PART 9
Ishita hold shagun's hand and said-trust me shagun,main joh bhi kar rahi hoon,tumhare achche ke liye hi kar rahi hoon.
Shagun-isme mera kya achcha hai,akka.aap mujhe Raman aur ruhi se dur kar rahin hoon,jabki aap jaanti hai ,unn dono par aapse jyada mera haq hai.aapke jaane ke baad maine sambhala hai unhe .woh dono duniya hai meri,I love them.she said faking tears .
Ishita-but ab main wapas aa gayi hoon.aur issliye main chahti hoon ki tu apni zindagi mein aage badhe.raman tujhse pyaar nahi karte,phir kyun tu unke liye apni zindagi kharab karna chahti hai.stop doing this to u,apni nayi zindagi shuru karne ke liye ,tujhe iss purani zindagi ko bhoolna hoga,bhoolna hi hoga .samajh rahin hai tu.
Ishita was saying to make shagun understand when Mr bhalla said-puttar,tu aise kaise shagun ko jaane bol sakti hai.
Ishita-papa ji please,let me talk.yeh meri behan ki zindagi ka sawaal hai aur yahan rehna uske liye sahi nahi hai,issliye usse jaana hoga.
Toshiji-aap chup rahiye,bhalla ji.ishita puttar sahi keh rahin hai.shagun yahan se jayegi,tabhi zindagi mein aage badh payegi.haan shagun puttar,tu apne ghar jaa.yeh teri behan ka ghar hai .she said in sugar coated words.
Shagun look at his parent,then at Raman and finally at her parent.
Shagun-raman,aap toh kuch boliye.kabhi toh mera saath dijiye.maine itna waqt bitaya hai aapke saath,aapka ghar sambhala hai ,aap toh mujhe rokiye.
Raman-i think ishita is right ,tumhe aage badhna chahiye.
Shagun look at her parent and they were also have the same opinion.seeing no other option she walked out of the mansion with her parent.
Amma-appa was going when ishita walked to them and said-hope aap log samjhne ki koshish karenge,ki maine joh bhi kiya ,shagun ke liye kiya.waise toh mujhe apna koi bhi rishta yaad nahi,par umeed karti hoon,aap log apni beti ko samjhenge.
Amma-appa hugged her and said-hum kabhi iss rishte ke liye ready nahi the,kyunki hum jaante the ki Raman kabhi bhi shagun ko tumhari jagah nahi dega,shagun ne jabardasti ki thi iss shaadi ke liye,ruhi ko paalne ke liye .but jab se tum wapas aayi ho,hum khud chahte the shagun ko wapas le jaana,kyunki woh iss ghar mein kabhi khush nahi reh sakti.but woh ready nahi thi,thanks to u ,we r taking her home.
Ishita smiled and said-aap log chinta mat kijiye,hum shagun ki shaadi bahut achche ladke se karenge aur usse woh saari khushiyan milegi jiski woh haqdaar hai.she said and her parent went out .
Toshiji got happy with the turn of events while Mr bhalla was feeling that everyone took advantage of shagun's goodness.he walked to his room without saying a word.
Ishita look at him and said-papa ji naraz ho gaye mujhse.maine unki baat ka maan nahi rakha.
Toshiji-aisa kuch nahi hai ,puttar.sab thik hai,aur joh nahi hai woh bhi ho jayega.tu khush reh,she said and kissed ishita's temple.
Toshiji walked inside the room and Raman was about to ask ishita the reason behind her action when ruhi came to her and said-mumma doodhu.
Ishita picked her in her arms and went to kitchen to bring milk for ruhi.
In senior bhalla's room,
Mr bhalla-mujhe ishita se yeh umeed nahi thi.woh toh itni samajhdaar hai ,usne aisa kaise kar diya.shagun ke saath aisa kaise kar paayi woh.arey uss ladki se iss ghar ko kitna sambhala,uski bachchi ko kitna sambhala aur aaj ,ishita ne uske saath kya kar diya.
Toshiji-aap jyada shagun ka side mat lijiye.woh itni bhi achchi aur seedhi nahi hai ,jitna aap usse samjhte hai.pehle kuch din usne ruhi ka khyaal rakha tha,phir toh aaya hi dekhti thi ruhi ko .uska sirf ek hi maksad tha,Raman ko jeetna.
Mr bhalla-toh galat kya tha,woh biwi thi uski .agar uska pyaar expect kar rahi thi toh kya galat tha.
Toshiji-mujhe nahi pata,aur naa main jaanna chahti hoon,ki kya galat tha shagun mein.main bas itna jaanti hoon,ki mera puttar ishita se pyaar karta hai aur mujhe sirf uski khushi chahiye.aur shagun chali gayi,yeh uske khud ke liye bhi achcha hai,kyunki Raman usse kabhi pyaar nahi karta.aur ab mujhe iss par koi behas nahi karni.she said and went out .
