#2 chahun naa phir kyun naa tujhe,pt 17 on pg 144 updt on 13/8 - Page 33

Created

Last reply

Replies

982

Views

72k

Users

80

Likes

3.9k

Frequent Posters

suwathi78 thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 5 years ago

Plz update soon dr

Plz



Update



Soon

Dear

cutieruhi thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 5
Posted: 5 years ago

PART 6

Raman look at ishita and said-i think now u r exaggerating the things,Ishita.maine itna bhi kuch bura nahi kiya tha tumhare saath.i mean I gave u every freedom,tumhe koi kuch bhi karna se nahi rokta tha,apne mann ka khana,apne mann se ghoomna-phirna,nobody ever stopped u from doing anything.

Ishita smiled and said-maine kaha tha naa,aap nahi samjhoge.

Raman-achcha sorry,I will not presume anything .tum bolo.

Ishita-haan yeh sach hai, aapne aur mummy ji ,papa ji ne mujhe kabhi kisi cheez ke liye nahi roka .aur iss wajah se aap sabki bahut respect bhi karti hoon,but shaadi sirf freedom haasil karne ke liye toh nahi hoti naa,warna apne parent se jyada freedom kaun de sakta hai .marriage has some more wider concepts ,raman.pyaar , companionship,ek dusre ko support karna,achche aur bure har waqt saath nibhana,yeh sab clause bhi toh included hote hai naa,aur yeh sab kahan tha hamari shaadi mein,yaa phir I should say,aap kahan the iss rishte mein yeh sab nibhane ko.7 din ,raman.shaadi ke 7 din tak main akeli thi uss ghar mein,sirf mummy ji-papa ji the,mujhe unn dono se koi shikayat nahi hai,kyunki unn dono ne bahut pyaar diya mujhe,but unka pyaar aapke pyaar ki kami ko kabhi pura nahi kar paaya.that one week ,I was just their daughter in law,not ur wife.aapko toh shayad yaad bhi nahi tha,ki kisi se shaadi ho gayi hai aapki.issliye hi aapne mujhe kabhi call bhi nahi kiya.

Raman-main busy tha.

Ishita-haan bahut busy,itne ki apni nayi naveli dulhan ko ek baar phone nahi kiya,yeh puchne ke liye bhi nahi ki kaisi ho??

Raman-jungle mein nahi thi,mere ghar mein thi tum??maa-papa the tumhare paas.

Ishita-but aap toh nahi the naa,maine shaadi aapse ki thi,unse nahi .mera rishta aapse tha pehle,Raman .unse nahi.chaliye chodiye iss baat ko,shayad aapke liye important nahi,aur maine bhi socha shayad bahut jaruri kaam ho aur aapke wapas aane ke baad sab thik ho jayega, but kuch nahi hua.u didn't even hugged me after coming back,main wait kar rahi thi ki kab aap wapas aayenge aur mujhe pyaar se gale lagayenge,but woh pal aaya hi nahi .

Raman-we have that night together,shayad bhool rahi ho tum.

Ishita-bhool toh aap jaate hai Raman,ki kisi ko pyaar karne mein aur kisi ke saath raat bitane mein fark hota hai,it wasn't love,but a ritual which happens between a husband and wife.uske aapke pyaar ki warmth nahi thi,it was nothing ,just pure physical intimacy.

Raman-main koi film ka hero nahi tha,Ishita,ki har waqt romantic rahun,I was a businessman,a bidding entrepreneur,naya naya business kar raha tha.bahut kuch haasil karna tha mujhe,issliye jyada busy rehta tha,but that never meant ,ki maine tumse pyaar nahi kiya,yaa tumhari kadar nahi ki.

Ishita-phir toh discussion hi khatam ho gaya.mujhe pata tha,yeh sab bahut aam cheezein hai,badi nahi lagegi aapko,but mere liye thi ,I was alone in that marriage,aap mere paas apni sahuliyat ke hisaab se aate the,aapko pata hai Raman ,ek baar meri tabiyat bahut kharab ho gayi thi,main behosh ho gayi.i had to go to hospital .aapko pata hai mujhe kya hua tha?

