Titli's TAKE on March 31st, 2016's episode

TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#1
In today's episode, jab Rageshwari Ranaji k medicine lay k aati hai aur wo phir Savitri ki baat ko yaad kartay hain toh phir Rageshwari se medicine lainay se rukh jaatay hain aur phir wo zameen k bal kharay hojaatay hain ulta poora aur phir jab Rageshwari unhain murh k dekhti hai toh hairaan reh jaati hai aur wo kehtay hain keh wo Shreeshasan kar rahay hain aur wo Rageshwari ki ek bhi nahi suntay aur usay kehtay hain keh jabse Savitri dawaai dainay lagi hai wo sakoon feel kartay hain aur wo humari fikar karti hai likin zikar nahi aur tum zikar bahut karti ho fikar nahi aur yeh sunn k Rageshwari chali jaati aur Ranaji kharay hojaatay hain aur khush hotay hain keh unkay sir ko sakoon mil raha hai toh I was like "Wah Ranaji wah kia tikaaiii hai aapnay Rageshwari ko maza hi agaya hai, abh seedhi hoi hogi yeh...I thi bari over horahi thi, saari phusss hogaiii...Ranaji aap toh iss waqt baray Savitri k spin main aye hoy hain kia baat hai? Pyaar toh hogaya lagta hai...Yeh pyaar hi toh hai jo aapko uskay itnay kareeb lay k jaa raha hai Ranaji bas aap issi tarha track pe chaltay rahay gain toh iss budhi aur Rageshwari k chungal se door rahain gain...!!! Aur yeh Gayatri aapko phir kabhi tootnay nahi day gi Ranaji...Pleeease toh humesha aisay hi sakoon se rahiye ga...!!!"😳😳😳
Phir aata hai Kunwarji aur Coca Cola aur Swarna wala scene, bechari ro rahi hoti hai aur sad hoti hai keh jo kuch Lakshraj k saath hoa kaash wo uss waqt saath hoti aur tab hi Coca Cola wahan ajaati hai aur kehti hai Kunwarji ko keh usay kaal kothri main bunnd kar dijiye aur wo usay kabhi khush nahi rehnay day gi yeh keh kar wo chali jaati hi Kunwarji k saath aur wo bechari Swarna roti reh jaati hai toh I was like "Swarna tum kyun bura feel kar rahi hoon...?!?! Tumhari ghalti na pehlay thi na abhi hai...Pleeease stop feeling guilty about it...Just stop...!!! Coca Cola toh hai hi buri, I know uska beta marra hai likin sahi kahoon toh Coca Cola tumharay karmooon ka hi nateeja hai yeh sub jo hoa hai tumharay saath...Aur Swarna tum bas apnay aapko saza daina bunnd karo aur agar yeh nammooni tumhain kaal kothri main bunnd karti hai toh pareshaan na ho Gayatri tumhain jald nikaalwa day gi you just stay strong...!!!"😳😳😳
Phir aata hai budhi aur Kunwarji wala scene, jab Kunwarji sad hotay hain aur budhi unhain relax karti hai keh aap pareshaan na hoon abhi Ranaji ki itni jaldi yaadasht waapas nahi ayegi aur dekhna wo ek mahina toh guzar chuka hai bach gaay hain paanch mahinay toh wo unn main unki yaadaasht wapas nahi ayegi, aur waaris ka kia hai wo toh goud bhi liya ja sakta hai aur yeh keh kar phir budhi kamray se chali jaati hai toh I was like "Wah budhi toh pehlay karlaiti yeh waaris wali baat, bechari Swarna ko kyun itna pareshaan kiya! Agar goud hi laina tha toh uski zindagi abh tak barbaad kyun ki kia milaaa yeh sub karkay..?!!!? Aur main btaa doon tujhe budhi tu jo kar rahi hai na usmain tu kabhi kaamyaab nahi hogi, kabhi nahi...Kyunkay Gayatri tumhain honay nahi day gi...!!!"😳😳😳
Phir aata hai budhi, Gayatri aur Ranaji wala scene, jab Ranaji Gayatri ko dhooontay dhoontay usay baat karnay aatay hain likin wo ja rahi hoti hai apni Maa se milnay k liye tab hi wo usay rokhtay hain aur kehtay hain keh kahan ja rahi ho wo kehti hai keh wo Gayatri ki Maa se milnay ja rahi hai tab hi jab wo poochtay hain keh tumharay usay rishta kia hai toh wo kehti hai koi rishta nahi hai likin aapka toh hai na toh main aapki taraf se ja rahi hoon, agar aapko Gayatri ghalat lagti thi toh usmain uski Maa ka kia kasur, wo toh innocent hain and all aur yeh sub wo budhi ka naya chamchaa bhi dekh raha hota hai aur phir jab Gayatri bahir jaany lagti hi hai toh budhi ajaati hai beech main gate k toh I was like "Shit abh isay pta chala k yeh Gayatri hai...!!!" Phir jab Ranaji aatay hain aur kehtay hain keh wo Gayatri k ghar ja rahay hain aur budhi unhain keh k rokh daiti hai k wo bilkul theek hain abh unho nay medicine lay li hai toh unki haalat pehlay se kaafi