" ALL'S WELL THAT ENDS WELL " is kahani main chaar khirdaar hain aryan ,bhairvi , bhoomi aur swayam.. bhairvi aryan ke company main kaam kar rahi hothi hain.. swayam bhi us company mein kaam kartha hain.. swayam aur bhairvi saath kaam karthe karthe woh dono achche dost ban jaathe hain.. aryan ko swayam aur bhairvi ki dosti hamesha khatakthi thi.. kyunke woh bhairvi ko chahne laga tha.. issi tarah aryan ki ek dost hain bhoomi.. bhoomiaryan ko pasand karthi hain par aryan usse avoid kartha rehtha tha.. aryan bhoomiko ek saath dekhna bhairvi ko ek annkh nahi baatha tha.. bhairvi bhi aryan ko chahne lagi par woh sochthi thi ki agar usne jakar aryan ko propose kiya tho kahiin aryan usko ghalat na samaj jaye. Aryan ek din bhairvi aur swayam ko saath dekhtha hain.. yeh baat usse achchi nahi lagthi.. jab bhairvi ghar jaane ke liye nikalthi hain tab aryan beech sadak mein bhairvi ko rokhkar ghusse mein apna pyaar ka izhaar kar detha hain.. bhairvi bhi aryan se apne dil ki baat keh dethi hain.. dono aryan aur bhairvi ek saath khush hothe hain.. lekin do log aise hothe hain joh in dono ko saath dekhkar khush nahi hothe.. woh hain swayam aur bhoomi.. kyunke swayam bhairvi ko aur bhoomiaryan ko chahthe the… swayam aur bhoomiek dusare ka saath dena ko tay ; karthe hain aur yeh bhi tay karthe hain ki woh log aryan ,bhairvi ke rishtey ko thod denge….. aryan ,bhairvi ek saath bohat khush hothe hain.. woh dono shaddi karne ka nischay karthe hain.. swayam bhairvi aur aryan ke pass jatha hain aur woh bhairvi se apni dil ki baat keh detha hain ki woh bhairvi se pyaar kartha hain.. bhairvi mana kar dethi hain.. par swayam nahi maantha.. aryan ko swayam pe bada ghussa aatha hain aur woh swayam ko warn kartha hain ki woh bhairvi se durr rahe.. aryan swayam se yeh baat bhi kehtha hain ki woh swayam ko jaan se maar dega agar usne bhairvi ko pareshaan kiya.. bhoomiyeh baat sun lethi hain… ussi raat ko swayam ka qatal ho jaatha hain.. bhairvi aryan pe shak karthi hain kyunke woh jaanthi hain ki aryan apne ghusse mein kuch bhi kar saktha hain.. bhairvi ko aise kuch saboot bhi milthe hain joh ki uske saamne yeh saabit karthe hain ki aryan ne hi swayam ko maara hain.. bhairvi ab aryan se badla lene ke irada se usse shaddi karne ke liye haan kar dethi hain.. bhairvi aryan ko uske kiye par pal tadpana chahthi hain.. bhairvi aur aryan ki shaddi ho jaathi hain.. bhairvi aryan se durr rehna shuru kar dethi hain.. aryan ko samaj nahi aatha ki bhairvi uske saath aisa bartaav kyun kar rahi hain.. bhairvi aryan se durr rehkar usse tadpa rahi thi.. unki shaddi ko aaj ek hafte ho chukka tha ab bhi bhairvi ke bartaav mein koi badlaav na aaya…aaj aryan aur bhairvi ki shaadi ka reception hain.. bhairvi ko is mein koi dilchaspi nahi hothi.. par bhairvi ko aryan ke gharwale zabardasti karke kapde ki kharidari pe bhej dethe hain.. aur aryan office chala jaatha hain…bhairvi apni shopping khatam karke cof fee shop jaathi hain..wahaan woh kissiki ki baatein sunthi hain.. bhairvi ko ehsaas hotha hain ki woh bhoomihain aur uske saath koi baitha hain..bhairvi unki baatein sunthi hain… bhoomi:- tumhe