VIVEK KA KHOONI RAAZ
SCENE 1
(sab beuro mein hai…10:30 bach chukke hai lekin vivek abhi tak nahi aaya… FREDDY DAYA aur ABHIJEET ke paas chaltha hai…)
FREDDY; SIR...10:30 bach chukke hai..lekin VIVEK abhi tak nehi aaya…
(tabhi TASHA waha aathi hai)
TASHA;sir..maine une bohoth phone lagaaya …lekin wo phone nehi uta nehi raha…mujhe bohoth tension ho rahi hai..
DAYA;arey TASHA VIVEK ke bare mein itna math socho…wo aajaayega
(ACP sir unlogoki bathe sunkar waha aathi hai..)
ACP;lagtha hai VIVEK abhi tak so raha hai..maine kal une bohoth kaam diyaa tha..wo bohoth dher baath ghar chali gaya tha..
(ACP sir ko ek phone aatha hai...wo kuch dher baath kar ke aathi hai)
ACP; VIVEK ke bare mei baad mei soch lenge..ek jungle ke paas ek laash mili hai..
SCENE 2
(sheher se thodi dhoor ek jungle ke paas cid ke car rukthi hai…sab uthar the hai..aur beed ke beech jaakar laash ke paas ruk thee hai..ACP sir,ABHIJEET sir aur DAYA sir laash ko dekh rahe he aur FREDDY sir aur TASHA maam aas paas ki logo ko puch taach kar rahe hai)
ABHIJEET;sir dhekiye..kam se kam 20 baar chhaku lagaaya gaya hai inko…
DAYA;itna violence…
ACP; ye zaroor kahi pyaar vyaar ka chakkar hoga…
ABHIJEET; sir aap har baar yehi kehthi hai…
ACP; kyun?jab mein aisa kehtaahoon tho tumaari pet me itni dard kyun hota hai?
ABHIJEET;sir … mei tho bas aisa hi kehdiyaa tha..
DAYA;s.s...sir,TASHA ko kuch bathaa chalaahe...
ABHIJEET;h..haan sir.. chaliye sir..
(ACP gives them a big smile and went)
TASHA; sir, inka naam NAMTA hai aur ye kehrahi hai inhone kal raat yahaa kuch dekha tha
NAMTA;saab, mei din raat yaha waha goomthi hoon..jab mein kal raat kaam karke is jungle ke paas chal rahi thi toh maine is aadmi aur kisi aur ko bathe karte huve sunli..maine socha ki zaroor kuch na kuch to gadbad hai varna itni raat ko kisiko yahaa par konsa kaam.maine un dhono ki baat sunli
ABHIJEET;kyaa keh raha tha vo dhono?
NAMTA;vo dusra aadmi is admi ko damka derahi tha….us aadmi ne kahaa ki agar usne kisiko bi unka raaz bataya toh woh inhe nehi chodengi.. mei bohoth dar gayi thi aur mei vahaa se baag gayi…
DAYA;aap pehchaan sakti hai ki voh dusra aadmi tha kon?
NAMTA;voh aadmi toda dhoor kada tha isliye maisne teek se unhe nahi dekha..lekin uski aawaaz se lag rahi thi ki voh bohoth jawaan tha..dubaara us aadmi ke aawaaz sunengi tho mei pehchaan loonga
ABHIJEET;teek hai agar hume aapki zaroorat huvi toh hum aapke paas aayengi..
SCENE 3
(sab forensic lab mei hain..DR SALUNKE aur DR TARIKA laash ko dekh raha hai)
SALUNKE;ACP sir is aadmi ko 20 baar chaaku lagaaya gaya hai..
FREDDY;20 BAAR!!!
TARIKA;haan FREDDY 20 baar chaaku lagaayaa gayaa is aadmi ko
ACP; laash ke paas kuch milaa SALUNKE?
SALUNKE;laash ke paas nehi lekin laash ke andar kuch milaa hai..
ABHIJEET;laash ke andar?
SALUNKE; haan laash ke andar.. shaayad itni baar chaaku lagne ki baad bi ye todi der zindaa tha.. aur isne inki chaaku ke zaham ke andar ye cheez daala tha..TARIKA woh paper ko dekh raha hai..TARIKA kuch…..
