Wish you a very Happy Rakshabandhan!
Actually, rakhi ke liye do kahaniya mashhoor hai who ye hai ki jab Mahabharat ka yuddha ho raha tha tab Arjun ke bete Abhimanyu ki suraksha ke liye Arjun ki maa Kuntaji ne Abhimanyu ke liye dhaga bheja tha jo Rakhi kehlaya aur jab tak who dhaga Abhimanyu ke hath me tha tab tak Abhimanyu surkshit tha magar jaise hi who dhaga toota vaise hi Abhimanyu veergati kop rapt huva. Doosri kahani aisi hai ki usme Rani Durgavati ne Ek Muslim Badshah jo uski or se rajy ki suraksha ke liye ladne jaa rahe the uski vijay aur suraksha ke liye Rakhi ka dhaga bheja aur who Badshah yuddha jit gaya, isliye Rakhi ka ye tyovhar Savan mahine ki Poornima ke din manaya jaata hai aur sirf Hindu hi nahi magar Muslim bhi is tyovhar ko manate hai. Isliye aap sabhi ko Rakshabandhan ki bahot bahot shubkamnaye. Aapki har manokamna poori ho, aap khub aage badhe, apna aur apne apne parivaar ka naam roshan kare aur zindagi me aap ko khushiya hi khushiya mile, aap ke raste me aanewale hark ante phool me parivartit ho jaaye. Yahi bhagvaan se prarthna.
Rakhi ki dor hamesha jode rakkhe aap ke rishto ko,
Hamesha yaad rakhna apne in dino ko,
Khwahishe aap ki poori ho jaaye,
Aur aap har raah par jeet ke diye jalaye, jashn manaye.
A tread for long life…………
Entwined wish good wishes and prayers, sparkling with happy thoughts, beaded to gether with sweet memories.
May laughter & joy brighten your everyday and success and happieness, smile on your all the way.
From: Janki Trivedi (Janu)