Tum se mil kar youn laga...
jis tarah se raat main niklay kahin
sarma ka chand
Dekh kar chehra tera lagnay lagay chanda bhi maand
jiss tarah se jaagti ankhon ka ik
dilkash sa khawab
jiss tarah se sabz waadi main kahin
tanha Gullab
jiss tarah k sardiyon ki
halki halki dhoop ho...
jiss tarah se chodween main
chandni ka roop ho...
jiss tarah pattoun pe attki ho
koi paani ki boond....
jiss tarah mitti se aaye
soondhi soondhi si mehak
jiss trah subha samay
nanhay parindon ki chehak...
jiss tarah gehray samndar main
kahin ik seep ho...
jis tarah mundair par
jalta hua ik deep ho...
jese sannatay main bus
koyal ki ik awaz ho
door shehra main kahin
ik goonjta sa saaz ho...
jiss tarah se paaniyoun main
bheegta komal baddan
jiss tarah se ibtada E Ishq ki
meethi jalan...
jiss tarah subha k sooraj ki
koi pehli kiran...
jiss tarah se mey - kaday main
ik chalakta jaam ho
jiss tarah dhalti hui ik
surmaai si shaam ho...
jiss tarah baali umar ka
pehla pehla payar ho...
aik hi insaan main
jese k,kull sansaar ho....
jiss tarah se chandni ratoun ka
ik dilkash samma...
jiss tarah se jism main
holay utarta sa nashaa...
jiss tarah taqdeer ne
Tumko meri khatir likha...
Tum se mil kar youn laga....
Tum se mil kar youn laga....