Raman nodded in no.

Ishita-main teen raat se soyi nahi thi,issliye behosh ho gayi thi.unn teeno raat ,I was just waiting for u.aapko har ghante phone karti thi ,aur aap kehte the,bas aa raha hoon.aur main pagal ki tarah aapki baat maan kar,aapka wait kar rahi thi.doctor ne phir mujhe neend ka injection diya tha and I slept for next two days,aap tab bhi nahi aaye , Adelaide chale gaye the shayad.

Raman-tumne yaa maa ne kabhi mujhe bataya nahi iske baare mein.

Ishita-sab kuch bataya nahi jaata ,raman.kuch cheezon ka hisaab khud rakhna padhta hai.apni biwi ka khayaal khud rakhna padhta hai,woh har baar aapki attention ke liye aapko bolegi nahi.u know Raman,shaadi mein communication bahut jaruri hoti hai,aur woh nahi thi hamari shaadi mein,kyunki aapke paas waqt hi nahi tha mere liye,meri problems ke liye,meri khwahishon ke liye,bas ghar aur paisa de diya aur soch liya,ki main pati hone ka har farz nibha raha hoon ,but nahi nibha paaye aap,aap pati hone ka farz nahi nibha paaye,Raman.she said looking straightly into his eyes.

Raman-well,shayad maine bahut galtiyan ki iss rishte mein,par har galti meri nahi thi,divorce paper bhejne ki galti toh tumne bhi ki thi.

Ishita-yes,that was indeed my fault .aap mujhe jaante bhi nahi the,aur maine umeed kar li ki aap mera divorce paper bhejne ka maksad samajh jayenge.main bewakoof thi ,toh socha ki shayad ab aap aayenge mere paas aur mujhse puchenge ki kya galat hai hamare rishte mein,kyun tum mujhe chodna chahti ho,but I wrong,I was totally wrong,aap nahi samjhe aur woh divorce papers sign karke mujhe wapas kar diya.

Raman-i was hurt,to be true,my ego was hurt,ki har kuch karne ke baad bhi u were not satisfied .

Ishita-actually galti aapki nahi thi, meri hi thi.middle class hoon naa,yeh samajh hi nahi paayi ki upper class mein aap apne husband se paise,cars,gift aur credit card to expect kar sakte hai,but time aur pyaar nahi.actually apni zindagi mein amma-appa ka rishta dekha tha,aur filmon mein hero ki mohabbat,toh practical nahi ban paayi thi.waise achcha hi hua aapko chod diya,waisi zindagi aaj bhi jee nahi paati, jahan ghar ke log ek dusre se aamne-saamne nahi,telephone par baat karte ho.itna khokhla rishta hota hai kya,aur hota hai ,toh chalta hai kya??she asked looking at him.

Raman look down and said-hamara rishta sach much itna khokhla tha??

Ishita-rishta tha hi kahan ,raman.kahan tha rishta,agar hota toh uske tutne ki chot yahan lagti,aapke dil par.she said pointing towards his heart,yahan nahi,she said pointing towards his head.

Ishita-jis rishte mein ego aa jaata wahan aur kuch nahi hota,kuch bhi nahi.sab kuch thik hone ki umeed bhi nahi.aapse toh bas naam ka hi rishta tha,aur divorce papers dene ke baad,mummy ji bhi gussa ho gayi.kyunki unki nazar mein unka beta galat nahi tha,bete waise bhi kahan galat hote hai, galti toh bahu ki hi hoti hai,waise woh bhi galat nahi thi,aaj maa banne ke baad samajh mein aata hai,logon ko apne bachchon ki galti kabhi dikhti hi nahi.

Raman-tumne bachchon ke baare mein bhi nahi bataya??

