luminous02 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#1

17th june summary jai jai shree ram

keshri (father of lord hanumanji) ke yaha prabhu ke janmotsaw par khusiya manayi ja rahi hai to wahi doosri or sukra ravan ko keshri ke yaha ho rahe utsaw ke bare me batata hai to ravan keshri par aakraman karke us balak (lord hanumanji) ko khatm karne ki baat kahta hai tab dudubhi(brother of mandodari) ravan ko aisa karne ke liye rokta hai aur ravan ko batata hai ki banro ke kulguru pawandev hai aur unka aashirwad prapt karne ke liye paida hue har bachche ko aasman me uchhala jata hai agar aasman ke upar hi us bachche ko gayab kar diya jaye to kisi ko kuchh bhi pata nahin chalega aur ham us bachche ko khatm kar dege.

keshri bachche ko aashirwad dilane ke liye aasman mein uchhalte hai tabhi sukra baaj ke roop mein aakar bachche ko utha le jayta hai sabhi log chakit rah jate hai aur keshri baaj ko pakadne ke liye apni sena ke sath nikal jate hai yaha ma anjana pawan dev ke samne vilap karti hai aur waha bhole baba aasman mein keshrinandan ko yeh isara karte hai ki us baaj ki gardan marod ke pankh nouch(snetch) le. balak(keshrinandan prabhu) baaj ke pankh nouchna suru kar dete hai aur pankh neeche jamin par aakar girne lagte hai. keshri aur jambant un punkho ko aasman se jamin par dekh kar kisi anhoni ko soch kar dar jate hai.

recap: ravan balak ke mayabi hone ki baat karta hai. sukra apne asli roop me ghayal(injured) awastha mein khada hua hai.

Edited by luminous22 - 14 years ago

Created

Last reply

Replies

2

Views

1.5k

Users

3

Likes

4

Frequent Posters

Cuty16 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#2
Thanks dear for the summary.
dharma22 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 14 years ago
#3
thanks a lot fpr summary
wow i am very happy
thanks luminous cuty girl

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".