Fifth Part
"main hoon he aisa, ama kehti hai kay mera beta chaand say bhi pyaara hai" uss ki awaz aai tu meray mon par khud he muskurahat bikhar gayi lakin jab udhar pohanchi tu samnay kisay dekha. Ussay jissay main bholna chahti thi
"Aray Sheri idher aa kahan ja rahi hai?"
"Main? nahin main chali jaaon gi khud he"
"Aray iss say mil, meri dost hai Shazia"
"Slamalikum"
"Walikum" uss nay itra kar raha
"kahan jaa rahi hai? Aa tujhe chod aoon" jaisay he janay kay liye kadam barhaya tu uss nay tok diya
"Nahin tu baith apni 'dost' kay pass main khud he chali jaon gi" mian nay jawab detay howay chalna shuru kar diya
Aaj itnay saal baad wo phir samnay aai bilkul uss tarhan jaisay pehli dafa aai thi. Lakin uss waqat mujhe kya pata tha kay wo jatay howay meri zindagi barbad kar jay gi
"bhai Sameer plaza lay chalo"
"kaun sa baji?"
"aik he to hai poray shehar main" main apni sochon main gum baghair kuchay sochay kay amin bol ky rahi hoon jawab diya
"Baji wo tu udher samander kay pass hi hai" uss nay meri taraf dekh kar fikarmandi say kaha
"nahin…acha yeh batao bhai main nay kahan janay kay liye kaha tha?"
wo meri taraf fikarmandi say dekhtay howay kehnay laga aur apna riksha start kartay howay bola
"Sameer plaza"
"nahin aisa karo mujhe Sameer ltd company lay chalo"
"baitho baji jaldi karo"
"hmmmm" kah kar main rikshay main baith tu gai lakin uss ka wapas ana abhi tak mujhay khatak raha tha
Aakhir wo aaj itnay dinon baad wapas kaisay aa gai aur wo bhi Shani kay saath jub kay wo sub kuch sub kay samnay kah kar gai thi phir aaj itnay dinon baad kya sub bhol gay hain jo kuch uss nay meray saath kiya tha
Haan wakay he bhol gayay hon gay tabhi tu sub itnay muskura kay uss say batain kar rahay thay. Mera dil khud he dalilain day raha tha.
Kaisay bhol sakti hoon wo sub jo uss nay meray saath kiya tha. Uss din jab wo aii tu kitni achi lag rahi thi bilkul dulhan ki tarhan aur mujhe bhi laga kay meri itni achi dost hai tu yakeenan mera sath denay aai hai lakin main ghalat thi.
'Aray Khala Jan aapko kya pata uss kay kitnay affairs hain wo tu main hoonjo uss ka saath de rahi thi lakin jab mujhe bhi pata chala tu main nay bhi ussay dosti khatam karnay ka aur app hain kay rishta karnay chali hain apnay betay ka uss say'
mujhe apnay kanoon par yakeen he nahin aa raha tha kay jo main sun rahi hoon wo sahi hai bhi ya kahin mujhe he to dhoka nahin ho raha
'lakin beta lagta hai tumhe koi ghalti hoi hai'
'aray nahin khala mujhe koi ghalti nahin hoi, aap kya baat kar rahi hain? '
'Khala uss ka chakar chal raha hai kisi kay saath'
'aray kya keh rahi hoo'
'such kah rahi hoon khala'
'such kah rahi hoon'
'such'
"Such?"
"Baji kya howa? Chilai kyoun?" rikshay walay bhai nay ghabratay howay poocha
"K-k-k-kuch nahin" main nay jaldi say keh kar apna moon dosri taraf kar liya
"Baji Sameer company aa gai" rikshay walay nahi kuch dair baad mujhe agah kiya
"haan. A-acha theek hai" main kah kar rikshay say utri aur paisay daitay howay under chali gai
"kee kis say milna hai aapko?" receptionist nay poocha
"jee main yahan w-wo-wo"
"Wo?"
"Wo interview kay liye aa hoon" main nay uss ko batay
"Theek hai aap wahan sofa par baithain jab aap ka number aay ga tu main aapko bata doon gi"
"jee theek hai" kah kar main sofa par baith gai aur apnay number ka intzaar karnay lagi
next part will be posted soon InshAllah probably by 2moro