Waqas,Parm,Tanu,Anjali n Minaxi....Thankx a lot for Appreciating this post.😳😳
i'm a self confessed poerty fan...i think its the best medium to present yur feelings n emotions tht can create a lifetime effect on souls of people around yu. I'm sharing a very nice poetry on our lives by an unknown author....hope yu'll appreciate this one also.
Har khushi hai logon ke daman mein,
Par ek hansi ke liye waqt nahi.
Din raat daurti duniya mein,
Zindagi ke liye hi waqt nahi.
Saare rishton ko to hum maar chuke,
Ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi.
Saare naam mobile mein hain,
Par dosti ke liye waqt nahi.
Gairon ki kya baat karen,
Jab apno ke liye hi waqt nahi.
Aankhon me hai neend badee,
Par sone ka waqt nahi.
Dil hai ghamon se bhara hua,
Par rone ka bhi waqt nahi.
Paison ki daud me aise daude,
Ki thakne ka bhi waqt nahi.
Paraye ehsason ki kya kadr karein,
Jab apane sapno ke liye hi waqt nahi.
Tu hi bata E zindagi,
Iss zindagi ka kya hoga,
Ki har pal marne walon ko,
Jeene ke liye bhi waqt nahi.............
And this beautiful one From Javed Akhtar
har Khushii mein koii kamii sii hai
hansatii aankhon mein bhii namii sii hai
din bhii chup chaap sar jhukaaye thaa
raat kii nafz bhii thamii sii hai
kisako samajhaayen kisakii baat nahiin
zahan aur dil mein phir Thanii sii hai
Khwaab thaa yaa Gubaar thaa koii
gard in palakon pe jamii sii hai
keh gae hum kisisese dil kii baat
shahar mein ek sanasanii sii hai
hasaratein raakh ho gaiin lekin
aag ab bhii kahiin dabii sii hai .........
********************************************************************************************
Okay this was the last one.AApko aur bore nahi karungi...God bless yu all😊
Edited by A... - 15 years ago