The makers really want us to do the mehnat of reading that long letter on our own rather than showing a proper voiceover of what Bedi Saab wrote to Ajitš.....so I figured I'd do the honors for now cuz it's a lovely letter.
Bedi Saab said so much more in that letter than what was shown in the brief voiceover in the scene.....wonder why the makers feel more time needs to be spent on Swaran's sons shouting on her rather than showing a letter where Bedi Saab is speaking of Ajit's love for Swaranš.
Anyways, here is the letter transcribed:
"Duniyadaari ke ilaava baaki har cheez ki samajh hai meri Swaran ko....bas isliye darta hoon main. Isliye darta hoon main kyunki main usse bahut pyar karta hoon. Isliye darta hoon kyunki fikar hai mujhe. Mujhe lagta hai yeh chitthi padhne se pehle aap mere teeno beton se mil chuke honge aur unse milke aap ko yeh bhi samajh aa gaya hoga ki unhein shaayad bete kehlaane ka bhi haq nahin hai. Mere phool chunne se pehle shaayad woh meri chhodi hui cheezein chunne ki baat kar rahe honge.
Kayi baar sochta hoon kaash Swaran Ludo ki jagah Shatranj champion hoti - saamne waale ki chaal toh samajhti. Uske apne bete mohre chal rahe the aur woh rishte nibhaati reh gayi. Aap soch rahe honge - uff kitne dialogue maarta hai yeh Kanwal, hai na?š Lekin Ajit ji, yeh dialogue mujhe zindagi ne hi, zindagi se bhi zyada mere beton ne hi sikhaaye hain. Lekin agar aapko lagta hai ki mere bete badal gaye hain, toh phir aapko jaisa theek lagta hai, aap keejiyega. Bas apne aap se ek sawaal zaroor puchhiyega - ki kya Kanwaljit Bedi ke bete kaabil-e-yakeen hain? Kya un teeno beton pe bharosa keeya jaa sakta hai? Kya woh teeno meri Swaran aur uske Swaran ghar ka khayaal rakhenge? Nahin Ajit ji, woh teeno khudgarz aur maukaparast hain. Swaran ko emotional karke usko gol gol ghumaayenge, istemaal karenge uska sirf apne faayde ke liye aur Swaran ko pata bhi nahin chalega. Kyunki woh bechaari sirf dil se sochti hai. Aisi hai meri Swaran.
Mujhe aap pe pura yakeen hai, Ajit ji. Sirf aap par - kyunki agar kisi ne Swaran ko kabhi mere jitna pyar kiya hai, toh woh bas aap hain. Kyunki agar kisi ko Swaran ki mere jitni fikar hai, toh woh bas aap hain. Kyunki agar koi Swaran ka mere jitna khayaal rakh sakta hai, toh woh bas aap hain, Ajit ji."
Swaran ko aapki zaroorat hai, Ajit ji. Use mehfooz rakhiyega, bachaake rakhiyega is matlabi duniya se aur usse bhi zyada humaare teeno beton se. Agar aapko lagta hai main galat keh raha hoon toh please ek baat yaad rakhiyega ki Swaran sadak pe aa jaayegi - kuch nahin bachega uske paas. Meri request maan leejiye Ajit ji. Please haan bol deejiye. Please."