Kahani Arab Kay Sehra Ki
Dooston mera pas koi kahani nahin, isko hum sab milkar dilchasp (interesting) banayan gay, hindi/english/urdu zaban ki koi qaid nahin - main kahani shooro karta hoo aap sap milkar aik aik line add kartay rahain
Garmiyon (summer) kay din hain Debojeet apnay kamray mein so raha (sleeping) hai khwab mein koi usay pukar raha hai debo kahan ho, debo kahan ho, achanak ankh khul jati hai - nashta kiya bina ghar sey nikal kar soumen kay pass jaata hai
Debo: Abay soumen mujhay oman jana hai, mujhey asasasama kay pas jana hai
Soumen: abay kiya pagal ho giya hai na passport na ticket kia oounth pay jayega
Debo: Mein kuch nahi janta mujhe Oman jana hai
Soumen - Chal aa Usman bhai kay pas chaltay hain kuch na kuch ho jayega
Soumen: Salam Usman Bhai
Usman Bhai: Walaikum As-salam, kiyun mian kaisay aana huwa
Soumen: Usman Bhai yeh Debo hai
Usman Bhai: Abay kaun Dabba
Soumen: Aray usman bhai Dabba nahin debo debojeet
Usman Bhai: Acha Acha Kam bol
Soumen:Usman isko oman jaanay ka hai
Usman Bhai: Bus Itni si baat subah lanch (launch) ja rahi hai chale jana, magar theek saat bajay na 1 minute idhar na aik minute udhar
Debo subah launch sey Oman rawana ho jata hai
Debo Oman mein chai (Tea) kay khokay mein betha hai achanak kaan mein ganay ki awaz aati hai "Sajan Kahan ho" (Background mein Asma aur uski doost Prathiba, Yashita, aur Vaishali gaana ga rahi hain aur naach rahi hain)
Debo oounth pay sawar hota hai aur reegistan (desert) mein nikal jaata hai rastay mein door sey koi horse par sawar chale aarah hai - karib aakar ruk jaata hai aur talwar nikal leta hai (yeh sawar Zaheer hai)
Zaheer: Abay Debo tu
Zaheer: Yahan bhi agiya
Zaheer: aa to giya hai magar vapas nahin jayega
Kahani mein shroo kar chuka hoon aap aik aik line likh kar isay complete karain