Ishita look at him and said smiling-haan nahi bataya,but issliye nahi ,kyunki batana nahi chahti thi,balki issliye kyunki the Raman Kumar bhalla se milna bahut mushkil hai.jab aapki biwi thi,tab bhi nahi mil paati thi,aur uske baad toh milna impossible tha.aapke office gayi thi main, receptionist ne pucha, appointment hai??maine kaha nahi,toh usne jawaab diya,then u can't meet.maine kaha,ek baar mera naam bata dijiye,shayad woh milna chahe mujhse ,toh jawaab mila,sir kisi se nahi milte.main wapas aa gayi,phir bhalla mansion gayi ,socha mummy ji ko bata doon ,but unhone meri baat bhi nahi suni.mujhe ghar se nikal diya,aur watchman se keh diya ki mujhe kabhi ghar mein ghusne naa dein.

Raman-i am sorry,mujhe nahi pata tha ki tumhare saath yeh sab hua hai .

Ishita-aapko kaise pata hoga,raman.maine kaha naa aap the hi nahi iss rishte mein,main akele nibha rahi thi usse.itni akeli ki court ke instructions ke according marriage counsellor ke paas bhi akele jaati thi.aap kabhi nahi aate the,waise bhi aapko bachana hi nahi tha yeh rishta.aap toh itne busy the ki divorce ki final hearing mein bhi nahi aaye the .

Raman-main tumhe jaata hua nahi dekh paa raha tha.

Ishita-jhooth,jhooth jhooth,raman.bilkul jhooth.aap nahi aaye kyunki aapko koi fark nahi padta tha.

Raman-but I send those cheques for u.

Ishita-5 crore ke 5 cheque,jisse kabhi encash nahi karaya maine . paise nahi chahiye the,aap chahiye the mujhe.iss rishte mein mujhe sab kuch mila ,raman.siva aapke,aur mujhe aapke sive kuch chahiye hi nahi tha.

Raman close his eyes not able to hear anything more when she said-main phir gayi thi aapke office, appointment le kar ,aapse milne.but aap tab bhi nahi mile,infact ek bada saa format mila,jisme apne naam,occupation aur visit ka reason likhna tha,usse chaar log approve karte,phir woh paper aap tak pahunchta.nahi samajh aaya ki kaise likhun,ki apni pregnancy ke baare mein batane aayi hoon,kyunki kuch personal toh tha hi nahi.apne pati ko ,sorry ex pati ko apni pregnancy batane ke liye,usse chaar aur logon ko batana thik nahi lagaa mujhe,toh ek aakhiri raasta try kiya,aapko mail kiya.isnt it funny,apni pregnancy apne pati ko batane ke liye mujhe unko mail karna pada .mail kiya,phir intezaar kiya,aur hamesha ki tarah,sirf intezaar hi mila mujhe.aap aaye nahi,balki adi -rooh aa gaye ,meri zindagi puri karne.uske baad koi kami nahi rahi,koi bhi nahi.issliye uske baad kabhi koshish bhi nahi ki aapko contact karne ki.

Raman-jab maa ne tumhare saath itna bura behave kiya toh tumne appa ko kyun nahi bataya,bataya toh unhone kuch kiya.

Ishita nodded in no and said-nahi bataya,Amma cancer ke last stage pe thi,aur main pregnancy ke pehle trimester mein,appa kya kya handle karte,issliye unhe kuch nahi bataya.infact I was waiting for mummy ji,on Amma's death,but woh aayi hi nahi.shayad unhe pata hi nahi chala,yaa phir woh aana hi nahi chahti rahi ho.joh bhi ho,I tried,I tried to tell u everything,but ek waqt ke baad ,maine try karna chod diya.apne bachchon mein apni khushi dhoondh li,aur ab main khush hoon,kyunki kisi se koi umeed nahi karti ab.but aaj bhi aapse ek umeed hai,aap mujhse mere bachche nahi chinenge.kyunki mere paas bas wahin hai,naa bahut paisa naa property.meri asli daulat wahin hai,please let them be with me,please raman.she said and gone silent.

