Fictional episode
6 month later
prologue
Abhimanyu aur Akshara ki shaadi ko 6 mahine Ho chuke the.
Unke vaivahik jivan ki gadi bare sukun se chal Rahi thi.
Magar Ek din kuchh Aisa hua !!!!
Place:- abhimayu aksara's room
Senario 1
Subha ke 5 baj te hai aur abhi ke room mai ek alram clock bajne lagta hai.
Abhi dheere se apni eyes kholta hai aur paas table per rakhe alarm clock ko band karta hai.
Phir dusri side ghum kar aksu ko hug karne aur good morning bolne jata hai
Lekin aksu bed pe nahi hoti.
Abhi jaldi se uth jata hai .
aur pure room mein dekhne lagta hai
Abhimanyu:- aksu! Aksu!
Itni subha subha yeh kaha chali gai?
Tabhi abhimayu ki nazaar table per padhati hai .
jiske upar methi Dane Ke Pani Ka glass aur uske niche ek chota se paper hota hai jis mai kuch likha hota hai.
Abhi glass hatata hai aur note Ko uthata Hai.
Aur use padta hai.
Note:- Dear hubby,
Mai niche kitchen mein tumhare liye meethi paratha aur aalu methi ki sabji banaa rahi hun.
Mujhe yaad hai tumne bola tha aaj OPD mai jaldi Jana hai Kyu ki uske baad
kisi bacche ki heart surgery hai.
Maine aaj off liya hai
Ishliye tumare liye breakfast bana rahi hu.
Jaldi se methi Dane Ka Pani pikar niche ah jao.
Place :- Birla house kitchen
Senario 2
Aksu kitchen mai sabke liye methi paratha bana rahi hoti hai.
Dusri taraf Manjari Puja ghar mein Puja kar rahi hoti hai.
Dr Anand and Mahima hospital mai night shift duty mai hote hai (kisi emergency surgery ke liye)
Parth Shefali Apne room mein hote Hain.
Neil out of station gaya hota hai.
Parth ki choti behan apne room mai studies kar rahi hoti hai.
Abhi kitchen mai jata hai aur Aksu ko piche se hug karta hai .
Aksu daar jati hai.
Abhi:- oops!sorry Mera irada tume darane ka nahin tha.
Aksu:- tum abhi romance karna chodo aur jaldi se fresh ho kar ah jao.
Breakfast ready hai.
Or ha Aaj mai tumare liye hospital mai lunch lekar aao gi.
Abhi, aksu ke forehead mai kiss karta hai .
Abhi :- ok! my wife.
Senario 3
Place:- dining room
Time :-6:30am
Aksu abhi ko breakfast served karti hai.
Abhi aksu ko compliment deta hai .
Aur use bhi apne saath breakfast karne baitha deta hai .
Per Aksu mana karti hai kyu ki kisi ne abhi tak breakfast nahi kiya hota hai aur woh bina Pooja kiye breakfast nahi karti.
Abhi samaj jata hai aur us per pressure nahi daal ta.
Tabhi abhi ke mobile pe ek call ata hai.
Abhi call recieve karta hai .
Or turant Bina breakfast kiye hi nikal jata hai.
Aksu ko kuch samaj nahi ata kya hua.
Aksu abhi ki secretary ko call lagati Hai.
Jis se usko pata chalta hai ki hospital mai jis bacche ka aaj ot hone wala tha uske liye code blue announce hua tha aur woh ICU mein hai.
Aksu ghabra jaati hai aur phone cut jata hai.
Senario 4
Place :- Birla hospital cardiology ward.
Abhimanyu jaldi se apni bike park kar ke sidhiyo se bhagata hua cardiology department mein jata hai.
Jaha pe patient ke parents rote hue uske pass ate hai.
Child's mother.:- please sir, hamare bachhe ko bacha lijiye .
Pata nahi raat mai uske paas thi tab woh bilkul tik tha.
Morning mai jab Nurse usko OT dress dene gai toh woh behosh para tha . Mai bas washroom gai thi sir itne mai Mera beta behosh ho gaya.
Aap please usko bacha lijiye.
Dr Abhimanyu birla:- dekhiae mam aap bilkul bhi chinta mat kijiye.
Hamari Puri team ji Jaan Laga degi but Rahul ko kuch nahi hone degi.
(That child name is Rahul)
Abhimanyu jaldi se ICU ward jata hai.
