1.Chandragupta-"Hume apne virodhi ka bhi samman karna chahiye,hume uska samman isliye karna chahiye kyunki ye bohat bahaduri se lara,..yudh mein bhi ek vijeta hota hai aur ek haar jata hai kintu isse ye sidh nahi hota ki harne vale ne ji jaan se yudh nahi kiye,bahaduri nahi dikhayi,prayas nahi kiya..phir humne ye ladai kisi ko neecha dikhane ke liye nahi ladi..mujhe to matra ek baat sabit karni thi-sapne mehlon ke hi gulaam nahi hote,usse garib basti mein rehne wale bhi dekh sakte hain..aur yadi mann mein lagan ho aur apne guru par shraddha toh unke sapne bhi poore ho sakte hain.."
2.Chanakya-"ek mahaan yodha ki kya pehchaan hoti hai Chandragupta-jo hi vo yudh mein jeete,vijay utsavo mein apna samay gavay bina,agle lakshya ko prapt karne ki yojnaon mein lag jaye'"
3.Chanakya-"neta vo hai jo dal ke har sadasya ko saath le,unki shamtaon ka uchit upyog le aur har parasthiti ka samna karte hue apne lakshya ko prapt kare"
4.Chanakya-"mere is nishchay ka paryay nahi poochoge Chandragupta?"
Chandragupta-"nahi aacharya,aapse prashn poochna to is niyati ke niyamo par prashnchin lagane jaisa hai'aap mere guru hai ,sarvada mere hith ka dhyan hi apke soch par havi rehta hai,..phir mein kaun hota hoon aapse prashn poochne wala..aapka har nirnay mera saubhagya hai!"đ
5.Chanakya-"ye vijay yatra hai,apne mitro ko santusht karne ka koi abhiyaan nahi hai"
6.Chanakya-"mitra banaye nahi jaate,arjit kiye jaate hain..jinhone tumhe apna neta maan liya hai,unke saath chalne mein kya chunauti,..chunauti unhe saath lekar chalne mein hai jo tumhe apna neta hi na maane"
7.Chandragupta"kabhi kabhi hum jitney bure ki bhavishya se apeksha karte hain,utna bura hota nahi hai"
8.Chandragupta-"vachan dene ke baad ,usse piche hanta maine seekha nahi"
9.Sukhdev-"itihaas sadev vijeta ki drishti se likha jaata hai"
10.Chanakya-"sunna sabki Chandragupta kintu karna apne mann ki.."
11.Chanakya-"mitra ho chahe shatru,pyaar se sabhi ko jeeta jaa sakta hai,..lad ke nahi"
12.Chanakya-"dharma kehta hai ki diya hua vachan har mulya par nibhana chahiye"