Ab aap hans kyun rahi hain?
Pehli baar kisi Shehenshaah ko iss tarike se ladki ginte huen dekh rahe hain.
Wo hum...
Aur zara si lakdiyan kya gir gayi aap itna krodhit ho gaye. Ye aapko shobha nahi deta, Shehenshaah.
Hum ye sab aapke liye kar rahe the Jodha Begum. Hum nahi chahte ki aapko sardi lag jaye.
Aaiye...baithiye...!!! Shehenshaah...aapko chinta karne ki bilkul bhi avashyakta nahi hai. Jab vish peene ke baad bhi hum jeevit hain to thodi si thand humara kya bigadegi bhala.
Ab hume samajh me aaya ki aapne lakdiyan kyun gira di Jodha Begum. Aapko koi farak hi nahi pad raha tha ki hum kaam kar rahe hain.
Kyun? Aap aisa kyun keh rahe hain?
Sahi to keh rahe hain Jodha Begum. Aapko vakai farak nahi pad raha tha ki hum kaam kar rahe the. Asal vajah to kuch aur hai. Aapne aisa kiya kyunki...
Kyunki...?
Kyunki aapko bahana chahiye tha humare paas aane ka... hume chhune ka... humare haath ko pakadne ka... aapne socha raat ka andhera hai... koi aas paas nahi hai... mauka hai, mahaul hai, dastur hai... to kyun na inn sab baaton ka fayda uthaya jaye. Shehenshaah saamne hain aur aapne bina jataye ye sab kar diya...waah...!!!
Share your Fav Dialogue
37