Hey Folks!So here I am with another AkDha special thread...after ages. 😆
I would have done this long before...but my net and time, both won't permit. 😆
This is a compilation of all the most heart-felt lines ever spoken throughout Jodha Akbar. Have also added the GIF's of the scene, to double the effect. ❤️ I have put in all I can remember, please add your favorites in the comments. 😳
PS : This is a really really belated birthday gift for my dearest Nidhi di aka lovespari. I think I have made a record in being late. 😛😆
PPS : It took a whole lot of time to make the GIF's and compile all the dialogues...so I would be glad if you all could please comment. 😳
"Fir chaahe hum kuchh bhi kahein...chaahe hum yahi kyun na kahein ki Hum Aapse Nafrat Karte Hain...Lekin Sach Yahi Hai Jodha Begum...Ki Allah Kasam Hum Aapse Mohabbat Karte Hain..." ❤️
Episode 167
...
" Itihaas apne yoddha khud chunta hai...Aur iss baar usne Jodha aur Jalal ko chuna tha... Kyunki Itihaas ko dekhni thi ek aisi Prem Kahaani... Jo Shamsheer ki dhaar par Likhi gayi... Aur Paayal ki Jhankar bhi na bhooli... " 😳
Episode 3
...
"Aap sada kehte rahe ki aap prem nahi karsakte kyunki aapke paas hriday nahi.. paranthu aap ye nahi jaante the, ki prem ho ya grinah dhono hruday se hi kiye jaate hain.. aapka hriday na hone ka dawa kitna asathya tha na shahenshah.." ❤️
Episode 46
...
Har baar kuch naya kar jatiho Amer ki Shehzaadi... hum tumhaare bare mein nahi sochna chahte.. lekin phir bhi hamein sochne per majboor kar deti ho.. huu.. tum hamari kushi jatane nahi aayi, par hamare bache ki kushi jataane ke liye tumhara aana... hamein choo gaya!!
Episode 56
...
" Jodha - Jalal ki ye Jodi... Taareekh mein Mughal Sultanat ka naam Roshan karegi..."
...
" Ye haath dekh rahi hain aap Jodha Begum...jab humne pehli baar ghode ki lagaam thaami thi, tab ye haath kaanpe the...jab humne apni shamsheer se apne dushman ka sar kalam kiya tha... ye...ye haath kaanpe the... jab humne inhi haathon se Mughal Sultanat ke taaj aur us se judi zimmedaariyon ko mehsoos kiya tha, ye haath kaanpe the... par kya aap jaanti hain ki sabse zyada ye haath kab kaape the?... jab humara nikaah aapse hua tha...jab aapka haath humare haath mein thamaaya gaya tha...aapse nikaah karna humare liye ek chunauti thi, Jodha Begum... Hum aapko jeetna chahte the... aapko shay dekar iss harem mein sajaana chahte the... kaaboo paana chahte the aap par... par aahista - aahista sab badal gaya... hum chaahne lage ki aap humein samjhein... jise hum jeetna chahte the... aaj... humne usi se haar kha li..." ❤️❤️
Episode 131
...
"Jo baat aapne dil se khat mein likhi thi... wahi hum aapse kehna chahte hain... par... Jo Jalal - ud - din bekhauf hokar apni fauj ko hukum deta hai... use aaj ye samajh nahi aa raha ki woh ek baat aapse kaise kahe..." 😳
Epiosde 131
...
"Jisne aaj tak apna sar kisi ke aage nahi jhukaya... woh aaj apne aapko, aapke hawaale karta hai... ab aapki khwaahish ke mutaabik... hum aapke... aur aap humari..."
...
Aaj pehli bar hamari shamshir ne hame dhoka diya hai... par isme uska kasoor nahi... kasoor aap ki kubsoorati ka hai...
...
Aap ki nafrat hamare liye jayaz hain... humein aapki nafrat, Qubool Hai !!
...
Aab hamein aap se grinah nahi hain... hamari kehne ka tatparya yein hain ki, ek samay tha jab hum aapse grinah karthe the.. par ab aap ayse nahi rahe.. aap woh hain jho hum per vishwaas karte hai... aur hum, aapke nirnay per vishwaas karne lage hai...
...
Humein bura isliye nahi lage ga kyunki hamare padh ka maan kum hoga... naki isliye ki aap humein kum khass begum samjhenge... balki isliye...balki prem ke karan... humein aise lage ga jaise hamare prem ka apmaan huwa hai...
...
Aap jise chahte ho usse chaahkar bhi takleef nahi pahunch pathe... kyunki agar unhe takleef ho, tho dil kudh ka dhukta hai...
...
Accha mauka hai Jodha Begum, aap chahe to hume saza dedijiye...cheer dijiye humara dil, khuda kasam uff tak nahi karenge ... 😉
...
Jiske paas hriday nahi, woh jeevit nahi... aur jo jeevit nahi, usse maar ke hum kya karenge... 👍🏼
...
Badi dilchasp jodi hai aap dono ki...😉😆
...
Edited by -AkDha.Lover- - 9 years ago