Jassi wanders to the weavers' colony. She asks one of them where Harish is, but the man is too perturbed to answer her questions, and brushes past her.
She looks around in puzzlement. There is an atmosphere of panic around. She is just about to go and ask someone when Harish detaches himself from a crowd gathered around him and comes towards her.
Harish: (bitterly) Kya hua Memsa'ab? Kar li koshish hamein insaaf dilaane ki? Kuch faayda nahin hua na?
Jassi: (bewildered) Main koshish toh kar rahi hun… main maanti hun ki abhi tak koi nateeja nahin nikal paya hai, lekin meri legal adviser Shimla gayi hai, records check karne….aap kuch din toh intezaar kar sakte hai?
Another weaver: Kuch din?? Hume toh 2 din mein yahaan se beghar kar diya jayega!
Jassi: Kya!
Harish hands her a notice which says that the weavers have to vacate the place within 2 days, failing which they will be forcibly evicted.
Jassi's lips purse in anger as she reads the document. She calls up Ashmit and hollers at him, "Yeh aap kaun si nayi chaal chal rahe hai?"
Ashmit: (coolly) Chaal? Aap bhi ajeeb hai….kabhi mujhse baat bhi nahin karna chahti aur kabhi khud phone karke mujh par ilzaam lagati hai…..
Jassi: (exasperated) Weavers ko uss zameen se hataane ka order aap hi ne bhijvaaya hai na?
Ashmit: Dekhiye Jassi ji….zameen meri hai, main jab chahe, jo chahe order bhej sakta hun….waise iss baar maine directly kuch nahin bheja hai, mere contractors ye sab dekhte hai…..
Jassi: Lekin aapke approval ke bina toh kuch nahin ho sakta? Aap aisa nahin kar sakte!
Ashmit: Main bilkul aisa kar sakta hun…mere paas legal rights hai….lekin main itna bura nahin hun, jitna aap sochti hai….maine aapse kaha tha na, ki kal ho sakta hai bahut der ho jaye…meri diary bilkul full hai….par phir bhi, aapki khatir, main aapse milne ko taiyar hun…agar aap mera offer accept kar leti hai, toh main ye order waapas le lunga!
Jassi puts the phone down angrily. One of the weavers declares, "Humare baap-dada iss zameen par itne saalon se reh rahe hai….humare khoon isi mitti mein mila hua hai…hum isse aise chod ke nahin jayenge!"
"Haan….hum yahin rahenge! Unhone jo karna hai kare….hum yahaan se nahin hilenge!"
"Chahe hamari jaan chali jaye….chalaane do unhe bulldozer hamare upar!"
Jassi: (panicking) Aap log jaan dene ko baat kyun kar rahe hai….aise naubat nahin aayegi!
Harish: Agar aayi toh….hum marne ke liye bhi taiyar hai!
She is in a terrible dilemma. Calling up Shaina, she comes to know that so far there has been no headway, because the officer concerned at the Land Records office has gone on leave. In despair, she tries Armaan's number, but he is still on the plane and has switched off his phone.
Looking at the desperate faces of the weavers, she takes a deep breath and makes one more phone call.
"Ashmit….main aapse milne ke liye taiyar hun!"
Tomorrow: Will Armaan arrive in time…??