KKN mein Ananya namak anaar hai
Jiske liye hamare Karan-Arjun ka dil bekarar hai
Jiya jalta hai kabirji ka
Sang apni anaar ke Manav urf daanav ko dekh
Is anaar ke dost bhi kam nahi, par chahat nahi hai inki fake
Ik peed uthi hai inke dil me, hui boot takleef hai
Kyuki Ananya ke dil ki taare chhidi hai unke liye jo KKN ke editor and chief hai
Apni mohabbat par dosti ka mask lagaye yeh ghooma karte hai
Ronnie maam hai inka, nahi kisise darte hai
Aur kare kya thali ke is baingan ki baat
Padte hai kabhi ananya ke piche, toh kabhi ho liye Malvika ke saath
Kabira ko jalana inka pesha toh nahi par shauk hai
Nahi ab bhi magar sudhre kha-kha kar kabir ke shock hai
Ananya ko dekh Kabira ke man vich uthti confusion hai
Kya yeh pyaar aur care ka anokha fusion hai
Aur hai agar aisa toh hoga kya parkati titli Malvika ka
Jinka dil udte - udte hamare Kabira par jaa hai tika
Ek anaar ke piche 3-3 ghoom rahe beemar hai
Koi dost hai, Koi hai boss toh kahi daanavo ki sazishe bhi shumaar hai
KKN ki inki duniya hain
khabaro ko jaha dil se dil tak pahunchate hai
dekhte hai kaun pehle, dost ya boss apne dil jazbaat annu ko sunate hai
Ant me is picture se main Manav ko karto hoon delete
kyuki Kabir Ananya ki jodi hai sabse hit hit hit
Dua hai bas itni ki kabir ke lehraate sakuchaate dil ki hava mein udd jaaye ananya naam ki patang
Aur hamare KaYa ki life mein bhar jaaye umang hi umang