ABHIJEET;DR TARIKA kuch milaa?
SALUNKE;WAAH!KYA INTHIFAAG HAI mei bi yehi kehne vaali tha
(Before any argument..)TARIKA; sir, is paper mei kuch likaa huva hai par kuch saaf saaf pada nehi paarahahoon….
SALUNKE;ek kaam karo TARIKA, is paper pe chemical lagaa kar dheko..shaayad kuch mil jaaye
TARIKA;ji sir (TARIKA us paper ke upar chemical lagaa thi hai.. aur us paper ko padhkar hairaan ho thi hai)
TARIKA; OH MY GOD!!!
ABHIJEET; kya huva DR TARIKA?
TARIKA;sir aap khud aakar padhiye..
(sab log TARIKA ke paas aathi hai ..ACP sir TARIKA se voh paper lethi hai aur use padtha hai)
ACP;"CID SUB INSPECTOR VIVEK"
ABHIJEET; VIVEK aur is case se kyaa sambad ho sakta hai?
FREDDY; sir,aaj jab VIVEK nahi aaya tabhi Mujhe kuch gadbad lag raha tha…varna har baar voh mujhse pehele bureau mei aakar mere taang kichne lag jaathi hai...
ACP; is ki bare mei toh humein VIVEK ke ghar jaakar pata lagengi..chalo sab
TASHA;FREDDY sir, aap log please jab thak VIVEK ke bare mein pakka sabot nehi miltha jab thak aap log VIVEK par shak math kijiyega..
FREDDY;don't worry TASHA, mujhe pata hai VIVEK tumaare bohoth acchi dost hai
(TASHA smiles and left with others)
SCENE 4
(Cid team VIVEK ki ghar pohuchte hei..VIVEK ge ghar par taala lagaa huva hai)
TASHA; sir, VIVEK toh ghar par nehi hai
ACP; DAYA dekh kyaa rahe ho…darwaaza tod ddho
DAYA; sir…..mein kaise VIVEK ka ghar ka darwaaza tod saktaahoon..
ACP;kyun… itni din hogaye tumhe darwaaza nehi tode huve aur aaj mei tumhe hudh is nekhkaam ko karne ki ijaazat de rahaa hoon toh tum peeche hat rahi ho
DAYA; iski lekin bina koi vajaa se toh mei darwaaza nehi todtha..mein agar darwaaza todunga iska matlab toh yehi hai naa ki hum VIVEK upar shak kar rahe hai..
ABHIJEET; haan sir,ye baat toh sahi hai.abhi hume VIVEK ke khilaaf koi sabooth nehi milaa hai...toh hum un parkaise shak kar sakthe hai….
ACP; ABHIJEET maine kab kahaa hum VIVEK par shak kar rahe hei?voh ek imaandhaar cid officer hai.. Mujhe unpar poora vishwaas hai…lekin is case ko dekhar Mujhe lagtha VIVEK aur is case mein koi na koi gehraa sambad toh zaroor hai..aur is case ki maamlaa ko hum VIVEK ke ghar par hi sumjaalenge..
TASHA; VIVEK par aapka vishwaas dhekhkar Mujhe bohoth khushi huvi..
ACP;DAYA DARWAAZA TOD DHO!!
(DAYA darwaaza todh dhetha hai...sab andar jaakar chok jaatha hai…ghar ki sab cheeze idar udar pada huva hai...)
ABHIJEET;lagtha hai haatha paai huvi hei yahaa par.
ACP;haan ABHIJEET itni haatha paai huvi hai koi bhi cheez apna jagaa par nehi choda
(FREDDY sir spots something and brings it to ACP sir aur ABHIJEET sir…)
FREDDY; sir ye dhekhiye... VIVEK ki gun...ispe ek bhi goli nehi hai…
ACP; VIVEK apne saath khaali gun leke nehi goom raha tha… (smelling the gun tip) ispe toh koi bhi goli nehi chali hai
FREDDY; sir, isme naya kyat hai…VIVEK hamesha apni saath gun leke goomtha hai lekin kabhi uski istimaal nehi karta...voh toh hamesha monkey ki tara building ke upar chal jaatha hai aur criminal ko peeche se gher leta hai...mujhe toh yaad bhi nehi ki aakhiri baar VIVEK ne goli kab chalaaya..
