Pyaar ki ek kahani suno (Viditi FF)(COMPLETED)

Babygirl728 thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#1
Hi everyone, maine Dongari ka Raja movie dekhi aur ye idea mere dimag me ghusa. Ye prologue hai and character sketch kal tak update kar dungi. So read & enjoy.
***************************************************
Prologue :-
Kya apko ye nikah kubool hai?
       Qubool hai
Kya apko ye nikah qubool hai?
        Qubool hai
******************
Ye nikah ni shuruaat hai apki barbaadi ki
*******************
Humare sacche pyaar ka mazak banaya apne ab iski kimat apko chukani hogi...
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
So guys kaisa laga ye prologue comment kar k batana jaroor.
Edited by Babygirl728 - 6 years ago

Created

Last reply

Replies

130

Views

13326

Users

8

Likes

200

Frequent Posters

mitras thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#2
Kiska nikaah padhva diya ...
sounds interesting
Angel500 thumbnail
Anniversary 5 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#3
Very interesting can't wait to read the story
Babygirl728 thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#4
Character sketch :-
Raja: Dongari ka Raja,raja in all terms and adopted son of,gangster Mansoor Ali. Bindaass,mast malang,apne abba huzoor k kehne pr kisi ki bhi jaan le skta hai,apni ammi jaan and choti behen se sabse jada pyaar karta hai. Murder to roz ka hai uska.
Noor Sayyid: Daughter of businessman Sikandar Sayyid, apne abbu ki ladli. Masoom,bholi,shant aur dayalu. Raja se bilkul alag nature ki. Khoobsurat itni ki kisi ka bhi dil aa jaye.
Jiah: Baby sister of Raja,khoon ka rishta ni pr pyaar dono bohot karte hai ek dusre se,ammi ki shadi ki zid se pareshaan hai,pr uska bhai jaan hamesha use bacha leta hai.
Mansoor Ali: Gangster of Mumbai,5 saal k Vikrant ko adopt kar k use Raja banaya,but uske iraade nake hai ya ni yeh sirf wohi janta hai.
Shabeena sheikh: wife of Mansoor Ali,ammi jaan of Raja and Jiah. Anath Vikrant/Raja ko maa ka pyaar dia hai. Sweet,kind & terribly excited for her kids' marriage.
Sikandar Sayyid: Noor k abbu. Lucknow k sabse bade businessman and Mansoor k sabse purane & ache dost. Noor se abse jyada pyaar karte hai.
Ali Sayyid: nephew of Noor. 4yrs. Old. Sabko apni ungali pr nacha leta hai.
***********************************
Guys Raja/Vikrant ka look Dongari ka Raja wala hi hai. & Noor (Heena Parmar) ka Anarkali wala look hai.
First part jaldi post karungi.
loveinshi thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#5
character sketch kafi interesting hai babygirl! do continue soon
mitras thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#6
Characters are interesting 
Babygirl728 thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#7
Chapter -1
(Mansoor ka addda)
Raja: abba jaan kaam ho gya
Mansoor: tujhe ye kehne ki jaroorat ni,tu kabhi bina kaam kiye wapsa thodi lauta hai,tu mera sabse kabil sipahi jo hai
Raja: bas sipahi,beta ni?
Mansoor: beta bhi hai par abhi dhandhe ka waqt hai.Khair tune apni ammi ko phone kia?
Raja: ha abba hujoor kar dia aur unhone jaldi ane ko kaha hai,aaj jaldi ane ko kaha hai,iftar k jashn k liye jana hai na?
Mansoor: ha chalo chalte hai,waise bhi 20 saal k baad milunga Sikandar se.
(Mansoor ka ghar)
Ammi: offo Jia sudhar jao,aap se kitni baar kaha hai apne kaam khud kijiye,na to aap wo karti hai aur na hi khana banana sikhti hai,nikah k baad shauhar ko kya jala hua khana khilayegi?
Jia: uff ammi jaan aap bhi na khamaka har baat ko nikah se jodti hai,sirf ek baar abbu ka naam lenge toh shaur kya shauhar ka pura khaandaan humare liye khana pakayega.