tumhare paise mil jayege , lekin tum apna mooh band rakho.. agar kissi ko patah chal gaya ki swayam ko maine marwaya hain aur bhairvi ke saamne woh sabot maine plant kiya hain joh ki uske samne yeh saabit karde ki aryan hi swayam ko qatil hain tho achcha nahi hoga... itna sab kuch maine sirf aur sirf aryan , bhairvi ko alag karne ke liye kiya hain aur ab main nahi chahthi ki tumhari koi bhi ghalthi ki wajah se poora ka poora bana banaya khel bigad jaye.. the person :- theek hain madam lekin mujhe mere paise mil jaane chahiye.. yaad rakhiyega agar mujhe mere paise nahi mile tho mera mooh zyada dher thak band nahi hoga… bhoomi:- theek hain..tumhe tumhare paise mil jayenge.. bhoomiaur woh aadmi wahaan se chale jaathe hain.. bhoomibhairvi ko nahi dekhthi.. bhairvi bhoomiki baatein sunkar pareshaan ho jaathi hain.. usse is ek hafte mein aryan ke prati uska bartaav yaad aatha hain.. bhairvi apne aap ko maaf nahi kar paathi.. bhairvi bahar sadak par chalthe chalthe aryan ke saath bitaye har achcha lamha ko yaad karthi hain.. woh ghar nahi jaathi aur us jagah jaathi hain jahaan par aryan ne usse uska pyaar ka izhaar kiya tha.. barish badi zoro shoro se ghirne lagthi hain phir bhi bhairvi barish mein bheegthi rehthi hain.. yahaan aryan ke gharwale bohat pareshaan hothe hain ki ab thak bhairvi ghar nahi louti.. woh log aryan ko call karthe hain aur usse is bare mein batathe hain.. aryan bhairvi ko dhoondthe hue nikaltha hain.. woh bhairvi ko dhoondthe dhoondthe akhirkhaar us jagah par aatha hain jahaan usse bhairvi dikhayi dethi hain.. bhairvi ko dekhthe hi aryan ki jaan mein jaan aathi hain…aryan dekhtha hain ki bhairvi barish mein bheeg rahi hothi hain.. aryan bhairvi ke taraf bhaagtha hain .. bhairvi ab bhi apne khayalo ki duniyaan mein khoyi rehthi hain.. aryan :- bhairvi tum yahaan kya kar rahi ho ?? jaanthi ho main kitna pareshaan ho gaya tha… bhairvi aryan ko dekhthi rehthi hain aur koi jawaab nahi dethi woh rothi rehthi hain.. aryan ek baar phir se apna sawaal doharatha hain aur woh samaj nahi pata ki bhairvi kyun ro rahi hain.. is baar bhi bhairvi kuch nahi kehthi aur chup chap aryan ke gale lagthi hain woh rothe hue aryan ko saari sachayi batathi hain ki kiss irade se usne usse shaddi ki aur bhairvi aryan ko bhoomiki sachayi bhi batathi hain aur woh kehthi hain :- aryan ab kya tum mujhe chod ke chale jaoge.... please aryan aisa kabhi mat karna main jee nahi paugi tumhare bina tum jo bhi saza doge woh mujhe manzoor hoga par aisa kabhi mat karna .. I love u aryan.. aryan bas bhairvi ko chup karane ki koshish kartha rehtha hain aur woh bhairvi se waada kartha hain ki woh hamesha bhairvi ke saath rahega aur usse yeh bhi kehtha hain ki woh kabhi usse zindagi ki rahon mein akela chodke nahi jayega…… aryan bhairvi aaj bohat khush the unhe aaj ek dusare ka saath mil gaya unhe aisa lag raha tha ki unhe zindagi ki har khushi mil gayi.. is din ke baad aryan , bhairvi hamesha saath the bhoomiko aryan aur bhairvi ne milkar uski kiye ki saza dilwayi aur aryan , bhairvi ne phir kabhi andhero ko peeche mudh kar nahi dekha… unki zindagi hasi khushi katne lagi….. |