ABHIJEET;tum bhi na FREDDY,yaha VIVEK ka kuch batha nehi chal raha aur tum mazaak soch rahi ho… (TASHA and DAYA come…)
TASHA;sir.yeh VIVEK ki badge mili hai…aur….inppppa..inpar khoon hai..
ABHIJEET; MYYY GOD!!!
ACP; kahi VIVEK ko kuch ho toh nahi gayaa...
DAYA; aisa hi lagtha hai sir...dhekhiye Mujhe kyaa milaa hai...
(DAYA sir hands ACP sir a letter)
ACP;"tum cid vale toh apne aap ko bohoth hushiyaar samajthe hona...Terrorists' tum logo ko challenge kart ha hai toh itni aasaani se un logo ko pakad tha hei...is baar tumhe koi terrorist nehi lekin ek aam aadmi challenge kar raha hai...mujhe tum logo se kuch nehi chahye...mujhe sirf VIVEK se hi kuch chahye..unkaa property...Aap jaanthe hai VIVEK kithnaa bola hai…voh kuch bhi nehi bathaa raha ..agar aap logh VIVEK ko zindaa dekhnaa chahthi ho toh aap log us property ko doondkar...mujhe pohochaayegaa...varna accha nehi hoga tum logo ko aur VIVEK ko bhi"
DAYA; iski itni himmat hume challenge kar raha hai.
TASHA; aur VIVEK ko bhi kidnap kiyaa...
FREDDY;lekin sir mujhe yeh samaj me nehi aarahaa ki ye aadmi khon sa property ki bare mei baath kar rahi thi...jaha tak mujhe maaloom hai VIVEK ke paas mei itnaa paise toh nehi hai
ACP; TASHA …VIVEK ke bare mei jo bhi batha chale bathaa lagaao. aur sab bureau mei chalo...hume VIVEK ko doondna hai
SCENE 5
(sab log bureau mein hai aur tabhi TASHA dodh the huve aathi hai)
TASHA; s...s. sir bohoth kuch bathaa chalaa VIVEK ke baare mein..
(DAYA sir hands over a glass of water to TASHA maam...TASHA maam...drinks it and started speaking)
TASHA; VIVEK 500 crore ke maalik hai…Bangalore mei VIVEK ki bohoth badi ghar hain...VIVEK 4 saal pehele Bangalore chodkar yaha Mumbai aagaya...
FREDDY; 5…00…00 ccc.c.c…crore kkkeee mm...mmaalik ..aur voh yaha kyaa kar raha tha?
ABHIJEET; haan FREDDY Yeh baath toh sochne ki baath hai...500 crore ke maalik Mumbai ke ek maamuli ghar pe cid bureau mei ek sub inspector ka nokri kar raha hai
FREDDY; VIVEK ki dimaag ko sirf VIVEK hi samaj saktha hai sir. Varna koi itnaa bada property chodkar yaha kya karengi
DAYA; FREDDY aisa bhi ho saktha hai ki VIVEK ne bohoth badi majboori ki wajarse ye sab kiyaa ho
ACP; haan DAYA mujhe bhi yehi lagtha ….lekin is waqt Hume yeh sochna chahiye ki VIVEK ko kaise un logo se bachaaye aur un logo ko kaise pakde….
ABHIJEET; TASHA tumhe batha chalaa ki voh property kahaa par hai?
TASHA; sir…zyaada kuch toh nahi….. lekin shaayad voh property hume VIVEK ki Bangalore waale ghar par milengi
ACP; haan TASHA mujhe bhi aisa hi lagtha hai...sab log Bangalore chalne ki tayyari karo
SCENE 6
(CID ki gaadi TASHA ke kehene huve address par ruktha hai…sab gaadi se uthar tha hai...)
FREDDY; ARRE BAAPRE!!itnabada ghar!
