Chapter-2
Aj Kalyani ka Radio Goonj ki intern ke taur par pehla din tha. Kalyani khush thi ki ab vo bhi kahaniyan likhegi, pyar par, dosti par aur zindagi par, theek vaise hi jaise RJ Malhar sunata hai har raat nau baje. Vaise hamari Kalyani ke paas job offers ki kami nahi thi, magar fir bhi usne vo sab chhori...sirf ek sawaal ke liye...ki jiski kahaaniyan dil ko teer si beendh jati hain, jiski awaz mein sawan ki ghaneri raat ki tarah Kashish hai, vo RJ Malhar akhir hai kaun?
"Hello pretty lady," ek lambe se ladke ne Kalyani ka raasta rokte hue kaha.
"Sorry, magar aap kon hain?"
"Aap pakka mazaak kar rahi hai na," us ladke ne haste hue kaha, "RJ Atharv ko kaun nahi janta? After all, I'm the best RJ in Delhi aur Radio Goonj ke trustee ka beta bhi hoon."
Pata nahi kyon, Kalyani ko Atharv kuch ajeeb laga. Kalyani ne uska show sunne ki koshish ki thi magar uski baaton me ek banavtipan sa tha. Tabhi ek ladki daudti hui darwaze se bahar nikli. Atharv uske peeche chillaya, "Are Sampu suno to."
"Wo ro rahi thi kya?" Kalyani ne darwaze se jhaankte hue kaha.
"Kar bhi kya sakti hai bechari, us RJ Malhar ne kapde ki gudiya ki tarah khelkar use fenk diya, jab usse jee bhar gaya to."
Jab shaam ko Kalyani ghar lauti, to kahin kucch toot sa gaya tha, par kya ye Kalyani nahi jaanti thi. Ab jankar bhi kya karna tha use, tukdon se haathon ko kharonch hi lagti hai. Usne soch liya tha fir kabhi RJ Malhar ko nahi sunegi par pata nahin kyon khud ko rok hi nahi payi...
"Kalyani, tumne bahut koshish ki hogi khud ko rokne ki magar tum to meri saans ke har dhaage se bandhi hui ho. Tum kahin bhi ho, samay ke kisi bhi chhor me, meri awaz tumhari udaasi aur hansi ke nishaan dhoondh hi legi.
I wish ki meri life me bhi koi Kalyani hoti, tab tak aap listeners aur is kahaani ka hi sahara hai. To fir apni Kalyani ghar ke andar gayi aur usne dekha uske Baba alag alag falon ki jelly laye hain. Kalyani khushi se ucchal padi.
Maharajin ne tashtariyan sajaai. Kalyani ke muh me paani aa raha tha magar kya kare, jab tak Atul pehli jelly na kha len, tab tak vo unhe haath bhi nahi lagayegi. Akhirkar, Atul ne ek hare rang ki jelly khai. Kalyani ne raahat ki saans li kyonki use to apne pasandeeda fal annanas ki jelly khani thi aur use vo kisi se nahin baant sakti thi, apne baba se bhi nahin. Jeebh ko hothon ke cchor par firakar usne annanas ki jelly ki taraf apna haath badhaya hi tha, ki Dr. Malhar ne jelly uthai aur gap se use kha gaye. Kalyani ne kisi tarah apne man ko dilasa dekar doosri jelly khani chahi, par Dr. Malhar ne use bhi kha liya. Ek ek karke Dr. Malhar ne saari Annanas ki jelly kha li. Kalyani man hi man kudkudakar reh gayi. Usne ab us doctor ko sabak sikhane ki thaan li. Khaane ki mej se vo kuch is tarah uthi ki apni jootiyon sahit Dr. Malhar ke pair par khadi ho gayi. Dr. Malhar ke muh se naa chahte hue bhi ek karah nikli.
"Annanas ki jelly kaisi lagi apko?" Kalyani ne badi masoomiyat se Dr. Malhar se poocha.
Dr. Malhar muskurae aur kaha, "Bahut acchi."
Kalyani muh bichkakar chalne lagi to Dr. Malhar ne kaha, "Hee mulgi vedi ahe."
Kalyani ne palatkar kaha, "Me vedi nako."
Dr. Malhar sakpakakar bole, "Tumhe Marathi aati h?"
Kalyani boli, "me Marathi mulgi ahe. Mujhe kyon nahi aegi Marathi?"
Kalyani apne kamre me gayi to use ek neela jhola mila. Jhola khola to usme kai dibbe the. Kalyani ka man to nahi tha kuch bhi karne ka rone ke sivaay magar fir bhi usne ek dibba khola. Usme annanas ki jelly thi. Kalyani ne har dibba khol dala. Sabme Annanas ki jelly thi.
"Zaroor Baba laye honge mere liye."
Udhar Malhar nischint tha ki uska Uphaar Kalyani ke chehre par ek muskaan zaroor le ayega.
Isi ke saath suniye ye gaana. Jaane kya chahe mann baawra.