I normally put the news on on my drive to work but aaj dunno how I put desi radio channel on and it played ishq shawa, mushk shawa khushaamdeed e marhaba and I linked it to the fast pace phaadu episode . crazy stuff eh but anyway thats enough of my routine Anuj ki ore badhte haiš³
Mummy ko apne parivar aur ghar ko chodna pada sirf aapki wajah se
badnaam toh woh hai hi par ab barbaad bhi hongi woo bhi aapki wajah se, Mr Anuj Kapadia !!!
Anuj ka face change from sheer anger to confusion then poora shock ending with him closing his eyes in guilt...mann I could feel each and every frikkin emotion so clearly...and that guilt understone stuck with him then on throughout the episode.
He was back to being disgusted with Toshu calling his mum names and kept going back to his guilt after every few moments. his disgust again turned into anger when Anu was called characterless, that was a low blow..
He was seething with anger and was torn to see Anu shattered....
Toshu kept hurting his ago and made him the sole reason for all the problems in Anu's life...
The guilt trip was unbearable by now and now comes my favourite part when Anu turns around to face him and says Anuj....
meri wajah se Anupama sab meri wajah se, sahi kehke gaya hai wo Toshu, mai itne dino se sochta raha ke meri wajah se tumhe koi problem na ho , pareshani na ho lekin ye sab...the way he lifts his hand and the crackle in in his voice...gosh, I had gooseflesh again.
Toshu ne sahi kaha naa...that naa he said broke my heart a million times...
I've always said this ke Gaurav does such a good sad Dilip Kumar(he also shares birthdays with the legend btw)
Meri wajah se , sab meri wajah se, Anupama ko kya kya sunna pada sehna pada all because of me
jisse pyaar kiya usi ko itne dukh de diye, how could I ?
mujhe wapas hi nahi aana chahiye tha,
Anupama se milna hi nahi chahiye tha
kyu mai uski zindagi mein wapas aaya kyun???
mai Anupama ke aasuo ki wajah nahi ban sakta
jis dosti ki wajah se Anupama ko apne parivar se door hona pade uss dosti ka khatm ho jana hi sahi
mujhe wapas chale jaana chahiye, Anupama ki zindagi se bohot door, I have to !!!
and he bumps into a worried Anu, I'm loving her today btwā¤ļø
koi problem nahi hogi Anupama , mai door chala jaunga tumhari zindagi se, hamesha ke liye
I'm sorry Anupama sab meri galti hai
mujhe US se aana hi nahi chahiye tha
aur mai aya toh uss renuion party mein waha tumse kyu mila mai, meri galti hai, mai kyu aya mai...
*head bang , head bang, hand stop hand*š³ā¤ļø
nahi mai door chala jaunga Anupama bohot door chala jaunga
kahin nahi jayenge aap, suna aapne,
mujhe chokar kahin nahi jayenge aap!!!
duniya chahe jo samjhe mera dost mujhe chodkar kahin nahi jayega, baat khatam!!!
apne aap ko dosh matt dijiye, jo kuch bhi hua uski wajah aap nahi the, un logo ki galat soch thi
aapki koi galti nai hai, aapne kuch galat nahi kiya hai
arey nahi kiya toh kya farak padhta hai, galat toh ho gaya na Anupamaaa- this line was soooooo good and the way he stressed on maa in Anupama shows how badly he wanted to made everything alright for her.
then he goes mere jaane se bhi kuch thik nahi hoga mujhe yahin rehke kuch karna hoga
kya karne ki soch rahe hai aap?
mujhe tumahri family ki galt fehmi door karni hogi Anupama...mujhe kuch karna hi hoga
arey duniya nahi samjah sakti toh naa samjhe lekin unki galat fehmi toh saaf honi chahiye
tum galat nahi ho, mujhe unse baat karni hogi...
He just couldnt bear the fact that he was hurt because of him, duniya ke liye nahi Anu ke liye he wanted to make things right with Baa who Anu considers God..
Anuj aap shant ho jayiye, hum iske baare mein baadmein baat karenge
nai nai nai nai tumne mere liye stand liya tha na ab baari meri hai
the urgency in his words was evident, he couldn't even bear a moment of her unhappiness
tumne mera maan rakkha tha toh mujhe tumhara samman wapas dilana hoga
]how vividely he remebers her exact words from that night and how beautifully he linked it to getting her samman back
mujhe kuch karna hoga, karna hi hoga mujhe
yaar the way he walks back shocked hurt and baffled, top notch!!!
and poof he disappears!