ACP; haan FREDDY...ghar tho bohoth badi hai...chalo andar chalke dhekthe hai...
ABHIJEET; lekin sir…darwaaze par tho taala lagaa huva hai….
(Sab DAYA sir ko dhektha hai...)
DAYA; itnaa math dhekho mere tharaf...darwaaza todh thaa hoon...
(DAYA sir darwaaza todh ne ki bohoth koshish kartha hai lekin darwaaza nehi koltha.)
DAYA; ye kaise darwaaza hai?
(DAYA sir bohoth zhor se darwaaza par bang kartha hai...lekin itne koshish ke baad bhi darwaaza nehi todh paatha...DAYA sir bohoth gussa hothe hai aur baaki sab hasne lagthe hai)
DAYA;YAHAA MERI HAALATH KHARAAB HOGAYA HAI AUR AAP LOG HASRAHE HAI!
ABHIJEET; arre DAYA ye darwaaza aise nehi kuleygaa...dheko darwaaza par ek password protect lagaa huvaa hai...yeh darwaaza password se kuleygaa (and everyone starts to laugh even harder)
DAYA; toh itni dher jab Mei darwaaza todh ne ki koshish kar raha tha tum logh makki maar rahi thi kyaa?
ACP; arre DAYA gussa math karo...aur dekhthe hai ki is darwaaza par khonsa password hai…
FREDDY; kyaa lagthe hai sir?...VIVEK ne kyaa password likaa hoga?
ABHIJEET; "VIVEK "dial karke dhek le...
ACP; DAYA…usme ye naam dial kar dheko...
DAYA; ji sir... (DAYA us par VIVEK dial kartha hai…lekin kuch bhi nehi hotha)
DAYA; nehi sir…yeh iske password nehi hai…TASHA kuch dimaag mei aaya?
TASHA; sir…VIVEK ka puraa naam dial kar ke dhekle…
ACP; VIVEK ka puraa naam tumhe bathaa hai?
TASHA; ji sir…VIVEK VIMAL MASHRU
FREDDY; sir…lagtha hai VIVEK ne bachpan mei bohoth zyaada mushroom kaayaa hoga…tabhi uski last name MASHRU hai….(sab FREDDY sir ke joke par hasthe hai…DAYA sir VIVEK ka puraa naam dial kartha hai aur darwaaza kulthi hai)
DAYA; arey wah TASHA tumne tho kamala hi kardhi (TASHA smiles and everyone gets inside)
ABHIJEET; wow! VIVEK ki ghar tho waakahi bohoth bada hai…
ACP; chalo…sab is ghar ka kona kona chaan maaro
(Sab ghar ki thalaashi le rahe hai…DAYA sir ko ek bohoth puraani CD miltha hai or voh us CD ko lekhar ACP sir ke paas aathe hai…)
ACP; DAYA zaroor is mei bohoth bade raaz chupee hai…chalo bureau mei jaakar dekhthe hai is mei kyaa hai
SCENE 7
(Sab log bureau mei hai…DAYA sir us CD ko computer mei daal thi hai…baaki sab us CD ko dhek rahe hai)
CD mei VIVEK ka ghar dhiktha hai…thodi dher baad ek choti si bacche dhod the huwe jaarahehai…voh bohoth dara huva hai…phir ek aawaaz aathe hai…sab log us naam ko sunkar chokh jaatha hai…ek aurath bohoth zhor se VIVEK chilla raha tha…voh bacha rukh tha hai…sab ko batha laga hai ki voh baccha VIVEK hi hai…phir kuch log darwaaza todh tha hai aur andar aatha hai…voh aurath chillatha hai air VIVEK ko andar jaane keliye boltha hai…jab VIVEK ne nehi maana toh voh aurath VIVEK ko ek kamre mei lock kar the hai…VIVEK chilla raha hai…dhekthe hi dhekthe un logo ne us aurath ko maardalaa…baad mei unlogo ne VIVEK ko bahar nikaala…VIVEK bohoth zhor dhe thaa hai…lekin un logo ne use nehi choda…kuch aur log vahaa aathe hai...voh log VIVEK ko bachaaneki koshish kartha hai...lekin un logone une bhi bohoth beirehemi se maara...VIVEK"didi"chilla raha hai...un logo ne VIVEK ki puraa family ko maardaala...phir ek aadmi ne VIVEK ke sar mei maara,lekin uthnaa zhor se nehi jise VIVEK mar jaaye…VIVEK behosh hothaa hai…todhi dher baad un mei se koi baath karne lagthi hai.."VIVEK hamaare liye sona ki chaabhi hai…inhe bade honeki inthizaar karthe hai...VIVEK hudh hamaare liye voh sona dheygaa…sab hasne lagthi hai aur todhi dher baad voh sab log chale jaatha hai
(Bureau mei silence hai…koi bhi kuch nehi kehthaa…ye sab dhekhkar kisiko bhi kuch bolne ki himmat nehi huvi…TASHA rhone lag thi hai…sab Abhi bhi choke huve hei…)
TASHA; s...s...sir... (Still slightly crying)VIVEK ke saath itnaa kuch hogaye aur itne dhin hamaare saath tha…aisa jaise kuch bhi nehi huvaa hai...