behtar hai toh dono rukh jaaatay hain aur koi bhi nahi jaata Damyanti ko dekhnay k liye aur budhi relax hojaati hai toh I was like "Budhi aaj toh tu bach gai Ranaji ko bhejnay likin agay kaisay bachay gi? Kaisay? Shukar hai Gayatri jaanay se rukh gai likin pta nahi kyun Gayatri aisa lagta hai keh kahin budhi ko tujh pe shak na hojaay pleeease Gayatri soch samaj k kadam uthaao apnay, aisaiii kuch bhi plan matt karooo...!!! Aur Ranaji aaaj aapka yeh step acha dekh kar acha laga k aap Savitri k saath hi sahi likin uskay saath kharay thay jaanay k liye, acha laga yeh concern dekh kar aur uska aap pe itna asar dekh kar bahut acha laga...Bas aisay hi rahiyeee ga...Aur budhi tu door reh...Chipakna bunnd kar...!!!"😡😡😡
Dosri taraf aata hai budhi aur Rageshwari k do scenes, pehlay toh yeh k Rageshwari shraadh k laddu khaa rahi hoti hai toh budhi aajaati hai aur usay full on torture karti hai laddu mooh main toos toos kar aur phir budhi ka uskay sir pe gun rakhna aur phir sorry bol kar chalay jaana aur phir Rageshwari ka kehna k saara maza kirkira kar diya toh I was like "Acha hoa teray saath Rageshwari, bahut acha hoa...Aisi class teri hoti rehni chaye...Tujhe yeh dose milti rehni chaye acha hota hai, tu seedhi rehti hai warna hai tu poori tairi cheez hai...Budhi mazaa aye agar Gayatri tumharay saath yeh karay jo tumnay abhi Rageshwari k saath kiya...!!! Maza hi ajaay ga...!!" Phir jab dosray scene main Rageshwari aur budhi dono ek khel khel rahay hotay hain aur ussi dauran wo alcohol bhi pee rahay hotay hain aur Rageshwari ki dil main jo budhi k liye commentary hoti hai ufff wo dekh kar toh maza hi ajaata hai aur phir jab budhi kehti hai Rageshwari ko keh shaid Gayatri zinda hai toh wo toh hairaan reh jaati hai likin phir kehti hai keh abhi tak uska koi suraagh mila nahi hai aur jab beech main alcohol khtam hojaati hai aur wo Rageshwari ko kehti hai laanay k liye aur toh Gayatri apni kaalak laganay k liye koylay jab laa rahi hoti toh usay Rageshwari se takra jaati hai aur uss waqt Gayatri thori dair k liye pareshaan hojaati hai keh kahin Rageshwari ko uska such na pta chal jaay kyunkay wo aadhi gori aur aadhi kaali hoivi hoti hai aur phir jab wo nashay main usay kehti hai k tumhain yehi kaalak suit karti hai aur tumhain apna yeh chehra chupaa k hi rakhna chayeee phir chali jaati hai toh I was like "Shukar hai Gayatri tum bach gai likin baar baar aisay mauka tumhain nahi milay gain yeh yaad rakhna, tum pleeease itni careless matt ho, bahut dayhaan se kadam uthaao apnay main phir keh rahi hoon yeh budhi aur Rageshwari bahut chalaak hain specially budhi toh iss waqt full form main hai tumhain dhooondnay k liye...Bach k rehna...!!!" Phir akhir main jab Rageshwari budhi k liye aur zada alcohol lay k aati hai aur budhi uskay haath main kaalak dekhti hai toh kehti hai yeh kaisay lagi toh wo btati hai keh Savitri koylay lay k ja rahi thi aur phir budhi apnay mooh pe maarnay shoro kardaiti hai aur phir Rageshwari kehti hai aap apnay aap ko naa maarain main khud hi aapko maar daiti hoon aur wo phir usko rookh daiti hai aur phir budhi ko khyaal aata hai keh kahin Savitri hi Gayatri hi toh nahi aur udher hi drama khtam toh I was like "Saali budhi...Tera dimaagh toh nashay main bhi chalta hai...Shhhit...Tu itna kyun zehen lagati hai, itna kaash kisi young lead main hota toh aaj wo kahan se kahan pohanch jaata likin nahi tum nay toh kamaal hi kardiya hai...Rageshwari waisay jab tumnay budhiyaaa se budhi kaha ufff bara maza aaya dil khush hogaya mera toh...Nashay main hi sahi atleast kuch toh sahi bol rahi thi...!!! Budhi tu apnay zehen pe zorr matt day aisa na ho jo Ranaji k sath horaha hai wo teray saath shoro hojaay...Gayatri pleeease bachooo iss budhi se...Yeh tumhain phir nahi choray gi aur tumhara such subkay saamnay laa kar hi rahay gi...Kuch karo Gayatri isay pehlay k baad haath se nikal jaay...Waisay yeh budhi bilkul bhi pagal lag rahi thi jab apnay aaapko thappar maar rahi thi...Ufff poori hi psycho lag rahi thi...Aur waisay maza aata agar Rageshwari usay thappar maar daiti ufff kia scene hota...!!!"😆😆😆


