Guys this news is just for fun sorry not to hurt anyone…Enjoy!!
Aaj ki taza khabar, aaj ki taza khabar Nanda Companies ki Serial Head ne ki khudh kushi!
Namaskar main hoon Simran aur yeh hai aaj ke mukhya samachar,
Pooja Godbole kal subah pankeh se latak kar chal bassi, unke parivar walon ka kehna hai ke jab se unki chotti bahen Kanya ko apne pati Ranbir Nanda se pyar hua tha tab se Pooja kuch khoyi khoyi si rehne lagi thi. Parso raat jab Pooja kaam se ghar aayi toh woh Kanya aur Ranbir ko ek saath paa kar kaafi pareshan thi. Pooja ne parson ko dinner bhi nahi liya aur apne kamre mein chali gayi, aaj subah jab unki bai Shanta ne Pooja ke kamre ka darwaza khola toh unho ne Pooja ko latakte huye paaya. Pooja Godbole apni maut ka koi karan nahi batake gayi hain, lekin chawl wale keh rahe the, ke shayad Pooja bhi Ranbir ko chahne lagi thi aur usse Kanya ke saath dekh kar jal gayi aur apni jaan se haath kho baithi.
Aayieh baat karte hain kuch chawl walon se
Mrs. Subramanyam- "aila mereko lagta eh ke woh pooja shori uss Ranbir shora ka pasand karti, mereko malum ke woh ussi ke gham se apne aapko hang kiya"
Mr. Jhunjhunwala- apun ko lagta hai ke yeh jaroor pyar wyar ka chakkar hoyenga baap
Mrs. Krishnaparsad- arey yeh godbole ka toh poora khandan hi pagal che, koi akal nahi hai re unn logon ko, unki shaadi shuda jawan beti khule aam apne kunware dost ke saath ghoomti che, majha karti che aur koi usse kuch nahi bolta..chi chi
Doston Kyunki Pooja koi note nahi chodkar gayi thi, unki maut ka karan ab sirf wohi jaanti hain. Investigators ne koi saboot na hone ke kaaran iss case ko closed kar diya hai, humhe bahut hi dukh hai pooja ke gharwalon ke liye aur Pooja ke liye jo binna kuch khaye hi chal bassi…bhagwan unki aatma ko shanti de.
Main hoon Simran aur aap dekh rahe hain aaj ki taza khabar. Namaskar😆