FREDDY; mere liye tho ye ek chotaa bhai thaa…itne saal hamaare har sukh dukh mei hamaare saath kade huve aur har pal ye apne dukh mei jeethe rahe…
ABHIJEET; FREDDY ye waqt in sab baatho kar ne ka nehi hai…hume VIVEK ko doondna hai …
ACP; lekin hum us property ko kaise doonde?
TASHA (suddenly remembering something); sir...maine VIVEK ki ghar mei ek bohoth badi picture dhiki thi…voh tasweer bohoth ajeeb thi...
ACP (gets a little bit angry); TASHA tumne hume is baare mei pehele kyun nehi bathaayaa?
TASHA; sorry sir
ACP; phir se VIVEK ki ghar mei chaltha hai...
SCENE 8
(CID ke gaadi VIVEK ke ghar ke paas rukh the hai)
ACP; TASHA us tasweer ko dhikao...
TASHA; ji sir...
(TASHA sab ko hall me leyjaatha hai…vahaa par ek bohoth ajeeb tasweer lagaa huvaa hai)
ABHIJEET; sir tasweer mei toh ek boat doopraha hai samundhar mei...
ACP; najaane ye case hume kis mukaab par le jaayegaa… (To DAYA)DAYA is tasweer ko hatao
(DAYA and ABHIJEET sir tasweer ko hataathe hai…vahaa par ek bohoth badi thijori hai jis par bhi ek password protect lagaa huva hai)
DAYA; accha huvaa ek darwaaza nehi hai… (Sab hasthehai)
ACP; chalo ab sab logh socho is thijori ko kaise kole
ABHIJEET; phir se VIVEK ka puraa naam dial kar ke dekhthe hai...
(DAYA sir VIVEK ka puraa naam dial karthe hai…voh thijori nehi kulthi...)
DAYA; nehi boss, ye is ki password nehi hai…
ACP ;( moving his finger clockwise) kyaa hosaktha hai is thijori ka password?
DAYA; TASHA, kuch dimaag mei aaya?
TASHA ;( thinking) sir…VIVEK ka birthday dhekle…
(Everyone looks at TASHA confused)
TASHA; sir...apko yaad hai…..jo video humne dhekha, usme neeche ek date thi...
(in flashback…they see a date at the bottom of the video…"27th September 1982")
DAYA; haan...humne dhihaan nehi diyaa…voh thaareekh shaayad VIVEK ka birthday haina?
TASHA; haan sir...
FREDDY; un ke birthday ke dhin mei hi ye sab huvaa...ab mujhe samaj mei aayavoh apna birthday humare saath kyun nehi manaatha...
(DAYA us mei voh date dial karthe hai...aur voh kulthi hai...)
DAYA; TASHA tum ne phir se kamala kardhi...
(TASHA smiles cheerfully)
ACP; DAYA...ise kolo... (DAYA sir us thijori ko koltha hai...usme bohoth zyaada paisa hai...)
ABHIJEET; toh ye hai voh property...
Edited by shaama - 15 years ago
605