Bhagne ke baad
Have you ever thought of what ArMan will do after running away in a BEST bus on Nov 12? What will the respective familes do? I tend to imagine the following scenario.
(Archana and manav are hugging each other in the bus. 15 mins paas)
Bus conductor- oh bhai..yeh public bus hai romance karne ki jagah nahi
One Passenger- tumhe kya prob hai conductor? Karne do jo karna hai unko
Conductor- achha to aap inhe dekhe ke maze le rahe the
Passenger-aap kaun se doodh ke dhoole hue ho..15 min ke baad aap ko akal aata hai ki yeh public bus hai romance karne ki jagah nahi š
Manav-khair..we are sorry..
Archana-aap bhi na manav...seat khali hai chalo baithte hain..par yaha to ek seat hai bas
Manav-kaafi hai..tum meri godi pe baith jana
(passangers clap)
Passanger- haan kuch naya dekhne ko milega ab š
Archana-mujhe sharm aa rahi hai manav..chalo bus se utarte hain aur auto se chalte hain
(both get down from the bus and wait for an auto to come. Suddenly they find that sulochana is coming in a auto. Auto stops)
Archana- aai tu kahin hamara pichha to nahi kar rahi
Manav-bhago archana...
Sulochana-tu aisa kaise kar sakti hai archu..tu meri beti nahi ho sakti
Archana- chalo thik..ab tujhe bolke bhagti hun..thik..chalo bhago manav
ArMan run away again. Next day satish arranges a meeting for all to resolve the issue.
Satish- aaj mujhe behad khushi hai ki hum sab ek chhat ke neeche ikattha hue hain
Damodar- beta is mein khushi ki baat kya hai har hafte kisi na kisi ke ghar mein function hota rehta hai hum log milte rehte hain. š
Satish- to mujhe khushi is baat ki hai ki..
Sulochana- koi khushi nahi hai satish. Yeh ek serious issue hai. Koi award ceremony nahi
Satish- achha to mujhe gham is baat ki hai ki
Ajit- gham kyun satish. Rab ki banayi ek jodi aaj wapas jud gayi, duniya se ladne ke baad, aaj to jashn ka mauka hai
Satish- khushi aur gham ko pichhe rakhte hue main congratulate karna chaunga ArMan ko. Aap dono aage aayen aur saare parivar walon ke sawalon ke jawab den
(Arman come forward, ajit, damodar, satish shout hip hip hurray)
Sulochana- Archu tune aisa kaise kiya? Tu kaise manav ke sath bhag sakti hai?
Archana-lagta hai do baara bhagke dikhana padega ki kaise bhage hum dono
Sulochana- tere andar mere sanskar kahan gaye..tu jaywant ke sath aisa kaise kar saakti hai..ab jaywant ke bhavishya ka kya hoga
Ajit- lagta hai jaywant ka bhi koi bachha hai jisse archu ko maa ka naam dena tha š
Sulochana- main tujh se sunna chahti hun archu tune aisa kyun kiya?
Manav- aai dheere boliye. Asthma aatack hua to kuch nahin kar sakte hum. Galati se main pump lana bhul gaya
Manohar- (adjust lenses) manav thik keh raha hai sulochana. Tum aram karo. Archu beta tune mujhe kyun nahin kaha
Damodar-archana ..beta..tere baba keh rahe hain ki bhagna hi tha to taxi book karke bhagti'aise chalti hui bus se pair fisal jate to..
Sulochana- chup karo aap sab. Pair to fisal gaye hain archu ke. Archu tujhe mere sath abhi ghar wapas chalna hai aur jaywant se maafi bhi mangni hai
Dharmesh- tum nihayati swarthi ho archana. Apne swarth keliye tum bus se bhag bhi sakti ho
Archana- ji haan. Apne swarth keliye main manav se shaadi kar sakti hun. Unke bachhon ki maa bhi ban sakti hun. Aur bachhon ka naam bhi apne swarth keliye pappu aur tappu rakh sakti hun
Sulochana- tujhe sharm nahi aati. manav ke bachhe ki maa banne ki baat kar rahi hai.
Manav- aage ke sawal puchha jaye plz..sulochana aai same sawal ko repeat kar rahi hain. hum dono jaldi yeh meeting khatam karke jana chahte hain
ajit- haan kuch adhure kaam ko aaj pura karna hai kyun manav? š
Sharavani- mera sawal hai. Aap dono ne bhagne ke baad kya kiya.Manav- hotel honeymoon, juhu
Sharavani- kya kiya udhar (chilla ke)
Archana-manav kuch mat batana plz
Manav-chalo nahin batata. Ab khush?
Sharvani- iska matlab archana tune mere manav ki izzat loot li?
Archana-satish ji aise gande swalon ke jawab main nahin de sakti
Sharavni- manav aap mere sath aisa kaise kar sakte hain
Manav- maine to tumahre sath kuch bhi nahin kiya. Jo bhi kiya archu ke sath kiya
Sharavani-jyada syane mat bano'mere kehne ka matlab hai..
Satish-Shravani keh rahi hai jo tum ne archana ke sath kiya uske sath pehle kyun nahi kiya
Archana- chhi kitni gandi baat..satish ji yeh meeting abhi band karaiye'yeh gandi baat sunke mujhe ulti si aa rahi hai
Shravani- ulti..OMG'
Sulochana- archu tune muh kala kar liya manav ke sath..hey bhagwan ab main kahan jaungi kisse muh dikhaungi
Manohar- kya main wake hi nana banne wala hun?
Manav- aisa kuch nahi hai..aap log yeh baatein chhodke kuch aur puchhiye
Ajit- haan jaise ki yeh dono kal court mein shaadi karne ke baad kahan mauj masti karne ja rahe hain etc etc
Shravani- koi mujhe yeh bataye mere bhavishya ka kya hoga? Mere sachin ko kaun apna naam dega
Vandita- jis tarah se tum chilla rahi ho aadhi mumbai ko pata lag chuka hai sachin ko ek baap ke naam ki zarorat hai š
Manav-ab yeh saab chhodo hamen jane do
Shravani- main tumhe kahin jane nahi dungi manav. Tum bas mere ho
Satish- dekho mera suggestion yeh hai archana aur manav ko shaadi karne diya jaye
Manju- lagta hai is lower class family ke sath hi Archana khush rahegi
Archana- vahini aisa mat kaho (gusse se)
Sulochana- tu kaise apni maa samaan vahini ka insult kar sakti hai
Vinod- manav ke pyar mein yeh andhi ho gayi hai..isse bhala buara kuch nazar nahi aata. Koi apni vahini se aise baat karta hai kya?
Satish- haan bilkul..khaas karke manju jaisi vahini ke sath š dekhiye ab sab apne apne ghar jayen aur archana manav ko apni zindegi jeene diya jaye
Sulochana and sharavani- nahiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii
Archana-lagta hai fir se bhagna padega
Manav- chalo bhago.......(both run away again)