(Mansoor & Raja entry)
Mansoor: bilkul theek kaha humari shehzadi ne
Jia: dekha ammi jaan ab toh abbu ne bhi keh dia aur waise bhi hum mannat mangi hui beti hai,agar kaam karenge toh kaisa lagega?
Mansoor : bilkul theek kaha Jia ne,waise bhi begum humari shehzaadi raaj karne k liye paida hui hai rasoi k kaam karne k liye ni
Ammi: lekin malik
Raja: oho ammi jaan aap yunhi tension le rhi ho,nikah toh tb hoga iska jb koi isko ha bolega aur apni shamat kon chahta hai?
Jia: hawww? Hum shaamat hai? Aur aap toh aise keh rhe hai jaise apke liye ladkiyo ki line lagi hai k app uss me se kisi se nikah kare? Kyu?
Ammi: agar ni lagi hai toh lag jayegi,aaj iftaar ki dawat me hum ek achi si ladki apne Raja k liye pasand karenge.
Raja: kya? Pr kyu? Ammi aap isse hat kar humari shaadi pr kyu aa gyi?
Ammi: Raja hum kuch ni sunenge,aap k liye hum ladki aaj hi chunge aur na chalne ki sochna bhi mat
Raja: par...
Mansoor: Raja behas mat kar aur chal taiyar ho ja
Raja: ji abba huzoor
(Sayyid house)
Sikandar: Mansoor sheikh, salaam mere yaara
Mansoor: Sikandar salaam yara
Ammi: salaam bhai jaan
Sikandar: salaam bhabhi jaan,aur ye dono
Mansoor: ye meri beti Jia hai aur ye hai Raja,tujhe yaad hai yeh?
Sikandar: ha Raja,are ha paanch saal ka tha jb pichli baar mila tha,aao bhai gale milo
Raja: ji
Jia: salaam chacha huzur
Sikandar: salaam betiya
Sikandar: arre jamaal,ye bhabhi jaan aur bitiya ko begum k kamre me jao. Bhabhi jaan sari auratein(ladies) wahin hai,ye apko le jayega.
Ammi: ji
Sikandar: Mansoor iftari me waqt hai,tb tk baith k baatein karte hai aur tumhe apne bete aur pote se milawate hai.
Mansoor: ha chalo
(Kuch samay k baad Raja ko ek call ata hai aur wo room se alag nikal kar ek darwaje ka sahara le ke khada hoke baat karta hai. Call end hote hi door open hota hai aur uska sahara liye khada Raja gir jata hai but wo gire usse pehle use koi pakad leta hai well in other words wo kisi ki baahon me gir jata hai.)
Voice: ji aap theek hai
Raja: ni ab theek bilkul ni
Voice: kyu kya hua aapko?
Raa: hmmm...kya? 
Voice: apko chot lagi hai?
Raja: ni chot ni lagi
Voice: toh aap kahde ho jayiye woh kya hai na hum aapka wajan jada der ni utha payenge
Raja: oh ha sorry sorry
(Raja khada ho jata hai)
Raja: mai Raja aur aap?
Voice: abbu ne ajnabiyo se baat karne se mana kia hai
Raja: arre pr apke abbu hume jante hai
Voice: fir hum abbu se puch k apko apna naam batayenge,ab aap jayiye,warna kisi ne dekh liya toh hume daant padegi
Raja: arre ni ni hum jate...
Ali: fuphi (auntie/bua),dadi bula rhi hai,unke kamle me jaiyiye
Voice: ha
(Woh chali jati hai)
Raja: arre chote miyaan,aapki fuphi ka naam kya hai
Ali: merli fuphi ka naam fuphie hai
Raja: arre totle baba,pur apke dada dadi unhe kya bulate hai? Fuphie toh aap bulate haina unko?
Ali:ha woh silf mali fuphie hai,baaki chab unko Noor bulate hai,ab taliye apke abbu apko apko bula lahe hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaisa laga? Comment jaroor karna.
loveinshi thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#8
Thank u so much Mei subah se bore ho rahi thi. Padke firse comment karungi ðŸ˜†
loveinshi thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#9
Ali pe mela Dil aa daya Hai ðŸ¤£
Aur mansoor ke iraade thik nahi lag rahe yaar..😭 wo raja ko apna beta kyu nahi bolta..😭
Sakshi_04 thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#10
Awesome..hai yr...please next part jaldi upload karna vikrant ko raja ke getup mein padkar majaa aata hai...can't wait...