Bad dua dena hai toh mujhe dijiye Baa Anupama ko nahin, Baa was probably singing mera piya ghar ayaš¤£
and the face off is on
aaj ye Anuj Kapadia apni baat kahe bina yaha se nahi jayega chahe kuch bhi ho jaaye
mujhe Anupama ki zindagi mein koi pareshani nahi chahiye
2 mins timer set
baat mere liye hoti toh mai samjhata,GK ke liye hoti toh mai dhamki deta
lekin yaha...yahaan baat baat Anupama ki hai
please mai haath jod ke vinti karta hoon, aap sab se
ki Anupama par keechad uchaalna bandh kar dijiye
Anupama ne zindagi mein sirf ek baat pyaar kiya hai..ek baar...tumse, his sorrow in that tumse was heartbreakingš(aur ye baat humne kal discuss bhi kar li š³)
aur tumne kya kiya...tumne Anupama ka dil tod diya,
uss toote hue dil mein koi baahr wale ke liye jagah hai hi nahin!!!
uske dil mein sirf uske bacche, Baapuji aur aap baste hai Baa
udd mujhse ye amzinglymidblowingawesomeness nahi sahi jaari
mujhe toh kabhi kabhi hairaani hoti hai ke Anupama aaj bhi Baa ko apni maa kaise maan sakti hai
(hum bhi ye soch soch ke bohot hairaan aur pareshaan hai Anuj)
Bataiyye....maa... *sniff of disgust done to perfection*
I know ki ANupama se nafrat karna aapka full time job ban chuka hai- ye maaraa sixer!!!!
aur main yaha aapko uss job se rokne nahi aaya hoon(kyu yaar rokde, spare us the torture)
jo karna hai kariye, par ek baat yaad rakhiye ke nafrat mnein bhi sharafat honi chahiye!!!!
woaahhhhhhh!!!!!
usse nafrat karte karte itna mat gir jaayiye ki jab aapki apni nazre khulein toh khud ki nazro mein bhi aap girr chuke hon
aap sab ko keechad uchaalna hai to mujhe par uchaaliye
badnaam karna hai toh mujhe kijiye
ochi baatein karni hai to mere liye kijiye
but please...please Anupama ko iss keechad se door rakhiye
apne mann ke mail ko iss pavitra Ganga mein matt dhoyiye
Anupama ka dil aaine se bhi zyada saaf hai Vanraj
chabbis ssal pehle na uske maan mein kuch tha aur naa aaj kuch hai
jab mai baahr wala hoke ye sab dekh sakta hoon toh aap log toh uske apne hai, aap sab ko ye kyu nahi nazar aata. kyu nahi dekh sakte aap log?
agar aasp log usse gussa hai naraaz hai to mujhpe gussa nikaliye
Baa aapko baddua deni hai naa aap please mujhe dijiye
tumhe taane kasne ho to meri liye kaso
aur tumhein haath uthana hai Vanraj toh mujhpe uthao, GK ki kasam khake kehta hoon ke mai tumhe rokne ke liye haath aagey nahi karunga but please...please for God's sake Anupama ko jeene dete hai na yaar...
he tried reasoning, justifying and even requesting, what more can he do
har galti meri hai, sab maine kiye hai Anupama ne kuch nahi kiya hai
tum logo ko ANupama se naraaz rehna hai toh raho naraaz, kam se kam uske dil ko roz chalni toh matt karo, aosa karne se wo bikhar jaayegi...bikhar jayegi woh...awwww Anujš¤š¤š¤
iss jhoot fareb aur dhoke ki duniya mein bas ek sach aur saadgi ka mandir hai aur aap
iss ghar pe aane ka mera koi haqq nahi par farz hai, ek dost hone ka farz aur main apni wajah se apni dost ko til til kar marte hue nahi dekh sakta, mai sirf apne dost ke liye...
Anupama mujhse pyaar nahi karti
Anupama pe ilzaam lagana bandh kar
Haan...haan mai pyar karta hoon Anupama se.....
Edited by hinz - 3 years ago
1