CH2
*Rey POV*
(flashback to 2 days earlier)
"Irritate karti hai voh mujhe. Use sirf tolerate kar raha hoon kyunki voh Swayam ki behen hai. Mere best friend ki behen nahin hoti na, to kab ka chod diya hota. Ab kya karun Sharon? Uske dimaag mein kahin se shaadi ka bhoot ghus gaya hai. Shaadi ke baare mein chup hone ka naam hi nahin leti. Main aisi ladki ke saath nahin reh sakta. I think I need a break from her. Par main use kuch keh bhi to nahin sakta. Agar use kuch kaha to voh roti hui apne bhai ke paas chali jaayegi. Aur Swayam mere liye sirf mera dost hi nahin, mera bhai bhi hai. Main humari dosti par chance nahin lena chahata. Lekin main Taani ko bhi aur din bardasht nahin kar sakta. Kya karun main Sharon? Tum hi kuch batao." Rey vented out his frustration to Sharon in the Rehearsal Hall.
Sharon turns to look at Rey and quickly notices Taani at the entrance of the Hall. She gives Rey a tiny od to show that Taani has heard what he just said and they could continue their charade. "Rey main Swayam se is baare mein baat kar chuki hoon. Agar tumhara aur Taan ka breakup ho gaya to voh kise support karega? Aur pata haiusne kya kaha? Taani toh meri sagi behen nahin hai, lekin Rey mere bhai se bhi badhkar hai'.
Rey looked at her incredulously. Sharon, yeh tum kya keh rahi ho? Voh Swayamki behen hai. Swayam aisa kaise keh sakta hai?
"Rey, usne jo mujhe kaha, maine tumhe voh hi bataya. Rey, Swayam won't care. Tum break up kar lo. Us ladki se sabko chutkara milega. Mere to sar mein dard ho jata hai every time she calls us down for a GS, AGS, CS, ACS meeting."
"Par Sharon, main kaise karoon? Har baar use milta hoon toh voh mujhe bolne ka mauka hi nahin deti"
"Bas use keh do Rey. Voh kar bhi kya sakti ai? Royegi? Bas, itna hi na? Kuch farak nahin padta mujhe. I'm sure tumhe bhi kuch farak nahin padta.
(End Flashback)
Mujhe maaf kar dena Taani. Mujhe yeh karna pada. Main dance aur tumhare beech mein choose nahin kar sakta. Main abhi bhi tumse hi pyaar karta hoon, aur tumse hi pyaar karta rahoonga, lekin tumhe apne aap ko pehle realize karna hoga. Tumhe dhoondhna hoga ki Taani kaun hai. Uski pehchan kya hai? Voh life se kya chahti hai? I'm sorry Taani. Main yeh tumhare bhale ke liye kar raha hoon.' He walked mechanically to his room and collapsed at the foot of his bed, tear streaming down his face. Memories raced through his head. The time he fought for Taani, when she said Shivam was her boyfriend so that he wouldn't get defamed. When she bandaged his injuries, their first date. He kept mumbling, "I'm sorry Taani. I'm sorry. Mujhe maaf kar dena. I'm so sorry. Main tumhe hurt nahin karna chahta tha. I'm sorry" He tired himself out, sobbing and crying and fell asleep with tear tracks coating his face.
I'm back guys! Thanks for the amazing response! Love you all! PMs will go out soon! 3rd chapter is ready! 20 likes at least and you'll get it!
71