Originally posted by: daydreamers

Pehle tum aur aj main
Alag raahon par chal toh diye
Kuch faisle akele kar hi liye
Anjaam kya hoga
Khabar na thi kabhi
Laga tha lautne ke raastein band ho gaye
Aj ek mod aaya hain
Rukne ka ek mauka mila hain
Pehle tum aur aj main
Alag raahon par chal toh diye
Soch toh phir bhi ghum hain
Kuch kehne ki himmat bhi nahi hain
Raahein toh alag ho chuki thi
Par aj pata nahi kyun main ruk gayi
Sawaalon ka waqt shayad guzar gaya
Jawabon mein kuch naya nahi mila
Pehle tum aur aj main
Alag raahon par chal toh diye
Guzre waqt ke panne agar khole
Toh sirf dard hi haasil hoga
Par unn panno mein basi kahaani
Ka mitna kaise mumkin hoga?
Mit jaati agar kabhi toh aj hum aise na hote
Vaadon ke bawandar mein itne bure uljhe na hote
Pehle tum aur aj main
Alag raahon par chal toh diye