In car,
Shagun-aap logon ko toh hamesha akka hi sahi lagti hai,dekha aap logon ne,aaj unhone mere saath kya kiya,maine apni zindagi ke teen precious saal diye unko aur unke parivaar ko,aur unhone mujhe ek pal mein uss ghar se nikal diya.main toh seedhi hoon,unki izzat karti hoon,issliye aa gayi,but kya koi aur ladki iss tarah apne haq chodti.akka ne bahut galat kiya mere saath,bahut hi galat aur iska jitna bhi clarification de woh,yeh sach badal nahi sakta,she said faking tears while amma-appa look at each other hearing her.
Amma-mujhe bhi nahi samajh mein aaya ki ishu ne aisa kyu kiya,itna toh bharosha hai mujhe apni ishu par ki woh kisi ke saath kabhi galat nahi kar sakti,but I really didn't understand the reason behind her this decision.
Shagun-aapko nahi pata but mujhe pata hai,akka selfish ho gayi hai,woh mujhse Raman aur ruhi ko chinna chahti hai.
Appa-shut up shagun,yeh kya bol rahi ho,itna toh socho ki woh tumhari akka hai,woh tumhara galat kabhi nahi sochegi ,jarur koi baat hogi.
Shagun-wahin toh main bhi soch rahin hoon,ki meri bewakoof aur emotional akka ne mujhe iss tarah ghar se kyun nikaal diya .aakhir aisa kya ho gaya ki woh itni practical ho gayi,she thought and start thinking reason behind ishita's behaviour.
On other hand,
Ishita made ruhi sleep and was going to her room when Raman came and said-tumne shagun ko iss tarah jaane ko kyun kaha??
Ishita-kya hua,kuch galat kiya kya maine??
Raman-nahi,main bhi yahin chahta tha,but tumne kyun kiya.main tumhe achchi tarah jaanta hoon,koi toh reason zarur hoga tumhare iss behaviour ke peeche and I want to know this.
Ishita-aisa kuch nahi hai,raman.she said and went to her room.
Raman went behind ishita and said-nahi,batao mujhe Ishita,aisi kya baat hui ki tumne shagun ko ghar jaane ko keh diya,answer me.he asked and Ishita turn to him,and in place of saying anything she just hugged Raman tight .
Raman got startled by her sudden action.he caressed her hair softly and said-kya hua,ishita??itni pareshan kyun ho??
Ishita-uski koi galti nahi hai ,raman.uski koi galti nahi.she said slowly making Raman confused.
Raman-kiski ishita??
Ishita look at him and said-shagun ki.
Raman-main kuch samjha nahi .
Ishita-uska ek boyfriend hai,she said making Raman shocked.
Raman-kya??
Ishita-haan,shagun ka ek boyfriend hai.aaj jab main uske peeche gayi thi,yeh soch kar ki woh bahut sad hai,maine usse ek ladke ke Ghar jaate dekha.maine ander dekha toh woh dono gale lage hue the aur,
Raman-aur??
Ishita-kiss kar rahen the.she said meekly.
Raman-aur uski galti nahi hai??
Ishita-haan woh galat hai,but galti uski nahi hai.agar kisi bhi insaan ko pyaar nahi milega toh woh ussi dusri jagah dhoondhega.aapne shagun ko pyaar nahi kiya,tabhi woh kisi aur ke kareeb chali gayi.uski galti hai,but hum toh uske bade hai,uski galti maaf karke usse zindagi mein aage badhne mein help kar sakte hai,naa raman.she said making Raman look at her.
Ishita-hum uske akka-jeeju hai ,hume uski takleef samjhni chahiye .usse iss rishte se aage badh kar ,zindagi mein move on karana chahiye.woh zindagi bhar yahan aapke pyaar ki hope mein toh baithi nahi reh sakti naa,aap samajh rahen hai naa,main kya keh rahin hoon.she said trying to make Raman understand while he was smiling hearing her acknowledging them as one identity.
Seeing him saying nothing,she said-boliye naa Raman,aap samajh rahen hai naa meri baat.aap shagun se gussa nahi hai naa??
Raman-nahi jaan,infact I am really happy ki shagun ki zindagi mein koi aur hai.main guilt free ho gaya .and ofcourse,hum shagun ki shaadi uss ladke se karwa denge,Dhoom dham se.
Ishita-aap kisi ko yeh baat batayenge nahi naa,warna sab shagun ko culprit samjhenge.jab ki uski galti nahi hai,pyaar karna kisi ke bas mein nahi hota.i know she is wrong to cross her limit,she was saying when he said-u don't need to give explanation to me,jaan.i do understand and don't worry,main kisi ko kuch nahi kahunga.he said and ishita hugged him smiling while he too wrapped her in his arms lovingly.
That's all for now,enjoy.