Spotboy 1 to Spotboy 2: woh peeche wala table laga de bade saab aane waale hai..
SB2 to SB1: accha toh phir mai table pe visors bhi rakh deta hoon
Everyone greets bade saab: namaste sir hello sir
BS returns the greeting with his Thu Thu Thu and walks up to the meeting table arranged at the back of the sets
BS bumps into the cameraman on the way: Aur Gullu sab kaisa chal raha hai?
Gullu: sab thik hi hai sir, bas camera angles thode kam padh rahe hai Anupama ka dukh dikhaane, par mai dekh loonga sir kuch na kuch kar hi loonga dard na bhi ho toh dikhaa loonga…
BS: chalo good, koi MaAn ka bhi accha sa picture daalo yaar, social media par maamla thoda thanda ho rakkha hai…chaaho toh Anuj ko iss baar bare back dikha do aur Anupama ke hath mein towel de do..
Gullu: sacchi sir? aapko aitraaz nahi Anuj ke skin show se?
BS: mann toh nahi maan raha par lollipops dete rehne chaahiye aur iss baar multiflavour ka, kaand kuch zyada hi bada ho gaya…
Gullu: ok sir done mai Kreative Rana se baat karke dream sequence dalwaata hoon…
As BS walks further into the sets, he spots Devika and choreographer making a reel…next he spots Dimpy and Samar shooting a reel, phir Kavya and lastly Paakhi…
BS to himself: iske liye paise deta hoon mai in sab ko? … galti ki Devika ko wapis bulake upar se Dheerak ka kharcha bhi ho gaya…aur ye Dimpy ke character ko kuch masaledar dena chahiye freeloader kahin ki…Samar toh sala insaan badal gaya par character mein koi sudhaar nahi…Paakhi bhi kab tak acchi bani rahegi, isko pregnant kar dein kya? accha hai Anupama ko Pari ke baad maayke daudne ka bahana bhi toh chahiye, Dadi toh ban gayi, Naani bhi ban jaaye khud ki agli shadi tak…aur agle tyohaar par iss choreographer se double kaam karwaoonga, bohot vella rehta hai aaj kal… par ye sab mai kyu soch raha hoon, ye to kreatives ka kaam hai…
Nodding his head dejectedly he walks up to the meeting room but notices that all the dogs from the sets are missing…so he inquires to know that madamji ne dog groomers ko bulaya hai…
BS: Anuj ko room mein bandh kardo, kahin woh bhi na chala jaaye grooming karwane
KR: dont worry sir, Anuj ab puppy nahi raha, aaj kal toh dahaadta hai
BS: accha? Vanraj kaise maan gaya iske liye?
KR: woh agla track usko highlight karta hai na…isliye
BS: oh accha wahi mai sochu, khair where’s Sallulover?
BS’s phone rings
SL: sir woh mai na aaj aa nahi paungi meeting ke liye, tattoo parlour mein badi der ho gayi aur aadha haath abhi bharna baaki hai, aap sab mujhpar chod do sir, main kuch na kuch jugaad kar hi loongi, IF aur twitter se plots pick karke unhein twist karna mujhe aata hai sir, aap mujhe underestimate kar rahe hai…
BS: hmm bas ab mujhe har din ek kaand chahiye, samjhi na?
SL: Sure sir, mai aapko niraash nahi karungi, Anupama mahaan thi, hai aur hamesha rahegi, ye bas kuch din ka bawaal hai sir, aisa pehle bhi hua hai aagey bhi hota rahega..
BS: jo bhi ho mujhe TRP chahiye IPL season mein bhi, Anuj ko maar dein kya?
SL: Nahi sir, fan wars mein Anuj bohot kaam aata hai, Anupama ko accha saabit karne ke liye, kisi ko toh bura banna padega naa, Anuj doesnt mind it sir aap chinta na karo
BS: ok ..bas apna whitewash abhiyaan chaloo rakhna aur Anupama ki journey ke baare mein kuch na kuch beech mein daalte rehna…aur kuch samajh na aaye toh Albela ya Rishta se borrow kar lena
SL: haanji sir, backup plans hai mai aur KR sambhaal lenge…Anupama ke liye junta ke mann mei pyaar aur sahanubhuooti jaga kar hi maanenge… call ends
BS: Aur KR agle kaand ki tayyari kaisi chal rahi hai? choti ke exams kab khatam ho rahe hai? Pari ke liye koi naya blanket aaya ki nahi? Maaya ka bhoot logo ke sar se utra ki nahi? Anupama ko agla award mila ki nahi?
KR: sir mai kuch bhi karne ko tayyar hoon … Anuj ko mental asylum bhijwa doongi, Vanraj ko bada aadmi bana doongi, Anupama ko phir se maa bana doongi, Maaya ko fraud declare kara doongi, Bapuji ka phirse heartattack karwa doongi, Baa ko jhule se gira doongi, Devika aur Dheeraj ki shadi ke dusre din divorce karwa doongi bas aap mere pati ka role permanent karwa do, atleast one scene a week, free mein ab kaam nahi karega woh, bas!
Meanwhile table to itself: haan haan maine hi kaha tha ki table banne ko bhi tayyar hoon.☺️
Ramadan mubarak to all!