found this jaimala ...like to share this with you..
I used to listen to jai mala regulery..I miss those old days of listning to radio ..I guess iam a bit nostalgic here..
Vishesh Jaimala
Presented by: Madan Mohan
Aired on: 12th July, 2003
Recorded in the year: ?
In memory of Madan Mohan, whose death anniversary falls on 14 July, Vividh Bharati replayed a 'Vishesh Jaimala' programme presented by Madan Mohan, on 12 July, Saturday.
------------------------------------------------------------ --------------------
faujii bhaa_iiyo, aaj mai.n aapake saamane aise gaane pesh karane jaa rahaa huu.N, jo Hindustani #classical music# aur raag pe bane hai.n. aajkal videshii sa.ngiit kaa asar hamaare film sa.ngiit par ba.Dh chalaa hai, aise
vaqt me.n mai.n aap ko Bhaaratiiya shaastriiya sa.ngiit kii miThaas ko pesh karanaa chahu.Ngaa, jo sunane par siidhaa dil me.n utar jaataa hai.
pahalaa giit jo mai.n aapake saamane pesh karuu.Ngaa, vo hai Raag Malkauns pe banaa bhajan, film 'Baiju Bawra' se, sa.ngiitakaar hai.n Naushad-saahab. Naushad-saahab ne hameshaa hii shaastriiya sa.ngiit ko apanii dhuno.n kaa #base# banayaa, aur yah dikhaayaa ki shaastriiya sa.ngiit pe bane giit bhii kaise lokapriya ho sakate hai.n...
Song: 'man tarapat hari darshan ko aaj' (Rafi, 'Baiju Bawra')
agalaa raag jo mai.n pesh karuu.Ngaa, vo ek ba.Daa hii maayaanaaz raag hai, Raag Yaman - sur chhi.Date hii #mood# ban jaataa hai. Yaman kii do rachanaae.n mai.n aapako sunaauu.Ngaa, filme.n hai.n 'Bahana' aur 'Anpadh'.
jo pahalaa giit hai, usakaa bhaav hai: 'jaa re badaraa bairii jaa, piyaa duur ke des hai.n, unako jaake mere sa.ndesaa sunaa' #(Note: not the exact words)#
Song: 'jaa re badaraa bairii jaa, re jaa re' (Lata, 'Bahana')
duusare giit kaa bhaav hai: 'meraa saa.Nvariyaa jii churaa ke le gayaa hai, ab usakii lagan me.n man baa.Nvaraa ho gayaa hai' #(Note: not the exact words)#
Song: 'jiyaa le gayo jii moraa saa.Nvariyaa' (Lata, 'Anpadh')
ab jo giit mai.n aapako sunaane jaa rahaa huu.N, vo hai Burman-dada kii su.ndar rachanaa, Raag Ahir Bhairav me.n. birahaa ki raat kaise kaTii yah Kud mai.n nahii.n jaanataa, man duur ke diipak kii tarah jal rahaa hai, bhor bhii aashaa kii kiraN na laa sakii hai...
Song: 'puuchho naa kaise mai.nne rain bitaa_ii' (Manna Dey, 'Meri Surat Teri Aankhen')
bhaa_iiyo, ham film-sa.ngiitakaaro.n ne #classical music# apanii dhuno.n me.n istamaal kiyaa hai, aur ka_ii baar shaastriiya sa.ngiit ke maane hu_e ustaado.n kii aavaaz bhii istamaal kii hai.
ab jo giit mai.n pesh karu.Ngaa, vo Ustad Amir Khan kaa gaayaa huaa hai, Raag Adana me.n, jo viiraras aur shaurya kaa raag hai. sa.ngiitakaar hai.n Vasant Desai, jinakii harkate.n merii harkato.n se milatii-jhulatii hai.n. isliye, mai.n Vasant Desai-ji kii harkato.n pe nazar rakhataa huu.N, aur vo merii par...meraa matalab sa.ngiit kii harkato.n se hai #(laughs)#
Song: 'jhanak jhanak paayal baaje' (Ustad Amir Khan & Chorus, 'Jhanak Jhanak Payal Baje')
bhaa_iiyo, Gazal gaayakii me.n ka_ii #styles# rah chuke hai.n, jaise ki Begum Akhtar kaa apanaa ek #style# hai. film sa.ngiit ke liye Gazal banaate hu_e, ham yah dhyaan rakhate hai.n ki dhun ko dhiire-dhiire tho.Daa aasaan banaayaa jaaye, taaqi logo.n ko dhun gunagunaane me.n zyaadaa kaThina_ii na ho, jaise ki yah Talat Mahmood-saahab kii gaa_ii hu_ii Gazal, Raag Bageshwari me.n:
Song: 'ham se aayaa na gayaa, tum se bulaayaa na gayaa' (Talat, 'Dekh Kabira Roya')
ham film-sa.ngiitakaaro.n aur shaastriiya sa.ngiitakaaro.n me.n fark itanaa hai ki ham kisii ba.ndish ko lekar na_ii dhune.n banaate hai.n, aur ve na_e raag, na_ii ba.ndisho.n kii khoj me.n rahate hain.
jaise, sa.ngiitakaar C.Ramchandra ne Raag Bhairavi kaa su.ndar upayog is giit me.n kiyaa...
Song: 'kaise aauu.N jamunaa ke tiir' (Lata, 'Devta')
jahaa.N tak meraa savaal hai, mai.nne Bhairavi ko film 'Bhai Bhai' me.n kuchh is tarah pesh kiyaa hai...
Song: 'qadar jaane naa, ho qadar jaane naa' (Lata, 'Bhai Bhai')
bhaai_yo, shaastriiya sa.ngiit me.n Thumarii kaa ruup bahut lokapriya hai, aur film sa.ngiit me.n bhii ka_ii baar giito.n ko Thumarii kaa svaruup diyaa gayaa hai. mai.nne film 'Mera Saaya' ke is Raag Pilu pe bane giit ko bhii Thumarii kaa a.ng diyaa hai:
Song: 'naino.n me.n badaraa chhaa_e, bijalii si chamake haay' (Lata, 'Mera Saaya')
shaastriiya sa.ngiit pe aadhaarit bhajan bhii Hindi film sa.ngiit me.n bane hai.n. ab mai.n aapako film 'Hum Dono' kaa vo bhajan sunaauu.Ngaa, jo merii raay me.n, shaastriiya sa.ngiit pe aadhaarit bhajano.n me.n sabase behtariin hai. Jaidev-ji kii yah maayaanaaz rachanaa amar hai...
Song: 'allaah tero naam, iish_var tero naam' (Lata & Chorus, 'Hum Dono')
ab aapase aaGYaa lete hue, mai.n yah kahanaa chaahu.Ngaa, ki aaj mai.nne kuchh #classical music# pe #based# giit sunavaaye, isake piichhe meraa matalab sirf yah dikhaanaa thaa ki apanaa shaastriiya sa.ngiit siidhe bhavanaao.n ko chhuutaa hai, isliye inakii #life# bahut la.mbii hotii hai, yah giit amar ho jaate hai.n. videshii sa.ngiit pal do pal kii aTakhelii hai, das-pa.ndrah-biis baar sun lene ke baad usame.n vo chamak nahi.n rahatii.
bas isii baat pe aaGYaa luu.Ngaa,
jay Hind!