Raman thought to say something but like he couldn't find the appropriate words,so he just gor up and was going but turned and said-so jao,it's really late.

Ishita-aap jaiye,main aati ho.

Raman-i am waiting,he said settling next to her.

Ishita didn't said anything just went inside.raman too went to his room but sleep was far away from his eyes.her words were echoing in his mind.suddenly something click his mind and he took his phone and start searching for her mail.

As he has few more IDs,he wasn't getting the mail.Raman was searching badly for it and finally after hardwork of about an hour,he could finally find it.

He closed his eyes to compose himself and then open it with shivering hands ,and read it.

Hello Raman,kaise hai.hope u r fine.aap tak pahunchane ki bahut koshish ki,but kisi tarah nahi pahunch paayi.issliye yeh aakhiri koshish kar rahi hoon.mujhe aapse kuch share karna hai,raman.i am pregnant,that to with twins .aap papa banne wale hai .

I don't know aapki zindagi mein ab mera kya status hai,but being ur kid's mother,I want u next to me,raman.mujhe aapki zarurat hai iss samay,agar aap ek baar mujhse milne aa jayenge toh bahut achcha lagega mujhe.i know u r very busy ,but I really need u now,please for once,aa jaiye ,Raman.

Ishita

Raman read it and start feeling more guilty for not reaching out to her when she needed him the most.

That's all for now,enjoy.

monaparekh2 thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 5 years ago

Awesome update hope now Raman rectify his mistake continue soon

sreeu12345 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 5 years ago

Very emotional update,


Please next update without teaser asap...soon...

ishrarudi06 thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 5 years ago

Emotional update

Poor Ishita

Hope Raman soon realizes his mistake

And he correct his mistake

Can't wait for next part

Plz continue soon

cooldilkaur thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 5 years ago

Emotional update di

Ishita was hiding so much pain😢

She didn’t get any affection from raman

Got only wait and loneliness 😢😢💔

Ohhh so they were asked for counselling as well but raman didn’t go there also😭😭

Understood that he couldn’t see her going away but at least he could have tried ☹️☹️

Poor ishita.....she tried so many ways to reach raman

She handled her pregnancy almost alone since her amma was unwell too😭😭

Raman is now feeling the most guiltiest person since he was not there with her🥺🥺😢😢

Lets see what he will do now

Ty 4 d pm too di

Kavya_P thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 5 years ago

Awesome chappy Di

Emotional too

Poor ishitha

Update soon Di

Thanks for Pm Di

Sorry for the late reply Di

divancute thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 5 years ago

Emotional update di

Totally loved it so much

Ishita was hiding so much pain in her. She didn't get any love and affection from raman. Only loneliness and waiting for raman in her life. Poor ishu. She tried all ways to convey her pregnancy message to him but she can't able to make it. And she handled her pregnancy alone because her amma was fighting for cancer. Now raman is feeling guilty because he wasn't there when she needed him most.

Thanx for the pm

Updt soon

Divzzzzz thumbnail
Posted: 5 years ago

Amazing concept dude!!!!! Thnx for the pm😘😘😘continue soon

Divyal thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 5 years ago

A very emotional update Raman is very workoholic that he doesn’t have any feelings and even now he is not understanding anything about what he has done what will happen to the children if he is like this what will happen to Ishita and children now please update next part soon to know about it

Related Topics

Ye Hai Mohabbatein Thumbnail

Posted by: TheStranger

1 months ago

Jo Ab Tak Kisine Kabhi Naa Kiya

Chhua Tune.................... Beh Gaya Main.................HEERIYEEEE Jo_Ab_Tak_Kisine_Kabhi_Naa_Kiya Ishq Aisa......Ishq Aisa......CHAHIYEEEE...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".