Originally posted by: sweet_tania
This
When you are in marriage, sab kuch tactfully handle karna hota hai chahe husband ho ya sasural. Sab kuch mooh par bol kar moohfatt reh kar handle nahi kiya jata hai.
As you said Armaan ko bahot acche se pata hai ki uski dadi kya hai kaisi hai , uske fuva kya hai kaise hai. Knowingly he keeps calm as its his family any day. Armaan hai he aisa that his priority is neither ruhi nor abhira. His priority is his family above everything/anyone.
Jab aise core nature ke admi se shaddi ho tab either sasural walo se tactfully deal karna sikho or apne liye husband change karlo kyunki core nature insane ka marr kar bhi change nahi ho sakta. Husband ko din bhar uske iss nature ke liye gaaliya dene se kuch nahi hota.
Husband ki ego ko massage karne ka kaam kisi ko nahi karna chahiye and sath mai sasural ke against har ek battle mai pati ko ghasitna bhi nahi chahiye. Kuch battles tactfully apne end se handle karni rehti hai.
For eg. Charu ke sacche pyar ke liye abhira ne apni jaan laga di itni koshish kari ki Charu apne sacche pyar ke sath settle ho jaye , thik hai agar tumko apni sister in law ko support dena ho toh do lekin bina husband ka support expect kiye yeh kaam kar sakti ho toh karo kyunki your husband is not interested in settling his sister with baal baccha wala admi. Lekin abhira toh baar baar Armaan ko bol rahi thi ki Armaan bhi Charu ki help karne mai uska sath de which was very wrong. Support dena hai Charu ki true love story ko toh khud he do, husband ko kyun ghasitna ki mere support mai tum bhi aao jab ki uski marzi nahi hai apne behen ke liye aise rishte mai!! 
0