Lets Share the beautiful/memorable dialogues of the show
By Chanakya
- Main Vishnu Gupt Chank putr Chanakya
- Kisi ko kabhi Satya bolne se bhaybheet nahin hona chahiye...
phir chahe woh satya uska saath de athvaa naa de
-Jab koi achanak tumhari prashansa karne lage,
toh tumhe unse bahut sambhal kar rehna chahiye
Nahi karenge Acharya.Tuti toh hum mein thi, jo humne aapke shiksha mein hastakshep kiya.
Aapke vidyarthi, aapki shiksha...hamara hastakshep kshama kare.
Agar kisi vyakti ka vyavahaar achanak badal jaaye, toh tum satark ho jana.
samasya se bachna hi avashyak nahi hai,..samajhdar vo hai jo samasya se takraye,phir use mitakar hi dam le
Itihaas vahi badaltey hain jo din mein sapne dekhte hain
ye khel hai niyati ka,..dekho isse,samjho isse.
chunauti dene ke baad bhagna kayarta hoti hai
niyati ka likha ab tal nahi sakta,..varshon baad mein jo lauta hoon apni matrabhumi mein,jaane kyun lagta hai mujhe khel ye saara..jaise tay sa tha apmaan mera ya shapath meri..ye sab khel hain niyati ka
sach hai ki kisi bhi samaj ka parivartan bahar se aayaat nahi hota,..savera vahin hoga jahan raah hogi
gyan ka samman hota tha kabhi,vo chalan bhi uth gaya..aj samman hai keval bal ka raja ki drishti mein..par budhi bal se badi hoti hai ye dhananad kya jane..vo to ras aur bal ko hi samajhta tathya hai par vijay buddhi ki hoti hai,yahi satya hai
akhand bharat par raaj karne wala wo jo svayam se pehle auron ke baare mein soche,/..bhavi samrat vo jo kisi bhi chunati ka saamna saahas se kare'bhavi samrat vo jo asambhav ko sambhav kar de,..jo haar ke muh se jeet ko kheench le aaye.
aadarsh raja vo hai jiske tann,mann aur aatma teeno dridh ho
keval tum abhaari rahoge,tumhare saathi nahi?
yadi raja tann se durbal hua to na sambhal payega apni sena ko,na seemaon ko aur yadi uska nirbal aur asthir hua mann to parajit hota rahega vo apni hi chintaon se aur uski aatma nirbal hui to kaise sabal karega vo apni nirbal praja ko
jo log bhay ko bohat gambheerta se lete hain,vijayshree unhi ke gale mein jaymaala daalti hai/' niyati to kehti hai ki bohat paana hai aur bohat paane ke liye bohat khatra uthana parta hai..kuch log khatra nahi uthate..,jeevan jaise chal raha hai bas vaise jeete chale jaaten hai'..par jo pragati karna chahte hain,upar uthna chahte hain,..jo kuch unke paas hai usse dav par lagane se nahi darte'sambhavna hai ki haar jayen ve,kuch na kar payen ve,par ye jo kuch kar dene ka prayas hai,yahi unhe auron se alag banata hai,..bhale hi ve haar jayen,..par ye santosh unse kaun cheen sakta hai ki unhone kuch accha kar dekhane ka prayas to kiya.."
samay se pehle murkh kalpanik soch murkhta hoti hai
jeevan mein kuch bhi mulya chukaye bina nahi milta
sapne dekhne wale hi sapno ko poora karte hain''.khuli aankhon se dekhe hue sapne hi jeevan ko ek arth pradan karta hai
Jab Yakti Mitra aur Shatru Kein Beech main Bhed Karna Bhool Jaya, Toh Usne Patan Ki Taraf apna Pahla pag udha thiya hein
chahe to tu mera sar uda de dhananand, lekin yaad rakh mera pratiyga mera marne k baad v jivit rehega.
yehi balak tera vinash ka karan hoga dhananand.
ekdin tera beta bahut bara samrat banega. Tere naam se jana jayega moori ka beta chandragupt maurya.
aatmik bal vo kar dikhata hai jo sadharan logon ko asambhav lagta hai
yadi tum ekagrichit ho sako,apne shareer ke saath saath apne mann par bhi adhikar kar lo,to ek sadharan shareer bhi asadharan karya kar sakta hai...chahe jitni peera ho,yadi tumhara mann us peera ko maane hi na to
Ati sarvatra varjate', ati kisi bhi baat ki buri hoti hai, phir wo chahe seekne ki kyu na ho.Gyan ka arth uske upyog mei hai
bade bade lakshya balidaan mangte hain
yudh mein hum sabki bhoomika tay hoti hai aur hum sabko apni bhoomika nibhani hoti hai,na adhik na kum,..mein apni bhoomika nibha raha hun tum apni aur ve sab apni apni,..ro kar un sarvashreshtha yodhon ke balidaan ka apmaan mat karo
By CGM
main janta hu ke mere saath chhal hua hai, par main piche nahi hatunga..
main ladunga aur woh bhi asli talwar se.
mera naam chandragupta hai aur mein apna naam kabhi nahi bhoolunga
ye sab to mujhpar nirbhar hai na acharya,..yadi aj mein haar jaata to in sabko inki umra aise hi pashuyon(animals) ki tarah mehnat karte hue guzarni parti..to in sabki zimmedari bhi meri hi hui na acharya
seema se adhik laalach accha nahi''''''..baat damm ki nahi aur baat apke mere pita tak jaane ki bhi nahi..baat mujh par bharosa rakhne wale mere in saathiyon ki hai..aur mein in sabke liye kuch bhi kar sakta hoon'lekin mujhe aap par bharosa nahi hai
Jai Ho
1. Mera shareer aapka ghulam ho sakta Acharya...Parantu meri Aatma!...meri aatma aapki ghulaami kabhi sweekaar nahi karegi Acharya...kabhi nahi!
By Dhananand
dhigdha dhi ttei
Others
Acharya Shreshta: Tum mujhse Kutark kar rahe ho Acharya?
Bhadrabhatt-"Bhavi samrat mein aap kaun kaun se gun dekhenge aacharya?
Bhadrabhatth-"teeno dridh kyun?"
1.C-too much of anything is bad, even it is knowledge. the actual benefits of knowledge lies in its practical use.
2.CG- if u hv acknowledged me as ur son, den make me worthy & capable of it.
3.C- we r here to play our own roles.. me, u ,we all r here to play our specified roles previously fixed by destiny..nuthing more nuthing less.
4.CG-dont think i hv favored u by not complaining against u, but i will defeat u using ur ways dis tym. B prepared 4 it.
emotions r useless if u want to survive in a ruthless world surrounded by enemies.
___________
Thanks every one đ