein hi tujhey doon ga chot
Phir uss par marham pati mein hi lagaon ga
"thats an oops... I did it again" kinda statement! 😆

Edited by pritirays - 14 years ago
Swarley thumbnail
Visit Streak 30 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#5
Slingshooter ji kya kehne aapke, le aaye phir kavita nayi
Kavita mein likh daale aapne episode ke minute details kai
Roti Gulaal ke crow feet par diya tha humne bhi dhyaan
Zikr kar diya kavita mein iska, aap hain shayar mahan.

Gulaal ne acting ki do cheezen ki master,
How to move your hands while shaking your head faster.
Uski phati aakhen taktaki mein aisi thi jami,
Mahishasur ka vadh kar deti, bas trishool ki thi kami.

(for your reference:
http://www.westbengaltourism.gov.in/application/Img_Maint/uploads/6/Durga_10.jpg

and

http://i893.photobucket.com/albums/ac135/AbeerLeher/album2/MozillaFirefox300244815-21-06.jpg )

Kesar ki bhi samajh na aaya kaise kare woh emote,
Phenke pane haath pair ya kapkapaye apne honth.
OMG kya karoon main, Gulaal ko kaise behlaoon,
Kandhe pakad ke jhinjhodoon usko ya gale se lagaoon.

Apne mata pita ka Kesar ko nahin hai zara bhi khayal,
Isliye CVs ne bheja Reva ko karne unki dekh bhaal.
Tambakhu chabati hain PaanBa, baat karte nikalta hai MotaBha ka dum,
Baithe hain andhere mein bhookhe pyaase, baanten apna gham.

Soch vicjar ke Kesar Gulaal se bola, har dukha mein tera main saath doonga,
Pehle phenkoonga nadi mein, phir CPR bhi main hi doonga.
Kis khajoor mein atak gayi hai soch zara O Gullu,
Hit mein tere yahi hai, bacha le is nadaan se apna pallu.

NusiSg thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
#6
Agar mein woh sab na kehta, aur chup rehta
Toh abhi iss show ke aur 100 episode reh gaye hotay

🤣🤣
kamal ki shairi ki hai aap ne...kia baat hai...
or title tou khub hee rakha hai aap ne...
maza aagaya parh kar...😉
minidixit thumbnail
Posted: 14 years ago
#7

Aksar sochte hain kis kis line ki tareef ki jaaye

Saara post hi hota jo hai kamaal apka

Kahin laajawab hota hai koi sawaal to

Kahin hota hai bemisaal khayaal apka…

Yeh thoda zaada filmi ho gya to lets get to the point….

Yeh kuch lines hain jinhe humne superlike kiya

Jaane Govt ne fir LPG ka price kyun hike kiya

(Wah Taj..!!)

Originally posted by: SlingShooter

Kesar cheekha auratoon ki tarah "Gulaal! Gulaal!"

Mutt rok apne aap ko, thod de dukhon ka bhaad, ro ley

Pehlay 2 jhatke khaye phir woh start hui

Phir Gulaal ne munh khol kar jo rona shru kiya

Kesar bechara uss ki awaz mein awaz mila ke rota raha

Woh high notes mein ro rahi thee yeh low notes mein rota raha

Gulaal kabhi sar utha ke royee to kabhi sar jhuka ke royee

Beech mein hee hee bhi kiya, magar khoob tikka ke royee

Rotay rotay jab Kesar ne Gulaal ko apne seenay se lagaya

Camera ne close up mein Gulaal ki ankhon ke crow's feet ko bhi dikhaya

Teri khatir discount diya, warna itney paisay khaltey thay

Har waqt tyaar rehta hai iss kamal se

Jahan soi gulaal, uspar chaadar daal de

DV tootne tuk, na miley ga bahu ka pyar, adhekar

Saru Fai khadi thi pass, thoda feel kare

👍🏼
Katyayani_devi thumbnail
IPL 2024 Participants Thumbnail IPL 2023 Participants Thumbnail + 6
Posted: 14 years ago
#8
👏 wah wah wa kya lika hai aapne shayari ne

kya kya nahi hai aapki shayari mei
dikhya diya ek aur bhar sare epi in poertry mei
acha present kiya indepth of subka characters with sarcism n facts aapka shayari mei
aap uniqueko uniquely present kiya
aap shayari mei slingshooter aur mahan ho. 😊

SlingShooter thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#9

Originally posted by: Reshma.AS

I lOve the way how gulaal cried.. not like other shows female leads.. it s different.. she was superb yesterday...


My description or her acting? ☺️
SlingShooter thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#10

Originally posted by: Savz_uniqueblis

👏 wah wah wa kya lika hai aapne shayari ne

kya kya nahi hai aapki shayari mei
dikhya diya ek aur bhar sare epi in poertry mei
acha present kiya indepth of subka characters with sarcism n facts aapka shayari mei
aap uniqueko uniquely present kiya
aap shayari mei slingshooter aur mahan ho. 😊

Thanks

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".