Patient ki condition critical hoti hai.
Is se pahle ki Abhimanyu kuchh kar pata
Rahul vahi dam Tod deta hai!!
Yeh baat pure hospital mai aag ki tarah fail jati hai.
Rahul ke parents and relatives hospital ko blame karte hai ki unki negligency Ke Karan unke bete ki maut hue hai.
Cardiology department mai sare OPD ke patient bheed Laga dete Hain.
ISI bich Ek ward boy health minister(Ruby ke father) ko call lagata hai Aur sari baat batata hai
{Ruby ke father heath minister, Dr Abhimanyu birla ke sabse bade Dushman hote Hain.
Kyu ki unko lagta hai abhimayu ke karan unki aur unki beti ki bahut badnami hui thi)
{Woh ish baat ka faida uthate hain aur media mai galat afwah faila dete Hain ki Dr Abhimanyu ke haato Hui ek bache ki maut . }
Tv And social media pe yeh news aag ki tarah fail jati hai.
Udaipur ki public Birla hospital ke gate pe pattharbaaji karne lagte Hai aur Hospital ki property ko nuksan pahunchane ki koshish karte Hain.
Harshvardhan birla ko yeh news milti hai aur woh ghar mai bina kuch bole chala jata hai.
Hospital mai us waqt har kisi ki entry band kar dete hai.
Harsh admin department mai call kar ke bolta hai abhimayu ko fire exit gate se bahaar nikalo .
Yaha public uske pichhe pari hai kyu ki kisi ne media mai galat news leak ki hai.
Senario 5
Place :- Birla house
aksu secretary ke phone call Ke Baad se hi pareshan hoti hai.
Ki tabhi usko arohi phone karti hai aur hospital mai hue tragedy ke bare mai baatati hai.
Aksu ka phone uske haath se gir jata hai.
Aur woh jaldi baji mai kisi ko bina bataye hospital ke liye nikal jati hai.
Dusri taraf hospital mai hajaron public ki bheed ekattha Ho jaati Hai.
Jo hospital ki property ko pathar se nuksan pahunchane lagte Hai.
Abhimanyu, staff ko police ko Call kar ke bulane bolta hai.
Tabhi ek ward boy ah kar abhimayu ko inform karta hai ki Harshvardhan sir ne aapko fire exit gate se nikalne bola hai.
Abhimanyu yeh sun Kar gussa ho jata hai aur bolta hai
Unko inform kar doh ish muskil waqt mai mai apne team ko chod kar kahi nahi jaunga.
Senario :-6
Place :- Birla hospital main gate
Aksu car leh kar ati hai per main gate mai kafi bheed hoti hai aur use andar jaane Ko Nahin milta.
Aksu car side mai park karti hai aur main gate se ander jane ki kosish karti hai but koi faida nahi hota.
Isi bich police force ki jeeb ah jati hai .woh log bheed ko hatane ke liye saath mai water tanker bhi late Hai.
Abhimanyu ko window se aksu dikhti hai jo bheed mai ghus kar gate ke ander ane ki kosish kar rahi hoti hai.
Abhimanyu yeh dekh kar shocked ho jata hai.
Woh jaldi se gate ki tarah bhaagta hai.
Isi bich police water tanker se pani fek kar public ko hatane ki kosish karne wali hoti hai.
Public yeh dekh kar idhar udhar bhaagane lagti Hai.
Aksu ko kuch samaj nahi ata woh daar jati hai kyu ki water tank ke pipe ka nishana uski taraf hota Hai.
Police ka ishara milte hi water tanker wala Pani start kar deta hai.
Yeh dekh kar aksu apni eyes band kar deti hai.
Per uske upar pani nahi girta.
Woh jab apni eyes kholti Hai To uske samne abhi khada hota hai jo water tankar Ke Pani se usko protect kar raha hota hai aur khud bheeg raha hota hai.
Aksu yeh dekh kar shocked ho jati hai
(This is the link of that water tanker scene which I want to see in abhiRa's story)
https://www.instagram.com/p/CL9BRo1jiLc/?igshid=YmMyMTA2M2Y=
...........Episode end.....
.......
Ps:- guys, this is fictional episode. I want to see this kind of episode so thought to write it and share with you all. I have taken the idea of water tanker from a Malayalam movie that scene link I already added.
Raji aka Rsrockz tum bhi tag Mai ho dear:)
59