Jassi returns to her hotel room. Just then her phone rings. She looks at the number and blushes; it is Armaan.š
Jssi: (softly) Hello!
Armaan: I miss you!
Jassi: Me too!
Armu: Jassi, wahaan sab theek toh chal raha hai na?
Jassi: (sighing) Nahin Armaanā¦.kuch bhi theek nahin haiā¦.
She proceeds to tell him about the weavers' problem.
Armaan: (anxiously) Jassi, hum koi aur zameen bhi toh le sakte haiā¦..ussi par crafts village bana lengeā¦isse unn logon ko rehne ki jagah bhi mil jayegi!
Jassi: You are right Armaanā¦.par baat sirf yeh nahin haiā¦..iss jagah ki, iske locals ke haq ki, iske environment ki haiā¦uss kanoon ki hai jisse ye builders apne faayde ke liye khareed rahe haiā¦.aur main aise kisi ka haq chhinte hue nahin dekh sakti!
Armu: Jassi, tumhe social work karne ke liye kisne bheja tha?
Jassi: Kyun? Iss desh ki citizen hoti hue, kya ye karna mera farz nahin hai?
Armaan sighs, then says resignedly, "Tumse lad bhi toh nahin saktaā¦.jaanta hun ki tum apne iraade nahin badlogiā¦.but for God's sake, Jassi, kisi problem mein mat pad jaana!"
Jassi: (warmly) Koi problem nahin hogiā¦.tumhara pyaar, aur Babaji ka aashirwaad hai na mere saath!
Armu: (bringing the phone close to his lips as if it were Jassi's faceš) I love you Jassi!
Jassi: I love you too!š³
As she puts the phone down, Shaina comes in. "Ma'am, maine yahaan ke land records office se iss deal ke baare mein check kiya haiā¦inke hisaab se, ye property kabhi weavers ko legally transfer hui hi nahinā¦.sirf unko rehne ke liye mili hui thiā¦.par ownership hamesha se zamindar ki family ke haath mein hi rahaā¦.issliye agar wo chaahe, toh zameen Ashmit Singhania ko de sakte haiā¦..lekin illegally, kyunki wo iss state ka nahin hai."
Jassi nods grimly. "Isse hamari problem aur badh jaati haiā¦.lekin kuch na kuch toh karna ki padegaā¦.tumne meri appointment Ashmit Singhania ke saath fix ki?"
Shaina: Ma'am maine unke secretary ko bahut contact karni ki koshish ki, lekin unke phone engaged hi aa raha haiā¦
Jassi: (getting up) Lekin milna toh hai hiā¦..Shaina, main ja rahi hunā¦aur usse baat karke hi aaungi!
She dresses in a turquoise kurta and churidar, with a Pashmina shawl over her shoulders. Looking lovely and business-like, she hails a taxi and arrives at Ashmit Singhania's office.
The receptionist refuses to let her in. "Ma'am, hum kisi ko bina appointment ke andar nahin bhejteā¦"
Jassi: Appointment lene ki koshish ki thi, par unke secretary ke paas baat karna ka bhi time nahin haiā¦.lekin mere paas bhi time bahut kam hai, aur unse milna bahut zaroori. Aap please mera card andar bhej dijiye.
Receptionist: Wo iss waqt board meeting mein haiā¦.main unhe disturb nahin kar sakti.
Jassi: (firmly) Agar aap unhe contact nahin kar sakti, toh main andar chali jaati hunā¦. (moves as if to go in)
Receptionist: (desperately) Ma'amā¦ā¦..ok, main unhone phone karti hunā¦.aap please yahin wait kijiyeā¦.
She calls up Singhania, and tells him about Jassi's arrival. The voice at the other end sounds irritated. "Maine kaha tha naā¦.mujhe disturb nahin karna?"
Rec: Sir, wo maan hi nahin rahi haiā¦.unka naam hai Jasmeet Suri.
There is a pause at the other end. "Theek haiā¦.unhe bithaoā¦.main 15 minutes mein unse milta hun."
The staff take Jassi to a comfortable lounge. After a while, she is signaled to enter. Singhania is standing with his back to the door. She asks tentatively, "Mr Singhaniaā¦.main Jasmeet Suri."
The man swings around and smiles at her. "Delighted to meet you!"
Okiesā¦ā¦keep guessing till tomorrow who this actor might be!š Hope you enjoyed this update.š