As far as the precap is concerned, my reaction is..."Oh DAMN! SHIT...Budhiii kyun lagati hai tu dimaagh itna apna...?!?! Kyun?"...😡😡😡


Do share your thoughts guys😳😳😳




Thank you so much🤗🤗🤗

Created

Last reply

Replies

8

Views

614

Users

5

Likes

9

Frequent Posters

sishtyfan thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 9 years ago
#2
Awesome take titli 👏
I m tired now yaar kab rana ki yadasht aayegi ?? I want g back !! 😔
Aur ye budhi -is umar mai itni energy!!! Isey dekh kar scientists ko naya case miljayega research karne keliye !! 😆
RM14 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#3
Superb review dear..👏 BRM ko toh aisa bana diya hai k pucho mat..har baar use kyu pata chale ,Gayatri ko bhi us par shaq hona chahiye tha but Cv's toh bas villains ki side hi rahte hai..but is baar Gayatri ko hi jeetna chahiye..
And why Swarna will be in kaal kothri?usne kaunsa raaz droh kiya hai ab?😲
Now time for evils to out not leads to lose.👍🏼
Thanks for pm dear.😳
MF13 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#4
Awesome take .par epi accha nahin tha 👎🏼..poora epi buddi and rags ka hi tha it's just too boring to see them 😡cvs kabhi to kuch positive dikhayo😕always vamps winning😈
TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#5

Originally posted by: sishtyfan

Awesome take titli 👏
I m tired now yaar kab rana ki yadasht aayegi ?? I want g back !! 😔
Aur ye budhi -is umar mai itni energy!!! Isey dekh kar scientists ko naya case miljayega research karne keliye !! 😆


Thank you so much dear🤗
Haan yaar bahut huaaa...Me too!
Sahi keh rahi ho😆
TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#6

Originally posted by: RM14

Superb review dear..👏 BRM ko toh aisa bana diya hai k pucho mat..har baar use kyu pata chale ,Gayatri ko bhi us par shaq hona chahiye tha but Cv's toh bas villains ki side hi rahte hai..but is baar Gayatri ko hi jeetna chahiye..
And why Swarna will be in kaal kothri?usne kaunsa raaz droh kiya hai ab?😲
Now time for evils to out not leads to lose.👍🏼
Thanks for pm dear.😳


Thank you so much dear🤗
Haan yaar bas abh uski baar hai jeetnay ki...Bahut hoa abh!!!
Exactly!
Aww you're welcome dear😃
TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#7

Originally posted by: MF13

Awesome take .par epi accha nahin tha 👎🏼..poora epi buddi and rags ka hi tha it's just too boring to see them 😡cvs kabhi to kuch positive dikhayo😕always vamps winning😈


Thank you so much dear🤗
Haan bilkul bhi nahi...!!!
Yeah!
Exactly!
sagorika93 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#8
lovely take dear .
thanx for the pm
TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#9

Originally posted by: sagorika93

lovely take dear .
thanx for the pm


Thank you so much dear🤗
You're welcome dear😳

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".